SHAWORDS

barson se faqat ek hi daftar mein paDe hain — Maikash Azmi

HomeMaikash AzmiGhazal
"barson se faqat ek hi daftar mein paDe hain lagtaa hai ki daftar mein nahin ghar mein paDe hain sardi hai ki jaati hi nahin apne badan se jab se tiri yaadon ke december mein paDe hain himmat ne to Daali hain sitaaron pe kamandein buzdil to dishaa-shul ke chakkar mein paDe hain is daur ke rahbar se mohabbat ki umidein jis daur mein sab biij hi avsar mein paDe hain kal-yug hai to kal-yug ki tarah jiinaa paDegaa kam-zarf hain vo log jo dvaapar mein paDe hain"
Urdu

برسوں سے فقط ایک ہی دفتر میں پڑے ہیں لگتا ہے کہ دفتر میں نہیں گھر میں پڑے ہیں سردی ہے کہ جاتی ہی نہیں اپنے بدن سے جب سے تری یادوں کے دسمبر میں پڑے ہیں ہمت نے تو ڈالی ہیں ستاروں پہ کمندیں بزدل تو دشاشول کے چکر میں پڑے ہیں اس دور کے رہبر سے محبت کی امیدیں جس دور میں سب بیج ہی اوسر میں پڑے ہیں کل یگ ہے تو کل یگ کی طرح جینا پڑے گا کم ظرف ہیں وہ لوگ جو دواپر میں پڑے ہیں

Hindi

बरसों से फ़क़त एक ही दफ़्तर में पड़े हैं लगता है कि दफ़्तर में नहीं घर में पड़े हैं सर्दी है कि जाती ही नहीं अपने बदन से जब से तिरी यादों के दिसम्बर में पड़े हैं हिम्मत ने तो डाली हैं सितारों पे कमंदें बुज़दिल तो दिशा-शूल के चक्कर में पड़े हैं इस दौर के रहबर से मोहब्बत की उमीदें जिस दौर में सब बीज ही अवसर में पड़े हैं कल-युग है तो कल-युग की तरह जीना पड़ेगा कम-ज़र्फ़ हैं वो लोग जो द्वापर में पड़े हैं

barsoñ se faqat ek hī daftar meñ paḌe haiñ
Maikash Azmi
Maikash Azmi
Maikash Azmi
poet13 quotes

More by Maikash Azmi

View all →
Quote
"shab-e-visaal ki hasrat ne maar Daalaa hai faqir-e-ishq ko chaahat ne maar Daalaa hai sunaa hai ishq mein marte hain be-vafaai se mujhe to teri mohabbat ne maar Daalaa hai zaraa si baat pe laDki na khud-kushi karti use samaaj ki ghairat ne maar Daalaa hai use hi chhoDnaa paDtaa hai ghar mohabbat kaa jise bhi ghar ki zarurat ne maar Daalaa hai bahut se log zalaalat mein maare jaate hain kisi kisi ko sharaafat ne maar Daalaa hai vabaa ye kaisi hai baiThe hain log haath dhare sabhi ko ek si fursat ne maar Daalaa hai"
Maikash AzmiMaikash Azmi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi