SHAWORDS

biThaai jaaeingi parde mein bibayaan kab tak — Akbar Allahabadi

"biThaai jaaeingi parde mein bibayaan kab tak bane rahoge tum is mulk mein miyaan kab tak haram-saraa ki hifaazat ko tegh hi na rahi to kaam deingi ye chilman ki tiliyaan kab tak miyaan se biibi hain parda hai un ko farz magar miyaan kaa 'ilm hi uTThaa to phir miyaan kab tak tabi'aton kaa numu hai havaa-e-maghrib mein ye ghairatein ye haraarat ye garmiyaan kab tak 'avaam baandh lein dohar to third vaanTar mein second-o-first ki hon band khiDkiyaan kab tak jo munh dikhaai ki rasmon pe hai musir iblis chhupeingi hazrat-e-havvaa ki beTiyaan kab tak janaab hazrat-e-'akbar' hain haami-e-parda magar vo kab tak aur un ki rubaaiyaan kab tak"
Urdu

بٹھائی جائیں گی پردے میں بیبیاں کب تک بنے رہو گے تم اس ملک میں میاں کب تک حرم سرا کی حفاظت کو تیغ ہی نہ رہی تو کام دیں گی یہ چلمن کی تیلیاں کب تک میاں سے بی بی ہیں پردہ ہے ان کو فرض مگر میاں کا علم ہی اٹھا تو پھر میاں کب تک طبیعتوں کا نمو ہے ہوائے مغرب میں یہ غیرتیں یہ حرارت یہ گرمیاں کب تک عوام باندھ لیں دوہر تو تھرڈ وانٹر میں سکنڈ‌ و فرسٹ کی ہوں بند کھڑکیاں کب تک جو منہ دکھائی کی رسموں پہ ہے مصر ابلیس چھپیں گی حضرت حوا کی بیٹیاں کب تک جناب حضرت اکبرؔ ہیں حامئ پردہ مگر وہ کب تک اور ان کی رباعیاں کب تک

Hindi

बिठाई जाएँगी पर्दे में बीबियाँ कब तक बने रहोगे तुम इस मुल्क में मियाँ कब तक हरम-सरा की हिफ़ाज़त को तेग़ ही न रही तो काम देंगी ये चिलमन की तीलियाँ कब तक मियाँ से बीबी हैं पर्दा है उन को फ़र्ज़ मगर मियाँ का 'इल्म ही उट्ठा तो फिर मियाँ कब तक तबी'अतों का नुमू है हवा-ए-मग़रिब में ये ग़ैरतें ये हरारत ये गर्मियाँ कब तक 'अवाम बाँध लें दोहर तो थर्ड वानटर में सेकंड-फ़र्स्ट की हों बंद खिड़कियाँ कब तक जो मुँह दिखाई की रस्मों पे है मुसिर इबलीस छुपेंगी हज़रत-ए-हवा की बेटियाँ कब तक जनाब हज़रत-ए-'अकबर' हैं हामी-ए-पर्दा मगर वो कब तक और उन की रुबाइयाँ कब तक

bi.Thā.ī jā.eñgī parde meñ bībayāñ kab tak
Akbar Allahabadi
Akbar Allahabadi
Akbar Allahabadi
poet269 quotes

More by Akbar Allahabadi

View all →
Quote
"fitna uTThe koi yaa ghaat mein dushman baiThe kaar-e-ulfat pe to ab hazrat-e-dil Than baiThe shaikh kaa'be mein kalisaa mein barahman baiThe ham to kuche mein tire maar ke aasan baiThe su-e-daulat nazar aai na jo raah-e-e'zaaz masnad-e-sabr-o-tavakkul hi pe ham tan baiThe huun main vo rind agar hashr mein mulzim Thahrun faisle ke liye huron kaa commission baiThe inqilaab-e-ravish-e-charkh ko dekh ai 'akbar' kal jo the dost mire aaj 'adu ban baiThe hind se aap ko hijrat ho mubaarak 'akbar' ham to gangaa hi pe ab maar ke aasan baiThe"
Akbar AllahabadiAkbar Allahabadi
Quote
"jiine mein ye ghaflat fitrat ne kyon tab'-e-bashar mein daakhil ki marne ki musibat jaanon par kyon qudrat-e-haq ne naazil ki kyon tul-e-amal mein uljhaayaa insaan ne apne daaman ko kyon zulf-e-havas ke phande mein phansti hai tabi'at ghaafil ki kyon hijr ke sadme hote hain kyon murdon pe zinde rote hain kyon jang mein jaanein jaati hain kyon baDhti hai himmat qaatil ki mantiq kaa to daa'vaa ek taraf taaqat ki ye shokhi ek taraf kyaa farq hai khair-o-shar mein yahaan kyaa jaanch hai haqq-o-baatil ki"
Akbar AllahabadiAkbar Allahabadi
Quote
"hasti ke shajar mein jo ye chaaho ki chamak jaao kachche na raho balki kisi rang mein pak jaao main ne kahaa qaail main tasavvuf kaa nahin huun kahne lage is bazm mein aao to thirak jaao main ne kahaa kuchh khauf collector kaa nahin hai kahne lage aa jaaein abhi vo to dubak jaao main ne kahaa varzish ki koi had bhi hai aakhir kahne lage bas is ki yahi had hai ki thak jaao main ne kahaa afkaar se pichhaa nahin chhuTtaa kahne lage tum jaanib-e-mai-khaana lapak jaao main ne kahaa 'akbar' mein koi rang nahin hai kahne lage she'r us ke jo sun lo to phaDak jaao"
Akbar AllahabadiAkbar Allahabadi
Quote
"duniyaa mein huun duniyaa kaa talabgaar nahin huun baazaar se guzraa huun kharidaar nahin huun zinda huun magar ziist ki lazzat nahin baaqi har-chand ki huun hosh mein hushyaar nahin huun is khaana-e-hasti se guzar jaaungaa be-laus saaya huun faqat naqsh-ba-divaar nahin huun afsurda huun ibrat se davaa ki nahin haajat gham kaa mujhe ye zoaf hai bimaar nahin huun vo gul huun khizaan ne jise barbaad kiyaa hai uljhun kisi daaman se main vo khaar nahin huun yaa rab mujhe mahfuz rakh us but ke sitam se main us ki inaayat kaa talabgaar nahin huun go daava-e-taqvaa nahin dargaah-e-khudaa mein but jis se hon khush aisaa gunahgaar nahin huun afsurdagi o zoaf ki kuchh had nahin 'akbar' kaafir ke muqaabil mein bhi din-daar nahin huun"
Akbar AllahabadiAkbar Allahabadi

More on Doha

View all →
Quote
"phulon mein ek rang hai aankhon ke niir kaa manzar tamaam-tar hai ye fasl-e-zamir kaa rishta vo kyaa huaa miri aankhon se niir kaa muddat hui hai haadsa dekhe zamir kaa paani utar gayaa to zamin sanglaakh thi tikhaa saa har savaal thaa raanjhe se hiir kaa teri azaan ke saath main uThtaa huun pau phaTe sar mein liye hue koi sajda asiir kaa dekhaa na doston ne imaarat ke us taraf puchhaa kabhi na haal kisi ne faqir kaa aaina gir paDaa thaa mire haath se kabhi phir yaad haadsa nahin koi zamir kaa sahraa-e-jism ruuh ke andar utar gayaa ab kyaa dikhaae mo'jiza insaan zamir kaa aansu ki ek buund ko aankhein taras gaiin is dhuup mein jhulas gayaa dohaa kabir kaa aadhaa falak ke paas thaa aadhaa zamin par main naa-tamaam khvaab thaa badr-e-munir kaa pakke huruf gard ki surat bikhar gae siine mein ghaav rah gayaa kachchi lakir kaa hoti raheingi baarishein 'ahmad' visaal ki khaali rahegaa jaam hamesha faqir kaa"
Ahmad ShanasAhmad Shanas
Quote
"na doharaao mujhe us ki kami achchhi nahin lagti adhuri daastaan-e-zindagi achchhi nahin lagti chalo mil kar kaTe raste pe ham ik pul banaa Daalein hamein bhi guftugu ab duur ki achchhi nahin lagti ye kaisaa daur aaya hai ki apne ghar ke bachchon ko buzurgon ki ab achchhi baat bhi achchhi nahin lagti 'uruj-e-zindagi paayaa hai jis ne pal ke ghurbat mein usi insaan ko ab muflisi achchhi nahin lagti mujhe jab yaad aa jaataa hai manzar ghar ke jalne kaa charaaghon ki bhi 'aatish' raushni achchhi nahin lagti"
A
Aatish Raza Senjpurii
Quote
"faqih-e-shahr ki majlis se kuchh bhalaa na huaa ki us se mil ke mizaaj aur kaafiraana huaa abhi abhi vo milaa thaa hazaar baatein kiin abhi abhi vo gayaa hai magar zamaana huaa vo raat bhuul chuko vo sukhan na doharaao vo raat khvaab hui vo sukhan fasaana huaa kuchh ab ke aise kaDe the firaaq ke mausam tiri hi baat nahin main bhi kyaa se kyaa na huaa hujum aisaa ki raahein nazar nahin aatin nasib aisaa ki ab tak to qaafila na huaa shahid-e-shab faqat ahmad-'faraaz' hi to nahin ki jo charaagh-ba-kaf thaa vahi nishaana huaa"
Ahmad FarazAhmad Faraz