SHAWORDS

dam-ba-khud hai chaandni chup-chaap hain ashjaar bhi — Basheer Munzir

HomeBasheer MunzirGhazal
"dam-ba-khud hai chaandni chup-chaap hain ashjaar bhi aaj ki shab tham gai kyuun vaqt ki raftaar bhi ziist ki naav na jaane kis kinaare jaa lage malgaji si dhund hai is paar bhi us paar bhi dil ki baatein kahne vaale aur aahista zaraa gosh-bar-aavaaz hai koi pas-e-divaar bhi aansuon kaa abr vo barsaa ki sab kuchh bah gayaa hasraton ke shahr bhi zakhmon ke laala-zaar bhi"
Urdu

دم بخود ہے چاندنی چپ چاپ ہیں اشجار بھی آج کی شب تھم گئی کیوں وقت کی رفتار بھی زیست کی ناؤ نہ جانے کس کنارے جا لگے ملگجی سی دھند ہے اس پار بھی اس پار بھی دل کی باتیں کہنے والے اور آہستہ ذرا گوش بر آواز ہے کوئی پس دیوار بھی آنسوؤں کا ابر وہ برسا کہ سب کچھ بہہ گیا حسرتوں کے شہر بھی زخموں کے لالہ زار بھی

Hindi

दम-ब-ख़ुद है चाँदनी चुप-चाप हैं अश्जार भी आज की शब थम गई क्यूँ वक़्त की रफ़्तार भी ज़ीस्त की नाव न जाने किस किनारे जा लगे मल्गजी सी धुँद है इस पार भी उस पार भी दिल की बातें कहने वाले और आहिस्ता ज़रा गोश-बर-आवाज़ है कोई पस-ए-दीवार भी आँसुओं का अब्र वो बरसा कि सब कुछ बह गया हसरतों के शहर भी ज़ख़्मों के लाला-ज़ार भी

dam-ba-ḳhud hai chāñdnī chup-chāp haiñ ashjār bhī
Basheer Munzir
Basheer Munzir
Basheer Munzir
poet11 quotes

More by Basheer Munzir

View all →
Quote
"ham bayaabaanon mein ghume shahr ki saDkon pe Tahle dil kisi surat to sanbhle dil kisi surat to bahle zindagi ke raaste mein do-ghaDi kaa saath hai ye apne man ki main bhi kah luun apne man ki tu bhi kah le goyaa zinda rahnaa bhi ik jurm tere shahr mein thaa ham har ik aahaT pe larze ham har ik dhaDkan pe dahle ab to taa-hadd-e-nazar viraaniyaan phaili hui hain ghar kaa ye be-dar kharaaba kitnaa thaa aabaad pahle vaqt aisaa aa gayaa hai khaamushi behtar hai 'munzir' baat jo kahtaa hai sun le choT jo lagti hai sah le"
Basheer MunzirBasheer Munzir
Quote
"soe hue jazbon ko jagaa kar phir vo shaam na aai sang tire bas ik din aa kar phir vo shaam na aai teri baaton ki khushbu se mahki vaadi vaadi phulon ke ambaar lagaa kar phir vo shaam na aai nadi kinaare kaa vo manzar takne ko ji chaahe kunjon ki ik Daar uDaa kar phir vo shaam na aai baiThe baiThe jal uThti hain bhigi bhigi aankhein aab-e-ravaan mein aag lagaa kar phir vo shaam na aai roz hi suraj nikle 'manzar' roz hi suraj Duube main jis ki raah dekhun jaa kar phir vo shaam na aai"
Basheer MunzirBasheer Munzir
Quote
"sarmaaya-e-jaan hain shah-e-abraar ki baatein kis darja sukun deti hain sarkaar ki baatein karte hain karam sab pe ki aadat hai ye un ki sunte hain vafaadaar-o-khataa-kaar ki baatein haan kaise hain vo kucha-o-baazaar vo galiyaan kuchh aur karo shahr-e-pur-anvaar ki baatein haan kaise barastaa hai vahaan nuur kaa baadal kuchh aur karo gumbad-e-zau-baar ki baatein haan kaise ghubaar-e-dil-o-jaan dhultaa hai zaaer kuchh aur karo abr-e-guhar-baar ki baatein haan kaise vahaan chalti hain tham tham ke havaaein kuchh aur machalti hui mahkaar ki baatein ji chaahe ki har aan sunun zikr-e-payambar hoti rahein kaunain ke sardaar ki baatein"
Basheer MunzirBasheer Munzir

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil