SHAWORDS

badleinge haalaat ke tevar sabr karo — Akbar Sharid

HomeAkbar SharidGhazal
"badleinge haalaat ke tevar sabr karo maarka hogaa har ik sar par sabr karo aaj galaa apnaa hai khanjar un ka hai ik din badlegaa ye manzar sabr karo dushman mere pichhe chhup kar baiThaa hai bol uThegaa ik ik patthar sabr karo haq to haq hai aakhir ghaalib aaegaa baatil kaa jhuk jaaegaa sar sabr karo shaafa-e-mahshar ki hai ye taalim hamein ghusse ko pi jaao 'akbar' sabr karo"
Urdu

بدلیں گے حالات کے تیور صبر کرو معرکہ ہوگا ہر اک سر پر صبر کرو آج گلا اپنا ہے خنجر ان کا ہے اک دن بدلے گا یہ منظر صبر کرو دشمن میرے پیچھے چھپ کر بیٹھا ہے بول اٹھے گا اک اک پتھر صبر کرو حق تو حق ہے آخر غالب آئے گا باطل کا جھک جائے گا سر صبر کرو شافع محشر کی ہے یہ تعلیم ہمیں غصے کو پی جاؤ اکبرؔ صبر کرو

Hindi

बदलेंगे हालात के तेवर सब्र करो मा'रका होगा हर इक सर पर सब्र करो आज गला अपना है ख़ंजर उन का है इक दिन बदलेगा ये मंज़र सब्र करो दुश्मन मेरे पीछे छुप कर बैठा है बोल उठेगा इक इक पत्थर सब्र करो हक़ तो हक़ है आख़िर ग़ालिब आएगा बातिल का झुक जाएगा सर सब्र करो शाफ़ा-ए-महशर की है ये ता'लीम हमें ग़ुस्से को पी जाओ 'अकबर' सब्र करो

badleñge hālāt ke tevar sabr karo
A
Akbar Sharid
Akbar Sharid
poet4 quotes

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb