SHAWORDS

beDiyaan apne ai asiir na dekh — Alimuddin Aleem

"beDiyaan apne ai asiir na dekh haath uThaa haath ki lakir na dekh aql rakhtaa hai to samajh mafhum sirf alfaaz-e-be-nazir na dekh ghar se niklaa hai jab duaa dete kaun muflis hai yaa amiir na dekh koi khubi nazar na aaegi meri tasvir aib-gir na dekh kaun sun kar sadaa na aaegaa band darvaaza ai faqir na dekh azm kaa tiir le ke aage baDh haath mein kyaa hai us ke viir na dekh donon jaanib 'alim' khaai hai saath hai kaun raahgir na dekh"
Urdu

بیڑیاں اپنے اے اسیر نہ دیکھ ہاتھ اٹھا ہاتھ کی لکیر نہ دیکھ عقل رکھتا ہے تو سمجھ مفہوم صرف الفاظ بے نظیر نہ دیکھ گھر سے نکلا ہے جب دعا دیتے کون مفلس ہے یا امیر نہ دیکھ کوئی خوبی نظر نہ آئے گی میری تصویر عیب گیر نہ دیکھ کون سن کر صدا نہ آئے گا بند دروازہ اے فقیر نہ دیکھ عزم کا تیر لے کے آگے بڑھ ہاتھ میں کیا ہے اس کے ویر نہ دیکھ دونوں جانب علیمؔ کھائی ہے ساتھ ہے کون راہگیر نہ دیکھ

Hindi

बेड़ियाँ अपने ऐ असीर न देख हाथ उठा हाथ की लकीर न देख अक़्ल रखता है तो समझ मफ़्हूम सिर्फ़ अल्फ़ाज़-ए-बे-नज़ीर न देख घर से निकला है जब दुआ देते कौन मुफ़्लिस है या अमीर न देख कोई ख़ूबी नज़र न आएगी मेरी तस्वीर ऐब-गीर न देख कौन सुन कर सदा न आएगा बंद दरवाज़ा ऐ फ़क़ीर न देख अज़्म का तीर ले के आगे बढ़ हाथ में क्या है उस के वीर न देख दोनों जानिब 'अलीम' खाई है साथ है कौन राहगीर न देख

beḌiyāñ apne ai asiir na dekh
Alimuddin Aleem
Alimuddin Aleem
Alimuddin Aleem
poet11 quotes

More by Alimuddin Aleem

View all →
Quote
"apne logon se raabta rakkho paas-e-rasm-o-rah-e-vafaa rakkho TuuT jaaegaa dil judaai se aane jaane kaa silsila rakkho raah dariyaa mein gar banaanaa hai haath mein musavi asaa rakkho khuld hai in ke paanv ke niche maan ko kis ne kahaa khafaa rakkho naav khud hi bhanvar se niklegi naakhudaa ho to hausla rakkho haal chehre kaa vo bataa degaa saamne apne aaina rakkho faisla kyaa karegaa vo jaane tum magar apnaa muddaaa rakkho hai isi mein 'alim' daanaai apne dushman ko ham-navaa rakkho"
Alimuddin AleemAlimuddin Aleem
Quote
"na de tabib davaa dard mein kami ke liye ki dil kaa rog zaruri hai zindagi ke liye rah-e-hayaat mein Thokar na ab lagegi tumhein ki zakhm-e-dil hain mire sab ki raushni ke liye thi us ke jism pe bosida be-kasi ki ridaa magar vo maang rahaa thaa duaa sabhi ke liye main maantaa huun ki niklaa hai sach ki khoj mein vo magar ye kaam nahin sahl har kisi ke liye miri zabaan pe kab tak lagaaegaa pahra zamir bech rahaa hai jo bartari ke liye talaash kartaa hai dariyaa tu reg-zaaron mein ye khud-kushi kaa hai andaaz tishnagi ke liye lagaate khuub ho misraa magar 'alim' suno aruuz jaannaa laazim hai shaairi ke liye"
Alimuddin AleemAlimuddin Aleem
Quote
"khulaa dimaagh to phir dil ko saaf karnaa paDaa miri vafaa kaa use e'tiraaf karnaa paDaa vo apne chehre pe rakhtaa thaa dusraa chehra fareb khaa ke mujhe inkishaaf karnaa paDaa thiin aisi kaun si majburiyaan tumhaare liye ki ahl-e-dil se tumhein ikhtilaaf karnaa paDaa chahaar samt gunaahon ke haath phaile the isi liye to mujhe etakaaf karnaa paDaa diyaa jab apni adaaon kaa vaasta us ne to bevafaa ko mujhe khud muaaf karnaa paDaa khudaa hi jaane ki dekhaa to kyaa huaa ehsaas ki ru-e-gul kaa nazar se tavaaf karnaa paDaa rahaa na zabt kaa yaaraa to ek din aakhir 'alim' apne hi dil mein shigaaf karnaa paDaa"
Alimuddin AleemAlimuddin Aleem

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari