"aagahi ilm-o-basirat mein nikhar jaane kaa naam raushni raah-e-vafaa mein khud bikhar jaane kaa naam aadmi ikhlaas ke gesu sanvar jaane kaa naam dosti jazbaat ke siine mein bhar jaane kaa naam tishnagi manzil se pahle hi Thahar jaane kaa naam shaaeri jazbaat ke siine mein bhar jaane kaa naam khud-sari nazron se auron ke utar jaane kaa naam buzdili saae se apne aap Dar jaane kaa naam bandagi har aarzu qurbaan kar jaane kaa naam zindagi ishq-o-mohabbat hi mein mar jaane kaa naam"
bevafaa ho na baa-vafaa ho tum — Ateeq Ahmad Jazib
"bevafaa ho na baa-vafaa ho tum ham samajhte hain bas-ki kyaa ho tum tum na dariyaa ho aur na paani ho sirf paani kaa bulbula ho tum jaise miTTi se ban ke aae ho isi miTTi ki phir ghizaa ho tum ik zamaana agar guzar jaae ik kahaani ho maajraa ho tum jaan lo ab bhi is haqiqat ko aur samajh lo ki kitne kyaa ho tum main to bas ik haqir banda huun ye na samjho ki bas khudaa ho tum kuchh khataa ham se bhi hui 'jaazib' kaise kah dein ki bevafaa ho tum"
بے وفا ہو نہ با وفا ہو تم ہم سمجھتے ہیں بسکہ کیا ہو تم تم نہ دریا ہو اور نہ پانی ہو صرف پانی کا بلبلہ ہو تم جیسے مٹی سے بن کے آئے ہو اسی مٹی کی پھر غذا ہو تم اک زمانہ اگر گزر جائے اک کہانی ہو ماجرا ہو تم جان لو اب بھی اس حقیقت کو اور سمجھ لو کہ کتنے کیا ہو تم میں تو بس اک حقیر بندہ ہوں یہ نہ سمجھو کہ بس خدا ہو تم کچھ خطا ہم سے بھی ہوئی جاذبؔ کیسے کہہ دیں کہ بے وفا ہو تم
बेवफ़ा हो न बा-वफ़ा हो तुम हम समझते हैं बस-कि क्या हो तुम तुम न दरिया हो और न पानी हो सिर्फ़ पानी का बुलबुला हो तुम जैसे मिट्टी से बन के आए हो इसी मिट्टी की फिर ग़िज़ा हो तुम इक ज़माना अगर गुज़र जाए इक कहानी हो माजरा हो तुम जान लो अब भी इस हक़ीक़त को और समझ लो कि कितने क्या हो तुम मैं तो बस इक हक़ीर बंदा हूँ ये न समझो कि बस ख़ुदा हो तुम कुछ ख़ता हम से भी हुई 'जाज़िब' कैसे कह दें कि बेवफ़ा हो तुम

More by Ateeq Ahmad Jazib
View all →"fazaa tark-e-taalluq ki badal jaae to achchhaa hai jo siine mein hai vo patthar pighal jaae to achchhaa hai mohabbat ki halaavat ho takallum ki sadaaqat ho zabaan se baat kuchh aisi nikal jaae to achchhaa hai khudaa se be-niyaazi is qadar achchhi nahin hoti abhi bhi vaqt hai insaan sanbhal jaae to achchhaa hai kisi bhi tarah puure hon hamaare dil ke sab armaan hamaare dil se ye armaan nikal jaae to achchhaa hai vo jis ke nuur se saaraa jahaan raushan thaa ai 'jaazib' vo haq ki shama phir ik baar jal jaae to achchhaa hai"
"dil ki chaahat ko aaftaab karo apni sirat ko maahtaab karo dil ko aamaada-e-savaab karo nekiyaan aur be-hisaab karo nafs ke intishaar mein phans kar apni duniyaa na tum kharaab karo fazl-e-rab ki agar tamanna hai bas gunaahon se ijtinaab karo apni duniyaa sanvaar lo lekin aakhirat ko bhi kaamyaab karo pahle sirat sanvaar lo apni phir zamaane ko tum khitaab karo ghar ko jannat agar banaanaa hai nek biivi kaa intikhaab karo"
"sunaaun kyaa tujhe ai dost maajraa dil kaa bahut ajiib rahaa hai moaamla dil kaa kabhi ye dil hai hamaaraa kabhi kisi kaa hai na jaane kaise badaltaa hai faisla dil kaa bahut zahin bahut tez hai magar phir bhi dimaagh kar nahin saktaa muqaabla dil kaa kabhi kabhi jo hamein hans ke dekh lete ho baDhaa rahe ho tum is tarah hausla dil kaa karegaa mujh pe nichhaavar vo rahmatein apni jo haal dekh rahaa hai miraa khudaa dil kaa vahi junun vahi gham vahi tamannaaein ilaaj koi abhi tak na ho sakaa dil kaa ye dhaDkanein to muqaddar hain is ki ai 'jaazib' tamaam umr chalegaa ye silsila dil kaa"
"har tarah se sataa sataa ke mujhe thak gae log aazmaa ke mujhe farz kaa raasta dikhaa ke mujhe aap kyon so gae jagaa ke mujhe paas the to na qadr thi meri yaad karte hain duur jaa ke mujhe main tumhein yaad kar ke jiitaa huun ji na paaoge tum bhulaa ke mujhe haadse the qadam qadam 'jaazib' us ne rakkhaa bachaa bachaa ke mujhe"
"jism mein thoDi jaan baaqi hai aakhiri imtihaan baaqi hai khaandaani nishaan baaqi hai saamne paan-daan baaqi hai sab makin ho gae hain khuld-nashin ab to khaali makaan baaqi hai kaisi kaisi aziim thiin qaumein jin ki ab daastaan baaqi hai thaa vahaan shaah kaa mahal shaayad us gali par kamaan baaqi hai ham ne un ko yaqin dilaayaa thaa phir bhi un kaa gumaan baaqi hai us ne pheinke zabaan ke khanjar aaj tak bhi nishaan baaqi hai zalzala ek aa gayaa thaa vahaan sar pe ab aasmaan baaqi hai miT gae the jo din-e-haq ke liye aaj tak un ki shaan baaqi hai din-e-haq kaa payaam zinda hai is zamin par quraan baaqi hai TukDe TukDe hue garebaan ke phir bhi kyon khinch-taan baaqi hai"
More on Maa
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"