SHAWORDS

bahaaron ke nae mausam bulaate rah gae — Alok Yadav

HomeAlok YadavGhazal
"bahaaron ke nae mausam bulaate rah gae nazar mein tu rahaa ham jaate jaate rah gae divaana ek dil ki baat kah kar chal diyaa mohazzab log saare kasmasaate rah gae kisi ne haal puchhaa thaa bas itni baat thi miri aankhon mein aansu aate aate rah gae bahut charche the jis dar ki sakhaavat ke yahaan vo auron par khulaa ham sar jhukaate rah gae vo pahle muskuraae phir liyaa pahlu badal hamin naadaan the bas muskuraate rah gae"
Urdu

بہاروں کے نئے موسم بلاتے رہ گئے نظر میں تو رہا ہم جاتے جاتے رہ گئے دیوانہ ایک دل کی بات کہہ کر چل دیا مہذب لوگ سارے کسمساتے رہ گئے کسی نے حال پوچھا تھا بس اتنی بات تھی مری آنکھوں میں آنسو آتے آتے رہ گئے بہت چرچے تھے جس در کی سخاوت کے یہاں وہ اوروں پر کھلا ہم سر جھکاتے رہ گئے وہ پہلے مسکرائے پھر لیا پہلو بدل ہمیں نادان تھے بس مسکراتے رہ گئے

Hindi

बहारों के नए मौसम बुलाते रह गए नज़र में तू रहा हम जाते जाते रह गए दीवाना एक दिल की बात कह कर चल दिया मोहज़्ज़ब लोग सारे कसमसाते रह गए किसी ने हाल पूछा था बस इतनी बात थी मिरी आँखों में आँसू आते आते रह गए बहुत चर्चे थे जिस दर की सख़ावत के यहाँ वो औरों पर खुला हम सर झुकाते रह गए वो पहले मुस्कुराए फिर लिया पहलू बदल हमीं नादान थे बस मुस्कुराते रह गए

bahāroñ ke na.e mausam bulāte rah ga.e
Alok Yadav
Alok Yadav
Alok Yadav
poet35 quotes

More by Alok Yadav

View all →
Quote
"ik zaraa si chaah mein jis roz bik jaataa huun main aaine ke saamne us din nahin aataa huun main ranj gham us se chhupaataa huun main apne laakh par paDh hi letaa hai vo chehra phir bhi jhuTlaataa huun main qarz kyaa laayaa main khushiyaan zindagi se ek din roz karti hai taqaaza aur jhunjhlaataa huun main hausla to dekhiye meraa ghazal ki khoj mein apne hi siine mein khanjar saa utar jaataa huun main de sazaa-e-maut yaa phir bakhsh de tu zindagi kashmakash se yaar teri sakht ghabraataa huun main maun vo paDhtaa nahin aur shabd bhi suntaa nahin jo bhi kahnaa chaahtaa huun kah nahin paataa huun main khvaab sach karne chalaa thaa gaanv se main shahr ko niind bhi kho kar yahaan 'aalok' pachhtaataa huun main"
Alok YadavAlok Yadav
Quote
"har ek zehn mein saaraa hisaab rahtaa hai savaal sunne se pahle javaab rahtaa hai vo ek moD jahaan ek din luTaa thaa main vahin miraa dil-e-khaana-kharaab rahtaa hai havaa ke dam pe hai jab zindagi kaa daar-o-madaar to kyuun ghurur tujhe ai habaab rahtaa hai chalegi chaal koi gardish-e-falak shaayad kai dinon se baDaa iztiraab rahtaa hai vo jholi kaise bhare pyaar karne vaalon ki isi firaaq mein TuuTaa shahaab rahtaa hai mire liye hain musibat ye aaina-khaane yahaan zamir miraa be-naqaab rahtaa hai hasin khvaab hon kitne hi par koi 'aalok' tamaam umr kahaan mahv-e-khvaab rahtaa hai"
Alok YadavAlok Yadav

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud