"gardish-e-dauraan se ik lamha churaane liye sochnaa paDtaa hai kitnaa muskuraane ke liye kitni zahmat jheltaa hai ek muflis mezbaan ghar ki bad-hali ko mehmaan se chhupaane ke liye bhuuk un ko le gai hai kaar-khaanon ki taraf ghar se bachche nikle the schōl jaane ke liye khuun apnaa bech kar aayaa hai ik majbur baap beTiyon ke haath par mehndi lagaane ke liye zindagi jalti hai kitni dozakhon ki aag mein chaar-divaaron ki ik jannat banaane ke liye haae tyauhaaron ne logon ko bhikaari kar diyaa qarz lenaa paDtaa hai khushiyaan manaane ke liye ho rahe hain aaj daana aandhiyon mein mashvare sirf mere ghar kaa ik dipak bujhaane ke liye"
bevafaai us ne ki meri vafaa apni jagah — Abbas Dana
"bevafaai us ne ki meri vafaa apni jagah khun-e-dil apni jagah rang-e-hinaa apni jagah kitne chehre aae apnaa nuur kho kar chal diye hai magar raushan abhi tak aaina apni jagah zindagi ne us ko saahil se sadaaein diin bahut vaqt kaa dariyaa magar bahtaa rahaa apni jagah us ki mahfil se mujhe ab koi nisbat hi nahin hai miri tanhaaiyon kaa silsila apni jagah ham charaaghon se kareinge dosti ki baat ab ye andheron ne kiyaa hai faisla apni jagah to samundar aur meri zaat ik qatra sahi teri rahmat har taraf meri duaa apni jagah ab to mujh ko bhi sadaa dete hain 'daanaa' kah ke log zindagi rahne de apnaa mashvara apni jagah"
بے وفائی اس نے کی میری وفا اپنی جگہ خون دل اپنی جگہ رنگ حنا اپنی جگہ کتنے چہرے آئے اپنا نور کھو کر چل دیے ہے مگر روشن ابھی تک آئنہ اپنی جگہ زندگی نے اس کو ساحل سے صدائیں دیں بہت وقت کا دریا مگر بہتا رہا اپنی جگہ اس کی محفل سے مجھے اب کوئی نسبت ہی نہیں ہے مری تنہائیوں کا سلسلہ اپنی جگہ ہم چراغوں سے کریں گے دوستی کی بات اب یہ اندھیروں نے کیا ہے فیصلہ اپنی جگہ تو سمندر اور میری ذات اک قطرہ سہی تیری رحمت ہر طرف میری دعا اپنی جگہ اب تو مجھ کو بھی صدا دیتے ہیں داناؔ کہہ کے لوگ زندگی رہنے دے اپنا مشورہ اپنی جگہ
बेवफ़ाई उस ने की मेरी वफ़ा अपनी जगह ख़ून-ए-दिल अपनी जगह रंग-ए-हिना अपनी जगह कितने चेहरे आए अपना नूर खो कर चल दिए है मगर रौशन अभी तक आइना अपनी जगह ज़िंदगी ने उस को साहिल से सदाएँ दीं बहुत वक़्त का दरिया मगर बहता रहा अपनी जगह उस की महफ़िल से मुझे अब कोई निस्बत ही नहीं है मिरी तन्हाइयों का सिलसिला अपनी जगह हम चराग़ों से करेंगे दोस्ती की बात अब ये अँधेरों ने किया है फ़ैसला अपनी जगह तो समुंदर और मेरी ज़ात इक क़तरा सही तेरी रहमत हर तरफ़ मेरी दुआ अपनी जगह अब तो मुझ को भी सदा देते हैं 'दाना' कह के लोग ज़िंदगी रहने दे अपना मशवरा अपनी जगह

More by Abbas Dana
View all →"us ki vafaa na meri vafaa kaa savaal thaa donon hi chup the sirf anaa kaa savaal thaa is kashmakash mein khatm huaa raat kaa safar zid thi miri to us ki hayaa kaa savaal thaa sab muntazir the aasmaan detaa hai kyaa javaab pyaase labon pe kaali ghaTaa kaa savaal thaa majbur ham the aur vo mukhtaar thaa magar donon ke beach dast duaa kaa savaal thaa jaanaa thaa mai-kade se hamein ku-e-yaar tak lekin hamaari laghzish-e-paa kaa savaal thaa taqsim karne niklaa thaa vo raushni magar jalte hue diye ko havaa kaa savaal thaa 'daanaa' mujhe azal se ghazal ki talaash thi ye meri zindagi ki adaa kaa savaal thaa"
"aql-o-daanish ko zamaane se chhupaa rakkhaa hai khud ko daanista hi divaana banaa rakhaa hai ghar ki viraaniyaan le jaae churaa kar koi isi ummid pe darvaaza khulaa rakkhaa hai ban gae unche mahal un ki ibaadat gaahein naam daulat kaa jahaan sab ne khudaa rakkhaa hai qaabil-e-rashk se vo dukhtar-e-muflis jis ne tang-dasti mein bhi izzat ko bachaa rakkhaa hai jis ke mahlon mein charaaghon kaa na thaa koi shumaar us ki turbat pe faqat ek diyaa rakkhaa hai is se baDh kar tiri yaadon ki karun kyaa taazim teri yaadon mein zamaane ko bhulaa rakkhaa hai surkh-ru ho gaiin tanhaaiyaan meri 'daanaa' us ne kaandhe pe mire dast-e-hinaa rakkhaa hai"
"naam khushbu thaa saraapaa bhi ghazal jaisaa thaa chaand se chehre pe parda bhi ghazal jaisaa thaa saare alfaaz ghazal jaise the guftaar ke vaqt rang-e-izhaar-e-tamannaa bhi ghazal jaisaa thaa phuul hi phuul the kaliyaan thiin hasin galiyaan thiin aap ke ghar kaa vo rasta bhi ghazal jaisaa thaa us ki aankhein bhi hasin aankh mein aansu bhi hasin gham mein Duubaa huaa chehra bhi ghazal jaisaa thaa vo javaani vo mohabbat vo sharaarat kaa nasha vo miri umr kaa hissa bhi ghazal jaisaa thaa faasle the na judaai thi na tanhaai thi teri qurbat kaa vo lamha bhi ghazal jaisaa thaa vo na meraa na main us kaa thaa magar ai 'daanaa' dhundlaa dhundlaa saa vo rishta bhi ghazal jaisaa thaa"
"miraa khulus abhi sakht imtihaan mein hai ki mere dost kaa dushman miri amaan mein hai vo khush-nasib parinda hai jo uDaan mein hai ki tiir niklaa nahin hai abhi kamaan mein hai tumhaaraa naam liyaa thaa kabhi mohabbat se miThaas us ki abhi tak miri zabaan mein hai tum aake lauT gae phir bhi ho yahin maujud tumhaare jism ki khushbu mire makaan mein hai kahaan milegaa hasinon ko daur-e-haazir mein vo shaahzaada jo pariyon ki daastaan mein hai hai jism sakht magar dil bahut hi naazuk hai ki jaise aaina mahfuz ik chaTaan mein hai tujhe jo zakhm de tu us ko phuul de 'daanaa' yahi usul-e-vafaa tere khaandaan mein hai"
"zarf se baDh ke ho itnaa nahin maangaa jaataa pyaas lagti hai to dariyaa nahin maangaa jaataa chaand jaisi bhi ho beTi kisi muflisi ki to unche ghar vaalon se rishta nahin maangaa jaataa dosti kar ke havaa se jo jalaa dein ghar ko un charaaghon se ujaalaa nahin maangaa jaataa apne kamzor buzurgon kaa sahaaraa mat lo sukhe peDon se to saaya nahin maangaa jaataa peT bharte hain jo maange hue TukDe khaa kar un ke haathon se nivaala nahin maangaa jaataa bhiik bhi maango to tahzib kaa kaasa le kar haath phailaa ke khazaana nahin maangaa jaataa hai ibaadat ke liye shart aqidat 'daanaa' bandagi ke liye sajda nahin maangaa jaataa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"