SHAWORDS

barson gham-e-gesu mein giraftaar to rakkhaa — Begam Lakhnavi

HomeBegam LakhnaviGhazal
"barson gham-e-gesu mein giraftaar to rakkhaa ab kahte ho kyaa tum ne mujhe maar to rakkhaa kuchh be-adabi aur shab-e-vasl nahin ki haan yaar ke rukhsaar pe rukhsaar to rakkhaa itnaa bhi ghanimat hai tiri taraf se zaalim khiDki na rakhi rauzan-e-divaar to rakkhaa vo zabh kare yaa na kare gham nahin is kaa sar ham ne tah-e-khanjar-e-khun-khvaar to rakkhaa is ishq ki himmat ke main sadqe huun ki 'begam' har vaqt mujhe marne pe tayyaar to rakkhaa"
Urdu

برسوں غم گیسو میں گرفتار تو رکھا اب کہتے ہو کیا تم نے مجھے مار تو رکھا کچھ بے ادبی اور شب وصل نہیں کی ہاں یار کے رخسار پہ رخسار تو رکھا اتنا بھی غنیمت ہے تری طرف سے ظالم کھڑکی نہ رکھی روزن دیوار تو رکھا وہ ذبح کرے یا نہ کرے غم نہیں اس کا سر ہم نے تہہ خنجر خوں خوار تو رکھا اس عشق کی ہمت کے میں صدقے ہوں کہ بیگمؔ ہر وقت مجھے مرنے پہ تیار تو رکھا

Hindi

बरसों ग़म-ए-गेसू में गिरफ़्तार तो रक्खा अब कहते हो क्या तुम ने मुझे मार तो रक्खा कुछ बे-अदबी और शब-ए-वस्ल नहीं की हाँ यार के रुख़्सार पे रुख़्सार तो रक्खा इतना भी ग़नीमत है तिरी तरफ़ से ज़ालिम खिड़की न रखी रौज़न-ए-दीवार तो रक्खा वो ज़ब्ह करे या न करे ग़म नहीं इस का सर हम ने तह-ए-ख़ंजर-ए-ख़ूँ-ख़्वार तो रक्खा इस इश्क़ की हिम्मत के मैं सदक़े हूँ कि 'बेगम' हर वक़्त मुझे मरने पे तय्यार तो रक्खा

barsoñ ġham-e-gesū meñ giraftār to rakkhā
B
Begam Lakhnavi
Begam Lakhnavi
poet2 quotes

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim