Quote
"haal-e-dil haal-e-jahaan jab bhi sunaayaa us ne mujh se vahshi ko bhi yak-lakht rulaayaa us ne us ki tasvir kaa ik dusraa rukh aayaa nazar karb kaa aaina jab mujh ko dikhaayaa us ne qissa-e-ranj-o-alam apnaa sunaane ke liye ek viraan haveli mein bulaayaa us ne laakh taa'viz se behtar hai kahin maan ki du'aa mujh ko pardes mein ehsaas dilaayaa us ne shaakh-e-ummid pe khilte hain faqat dard ke phuul kaisaa paudaa mire aangan mein lagaayaa us ne ham ne 'badnaam' mohabbat ko likhaa lafz-e-'azim be-sabab kufr kaa ilzaam lagaayaa us ne"
A
Anwar Badnam