SHAWORDS

bazm mein un ki jaanaa bhi — Manzoor Hasan Nami

"bazm mein un ki jaanaa bhi hosh mein vaapas aanaa bhi ek nigaah-e-naaz mein hai jiinaa bhi mar jaanaa bhi rudaad-e-mansur suni sun meraa afsaanaa bhi ishq hai ban bhi taarik-e-din aql se ho begaana bhi dil se samajhnaa bhi hai kuchh kuchh hai use samjhaanaa bhi uf saaqi ki mast nigaah jhuum gayaa mai-khaana bhi baada-e-ishq se hain rangin miinaa bhi paimaana bhi puchh na hai kitnaa pur-kaif dhoke mein dil ke aanaa bhi yaar ke nikle divaane naadaan bhi sab daanaa bhi raah-e-ishq hai vo jis kaa kho denaa hai paanaa bhi rasm-e-vafaa kaa uThnaa thaa 'naami' kaa mar jaanaa bhi"
Urdu

بزم میں ان کی جانا بھی ہوش میں واپس آنا بھی ایک نگاہ ناز میں ہے جینا بھی مر جانا بھی روداد منصور سنی سن میرا افسانا بھی عشق ہے بن بھی تارک دیں عقل سے ہو بیگانہ بھی دل سے سمجھنا بھی ہے کچھ کچھ ہے اسے سمجھانا بھی اف ساقی کی مست نگاہ جھوم گیا مے خانہ بھی بادۂ عشق سے ہیں رنگین مینا بھی پیمانہ بھی پوچھ نہ ہے کتنا پر کیف دھوکے میں دل کے آنا بھی یار کے نکلے دیوانے ناداں بھی سب دانا بھی راہ عشق ہے وہ جس کا کھو دینا ہے پانا بھی رسم وفا کا اٹھنا تھا نامیؔ کا مر جانا بھی

Hindi

बज़्म में उन की जाना भी होश में वापस आना भी एक निगाह-ए-नाज़ में है जीना भी मर जाना भी रूदाद-ए-मंसूर सुनी सुन मेरा अफ़साना भी इश्क़ है बन भी तारिक-ए-दीं अक़्ल से हो बेगाना भी दिल से समझना भी है कुछ कुछ है उसे समझाना भी उफ़ साक़ी की मस्त निगाह झूम गया मय-ख़ाना भी बादा-ए-इश्क़ से हैं रंगीन मीना भी पैमाना भी पूछ न है कितना पुर-कैफ़ धोके में दिल के आना भी यार के निकले दीवाने नादाँ भी सब दाना भी राह-ए-इश्क़ है वो जिस का खो देना है पाना भी रस्म-ए-वफ़ा का उठना था 'नामी' का मर जाना भी

bazm meñ un kī jaanā bhī
Manzoor Hasan Nami
Manzoor Hasan Nami
Manzoor Hasan Nami
poet12 quotes

More by Manzoor Hasan Nami

View all →
Quote
"bad-tar hai maut se miraa jiinaa tire baghair duniyaa nahin hai ab miri duniyaa tire baghair kuchh bhi rahaa na ziist kaa qissa tire baghair khaamosh yaan zabaan hain goyaa tire baghair be-raunaqi jumud taattul sukut-e-marg aisaa hai kaaenaat kaa naqsha tire baghair yaksui-e-khayaal ki ab lazzatein kahaan dar dar bhaTak rahi hai tamanna tire baghair barbaadiyon se rabt ajal se hai saaz-baaz sar-garmiyaan junun ki hain kyaa kyaa tire baghair be-kaar hai har ek parastish jo tu nahin barbaad hain kunisht-o-kalisaa tire baghair thi dil se hi kashaakash-e-naaz-o-niyaaz sab hogaa na husn-o-ishq kaa charchaa tire baghair hansnaa tiri nazar ke tabassum ke saath thaa ab zakhm zakhm hai miraa ronaa tire baghair laachaar ho ke baiTh gaiin chaara-saaziyaan hogaa tiraa mariz na achchhaa tire baghair yak-baargi zamaane ki raftaar ruk gai bhulaa hai vaqt aah guzarnaa tire baghair naame se tere kyaa ho paraayon ko vaasta apnaa huaa na jab koi apnaa tire baghair"
Manzoor Hasan NamiManzoor Hasan Nami
Quote
"ban gaiin mahjuriyaan aazaar-e-jaan kis se kahein ham dil-e-betaab ki betaabiyaan kis se kahein aah saamaan-e-sukun-e-zindagi mumkin nahin ho gae dushman zamin-o-aasmaan kis se kahein zindagi ki bazm ahl-e-dard se khaali hui dard mein Duubi hui ye daastaan kis se kahein gardishon ne luuT li yaksar mataa-e-zindagi baaghbaan ne noch pheinkaa aashiyaan kis se kahein zindagi kaa lamha lamha sad masaaib dar-baghal har ghaDi hai ek daur-e-imtihaan kis se kahein gardishein naakaamiyaan mahrumiyaan maayusiyaan ho gai hai zindagi baar-e-garaan kis se kahein kaun dekhe husn ki paiham sitam-ijaadiyaan aashiqi ki bandish-e-aah-o-fughaan kis se kahein hijr ki kaifiyyaton se hai kisi ko kyaa gharaz ham yahaan par muztarib hain tum vahaan kis se kahein sunne vaalon se huaa mafqud sunne kaa mazaaq gulsitaan-e-ishq ki barbaadiyaan kis se kahein chappa-chappa ahl-e-dil ke vaaste hai khaar-zaar zarra-zarra aashiqon se bad-gumaan kis se kahein dil ki baatein lab par aaein bhi to suntaa kaun hai uTh gae sab ham-khayaal-o-ham-zabaan kis se kahein yaar jab aghyaar ho jaaein to kyaa lutf-e-sukhan mehrbaan ho jaaein jab naa-mehrbaan kis se kahein dil ke armaan rafta-rafta 'naami'-e-andoh-gin jaa rahe hain kaarvaan-dar-kaarvaan kis se kahein"
Manzoor Hasan NamiManzoor Hasan Nami
Quote
"har ek shai mein nihaan ruh-e-justuju tum ho hamaare dard bhare dil ki aarzu tum ho mire junun ne garebaan ko chaak kar ke unhein kahaa ishaaron mein saamaan-e-sad-rafu tum ho jidhar nigaah gai tum udhar nazar aae tumhaare jalve hain har shai mein chaar su tum ho kahegi laakh mein meri nigaah aalam mein zamaane bhar ke hasinon mein khub-ru tum ho chaTak ke kahte hain tum se ye ghuncha-haa-e-chaman hamaaraa husn-e-dil-aavez rang-o-bu tum ho chale ho saamnaa us barq-vash kaa karne ko sanbhal ke honaa jo 'manzur' ru-ba-ru tum ho"
Manzoor Hasan NamiManzoor Hasan Nami
Quote
"dil hote hote manzil-e-jaanaana ho gayaa aabaad rafta rafta ye viraana ho gayaa vo hain ki do-jahaan ko apnaae jaate hain main huun ki apni zaat se begaana ho gayaa jalne kaa shauq uf tire kushte ki khaak kaa jo zarra uD gayaa vahi parvaana ho gayaa teri tajalliyon ne vo badli hain suratein meraa khayaal ek pari-khaana ho gayaa vo raah raah-e-ishq hai jis mein ki rah-navard divaana jo huaa vahi farzaana ho gayaa masti ki laghzishon ko thaa ehsaas-e-bandagi girnaa hi meraa sajda-e-shukraana ho gayaa saaqi ki aankh mein vo balaa ki sharaab thi bad-mast ik nigaah mein mai-khaana ho gayaa begaanagi mein shaad huun main is khayaal se teraa vahi hai sab se jo begaana ho gayaa bazm-e-qadah ko dekh ke khud-gharziyon se paak 'naami' sharik-e-maslak-e-rindaana ho gayaa"
Manzoor Hasan NamiManzoor Hasan Nami
Quote
"ye junun-e-ishq kaam aa hi gayaa un ke divaanon mein naam aa hi gayaa aarzu-e-paaemaali muzhda-baad vo but-e-mahshar-khiraam aa hi gayaa al-madad shauq-e-shahaadat phir koi le ke tegh-e-be-niyaam aa hi gayaa go tahi thaa main usi par shaad huun mujh tak aakhir daur-e-jaam aa hi gayaa lo uThe parde harim-e-naaz kai lo vo hukm-e-qatl-e-aam aa hi gayaa uTh gai aakhir nigaah-e-sharmagin jazb-e-dil ik roz kaam aa hi gayaa chashm-e-qaatil ne ishaara kar dayaa hasraton kaa ikhtitaam aa hi gayaa intihaa-e-ranj mein teraa khayaal ban ke raahat kaa payaam aa hi gayaa ho gai maqbul rindon ki duaa dekh lo gardish mein jaam aa hi gayaa aarzuon par lagaa di bandishein ham ko dil kaa intizaam aa hi gayaa ban gayaa 'naami' ghubaar-e-raah-e-dost kuchh dil-e-marhum kaam aa hi gayaa"
Manzoor Hasan NamiManzoor Hasan Nami
Quote
"dard teraa mere dil ko be-mahaabaa mil gayaa yaani khud qatre se aa kar aaj dariyaa mil gayaa tum ne dekhaa ik nazar sab kuchh hi goyaa mil gayaa dard kaa darmaan milaa gham kaa mudaavaa mil gayaa aaj kyon aaina dekhaa jaa rahaa hai baar baar sach bataao kyaa tumhein koi tumhin saa mil gayaa dekh lenaa daastaan-e-dard ki ranginiyaan aansuon mein apne ab khun-e-tamannaa mil gayaa sainkaDon sajde kiye meri jabin-e-shauq ne jis jagah par aap kaa naqsh-e-kaf-e-paa mil gayaa kaise kaise jauharon ko piis Daalaa charkh ne tere haathon ai ajal miTTi mein kyaa kyaa mil gayaa dakhl shauq-e-dil ko thaa meri balaa-noshi mein kuchh chashm-e-saaqi ki taraf se kuchh ishaara mil gayaa 'naami'-e-afsurda shauq-e-justuju dil mein nahin varna fart-e-shauq ne jab us ko DhunDaa mil gayaa"
Manzoor Hasan NamiManzoor Hasan Nami

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil