SHAWORDS

barsar-e-ta'aaruf the ehtiyaat ke saae — Haneef Kaifi

HomeHaneef KaifiGhazal
"barsar-e-ta'aaruf the ehtiyaat ke saae vo bhi kuchh na kah paae ham bhi kuchh na kah paae din hasin bahaaron ke yuun bhi ham ko yaad aae qahqahon ke afsaane aansuon ne dohraae kitne hi bhayaanak hon un se khauf kyaa khaanaa saae hain bahar-surat raushni ke hamsaae diid ke tamaashe bhi kam nahin saraabon se duur ham hue utne jitne vo qarib aae kis jagah huaa hai gum kuchh pata nahin chaltaa ham zamir-e-insaan ko har taraf pukaar aae raushni mili lekin ye bhi aap ne dekhaa dhuup ki tamaazat se kitne phuul kumhlaae chhin le koi 'kaifi' mujh se meri tanhaai saanp ban ke Daste hain mujh ko ab mire saae"
Urdu

برسر تعارف تھے احتیاط کے سائے وہ بھی کچھ نہ کہہ پائے ہم بھی کچھ نہ کہہ پائے دن حسیں بہاروں کے یوں بھی ہم کو یاد آئے قہقہوں کے افسانے آنسوؤں نے دہرائے کتنے ہی بھیانک ہوں ان سے خوف کیا کھانا سائے ہیں بہر صورت روشنی کے ہمسائے دید کے تماشے بھی کم نہیں سرابوں سے دور ہم ہوئے اتنے جتنے وہ قریب آئے کس جگہ ہوا ہے گم کچھ پتہ نہیں چلتا ہم ضمیر انساں کو ہر طرف پکار آئے روشنی ملی لیکن یہ بھی آپ نے دیکھا دھوپ کی تمازت سے کتنے پھول کمہلائے چھین لے کوئی کیفیؔ مجھ سے میری تنہائی سانپ بن کے ڈستے ہیں مجھ کو اب مرے سائے

Hindi

बरसर-ए-त'आरुफ़ थे एहतियात के साए वो भी कुछ न कह पाए हम भी कुछ न कह पाए दिन हसीं बहारों के यूँ भी हम को याद आए क़हक़हों के अफ़्साने आँसुओं ने दोहराए कितने ही भयानक हों उन से ख़ौफ़ क्या खाना साए हैं बहर-सूरत रौशनी के हमसाए दीद के तमाशे भी कम नहीं सराबों से दूर हम हुए उतने जितने वो क़रीब आए किस जगह हुआ है गुम कुछ पता नहीं चलता हम ज़मीर-ए-इंसाँ को हर तरफ़ पुकार आए रौशनी मिली लेकिन ये भी आप ने देखा धूप की तमाज़त से कितने फूल कुम्हलाए छीन ले कोई 'कैफ़ी' मुझ से मेरी तन्हाई साँप बन के डसते हैं मुझ को अब मिरे साए

barsar-e-ta'āruf the ehtiyāt ke saa.e
Haneef Kaifi
Haneef Kaifi
Haneef Kaifi
poet22 quotes

More by Haneef Kaifi

View all →
Quote
"banaa ke toDti hai daaere charaagh ki lau bahaa ke le gai mujh ko kahaan shu'ur ki rau banaa chukaa huun adhure mujassame kitne kahaan vo naqsh jo takmil-e-fan kaa ho partav vo moD mere safar kaa hai nuqta-e-aaghaaz fareb-khurda-e-manzil hue jahaan rah-rau larazte hain miri mahrum-e-khvaab aankhon mein bikhar chuke hain jo khvaab un ke muntashir partav bhaTak na jaaun main tashkik ke andheron mein laraz rahi hai miri sham-e-etaqaad ki lau shab-e-daraaz kaa hai qissa mukhtasar 'kaifi' hui sahar ke ujaalon mein gum charaagh ki lau"
Haneef KaifiHaneef Kaifi
Quote
"tamaam aalam se moD kar munh main apne andar samaa gayaa huun mujhe na aavaaz de zamaane main apni aavaaz sun rahaa huun tazaad-e-hasti kaa falsafa huun uruuj o pasti kaa aainaa huun uThaa huaa ik ghurur-e-sar huun miTaa huaa ek naqsh-e-paa huun ho kyaa taayyun miri hadon kaa shumaar kyaa meri vusaton kaa hazaaron aalam base hain mujh mein main behad-o-be-karaan khalaa huun azaab-e-ehsaas-o-aagahi ke vo dil-shikan khvaab-paash lamhe hazaar aaine TuTte hain main jab bhi aaina dekhtaa huun main naa-shunida sadaa-e-sahraa banungaa aavaaz-e-vaqt 'kaifi' zabaan-e-aalam pe aaungaa kal main aaj ik harf-e-naarsaa huun"
Haneef KaifiHaneef Kaifi
Quote
"kyaa moD 'ajab aayaa ye rishton ke safar mein main khud se judaa ho gayaa is raahguzar mein main ne hi ubhaare hain khutut us ke badan ke ik nuqta-e-mauhum huun main jis ki nazar mein baiThaa pas-e-divaar main ye soch rahaa huun kab rauzan-e-divaar badal jaataa hai dar mein gum kasrat-e-afraad mein ho jaate hain chehre insaan ki pahchaan ho kis tarh nagar mein aai na sahaare ko ik aavaaz-e-shanaasaa main Duub gayaa apni sadaaon ke bhanvar mein masrur huun yuun tark-e-jahaan kar ke main 'kaifi' duniyaa hi simaT aai hai goyaa mire ghar mein"
Haneef KaifiHaneef Kaifi
Quote
"bikhar ke ret hue hain vo khvaab dekhe hain miri nigaah ne kitne saraab dekhe hain sahar kahein to kahein kaise apni subhon ko ki raat ugalte hue aaftaab dekhe hain koi bhi rut ho mili hai dukhon ki fasl hamein jo mausam aayaa hai us ke itaab dekhe hain main bad-gumaan nahin huun magar kitaabon mein tumhaare naam kai intisaab dekhe hain kabhi ki ruk gai baarish guzar chukaa sailaab kai ghar ab bhi magar zer-e-aab dekhe hain koi hamaari ghazal bhi mulaahiza karnaa tumhaare ham ne kai intikhaab dekhe hain panaah DhunDte guzri hai zindagi 'kaifi' jhulasti dhuup mein saae ke khvaab dekhe hain"
Haneef KaifiHaneef Kaifi
Quote
"har ik kamaal ko dekhaa jo ham ne ru ba-zavaal sisak ke rah gai siine mein aarzu-e-kamaal ham apni Dubti qadron ke saath Duub gae milegi ab to kitaabon mein bas hamaari misaal hue anaa ke dikhaave se log sar afraaz anaa ne sar ko uThaa kar kiyaa hamein paamaal zaraa si umr mein kis kis kaa hal talaash karein khaDe hain raasta roke hue hazaar savaal mire khulus kaa yaaron ne aasraa le kar kiyaa hai khuub miri dosti kaa istehsaal bujhaa bujhaa saa yahi dil hai is shabaab ki raakh ragon mein dauD rahi thi jo aatish-e-sayyaal mile vo lamha jise apnaa kah sakein 'kaifi' guzar rahe hain isi justuju mein maah-o-saal"
Haneef KaifiHaneef Kaifi

More on Yaad

View all →
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar