Quote
"mohabbatein jab hisaab maangeingi nafraton kaa javaaz hogaa vo jis safar mein saubatein hon vo aabgina-navaaz hogaa kuchh aisi mushkil si aa paDi hai ki chehra aaina ban gayaa hai mujhe ye dhaDkaa hai dil mein rakkhaa ayaan vo muddat kaa raaz hogaa tilism kahiye ki yaa tamanna ragon mein paara lahu banaa hai lahu jo Tapkegaa ashk ban kar nazar se ulfat kaa saaz hogaa ye manzaron mein jo aa gae hain kisi ilaaqe ke sabz taair ye hijraton kaa hasin mausam farogh-e-gulshan ba-naaz hogaa akele-pan ki 'duaa' ye shiddat hi maar Daale kahin na mujh ko vo aaegaa to ye meraa honaa bhi us ke sarf-e-niyaaz hogaa"
