SHAWORDS

kuchh ziyaada na kam hui labrez — Dua Ali

HomeDua AliGhazal
"kuchh ziyaada na kam hui labrez had-e-qaul-o-qasam hui labrez teri yaadon ne dil ko taDpaayaa dard se chashm-e-nam hui labrez mujhe kirdaar kaaTne paDe phir jab kahaani qalam hui labrez itni mushkil zamin mein nazm 'duaa' aankh kar ke raqam hui labrez"
Urdu

کچھ زیادہ نہ کم ہوئی لبریز حد قول و قسم ہوئی لبریز تیری یادوں نے دل کو تڑپایا درد سے چشم نم ہوئی لبریز مجھے کردار کاٹنے پڑے پھر جب کہانی قلم ہوئی لبریز اتنی مشکل زمیں میں نظم دعاؔ آنکھ کر کے رقم ہوئی لبریز

Hindi

कुछ ज़ियादा न कम हुई लबरेज़ हद-ए-क़ौल-ओ-क़सम हुई लबरेज़ तेरी यादों ने दिल को तड़पाया दर्द से चश्म-ए-नम हुई लबरेज़ मुझे किरदार काटने पड़े फिर जब कहानी क़लम हुई लबरेज़ इतनी मुश्किल ज़मीं में नज़्म 'दुआ' आँख कर के रक़म हुई लबरेज़

kuchh ziyāda na kam huī labrez
Dua Ali
Dua Ali
Dua Ali
poet42 quotes

More by Dua Ali

View all →
Quote
"mohabbatein jab hisaab maangeingi nafraton kaa javaaz hogaa vo jis safar mein saubatein hon vo aabgina-navaaz hogaa kuchh aisi mushkil si aa paDi hai ki chehra aaina ban gayaa hai mujhe ye dhaDkaa hai dil mein rakkhaa ayaan vo muddat kaa raaz hogaa tilism kahiye ki yaa tamanna ragon mein paara lahu banaa hai lahu jo Tapkegaa ashk ban kar nazar se ulfat kaa saaz hogaa ye manzaron mein jo aa gae hain kisi ilaaqe ke sabz taair ye hijraton kaa hasin mausam farogh-e-gulshan ba-naaz hogaa akele-pan ki 'duaa' ye shiddat hi maar Daale kahin na mujh ko vo aaegaa to ye meraa honaa bhi us ke sarf-e-niyaaz hogaa"
Dua AliDua Ali
Quote
"kabhi jo aap ko dekhun to dil mein phuul khilte hain kahun main aap se kaise mujhe aap achchhe lagte hain mire dil ki ye khvaahish hai banun main aap ki dulhan ki dil mein aap rahte hain mire honTon pe sajte hain adhure khvaab jivan ke mire ho jaaeinge puure miri aankhon mein teri chaah ke ilhaam palte hain yahaan fursat kise hai dil ki jo basti kare aabaad yahaan suraj ki hamraahi mein saare log chalte hain kinaare nilgun dariyaa ke jaise ham bhi hain goyaa 'duaa' jo paani ke phailaav ki duuri pe rahte hain"
Dua AliDua Ali
Quote
"suntaa nahin hai dil to us bevafaa ki baatein kal par uThaa ke rakkho us bevafaa ki baatein dil hai udaas ab to is tazkire ko badlo kyon ho musir ki sun lo us bevafaa ki baatein aaj us ne hai rulaayaa ham ko bahut sataayaa ham se na karnaa ab to us bevafaa ki baatein TuuTe hain khvaab mere ab dafn in ko kar do dohraa bhi kyon rahe ho us bevafaa ki baatein ham ko sameTnaa hain ab dil ki kirchiyaan bhi toDaa hai dil ko dekho us bevafaa ki baatein us ki judaai kaise ab ham 'duaa' saheinge kuchh der phir se kar lo us bevafaa ki baatein"
Dua AliDua Ali
Quote
"shahr mein aa gae kyaa log bayaabaanon ke karb mein ho gae gum qahqahe armaanon ke tum ne dekhe nahin jazbon ke falak-bos shajar shab ki taariki mein jalte hue daalaanon ke ham se qaaem hai tire lafzon kaa ye shiraaza ham se kirdaar bane hain tire afsaanon ke kyon mujhe dukh miraa auron se judaa lagtaa hai dukh agar hote hain sab ek se insaanon ke kaise aaegi tire jism ki khushbu mujh tak khiDkiyaan hoti na darvaaze hain zindaanon ke ab 'duaa' kis ki umidon ke sahaare pe jiein TukDe to dekh liye khvaab mein gul-daanon ke"
Dua AliDua Ali
Quote
"jis kaa hotaa nahin vo log usi kaa samjhe kyaa buraai hai bure ko ki na achchhaa samjhe itnaa kaafir ho ki puchhe nahin ahvaal talak aise kaafir ko bhalaa kaun masihaa samjhe jiit to lungi main haari hui baazi lekin piit ke khel mein kaafir mujhe apnaa samjhe ek kaafir se faqat itni guzaarish hai miri dil ke bikhre hue aaine ko yakjaa samjhe us pe bahte hue ashkon kaa asar honaa nahin vo to patthar ki tarah hai use ham kyaa samjhe vo to but thaa kisi kaafir kaa taraashaa huaa but ham 'duaa' jis ko duaaon kaa karishma samjhe"
Dua AliDua Ali

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer