SHAWORDS

dard auron kaa dil mein gar rakhiye — Darvesh Bharti

HomeDarvesh BhartiGhazal
"dard auron kaa dil mein gar rakhiye be-gharaz ho ke umr-bhar rakhiye ho hi jaaeingi mushkilein aasaan aql saa ek raahbar rakhiye paanv Thahrein khayaal chalte rahein ek aisaa bhi to safar rakhiye us ke dam se hai aabru kaa vajud apne kirdaar par nazar rakhiye ho ishaara ki bah sake na havaa aankh mein itnaa to asar rakhiye dosti mein hai shart ye 'darvesh' zikr main tu kaa taaq par rakhiye"
Urdu

درد اوروں کا دل میں گر رکھئے بے غرض ہو کے عمر بھر رکھئے ہو ہی جائیں گی مشکلیں آسان عقل سا ایک راہبر رکھئے پاؤں ٹھہریں خیال چلتے رہیں ایک ایسا بھی تو سفر رکھئے اس کے دم سے ہے آبرو کا وجود اپنے کردار پر نظر رکھئے ہو اشارہ کہ بہہ سکے نہ ہوا آنکھ میں اتنا تو اثر رکھئے دوستی میں ہے شرط یہ درویشؔ ذکر میں تو کا طاق پر رکھئے

Hindi

दर्द औरों का दिल में गर रखिए बे-ग़रज़ हो के उम्र-भर रखिए हो ही जाएँगी मुश्किलें आसान अक़्ल सा एक राहबर रखिए पाँव ठहरें ख़याल चलते रहें एक ऐसा भी तो सफ़र रखिए उस के दम से है आबरू का वजूद अपने किरदार पर नज़र रखिए हो इशारा कि बह सके न हवा आँख में इतना तो असर रखिए दोस्ती में है शर्त ये 'दरवेश' ज़िक्र मैं तू का ताक़ पर रखिए

dard auroñ kā dil meñ gar rakhiye
Darvesh Bharti
Darvesh Bharti
Darvesh Bharti
poet5 quotes

More by Darvesh Bharti

View all →
Quote
"jab mohabbat kaa kisi shai pe asar ho jaae ek viraan makaan boltaa ghar ho jaae main huun suraj-mukhi tu meraa hai dilbar suraj tu jidhar jaae miraa rukh bhi udhar ho jaae ranj-o-gham aish-o-khushi jis ke liye ek hi hon umr us shakhs ki shaahon si basar ho jaae jo bhi dukh dard musibat kaa piye vish hans kar kyuun na suqraat ki surat vo amar ho jaae lauT aao jo kabhi raam ki surat tum to man kaa sunsaan avadh diip nagar ho jaae khaa ke patthar bhi jo muskaan bikhere har-su baagh-e-aalam kaa vo phaldaar shajar ho jaae ham ne jaanaa hai yahi aa ke jahaan mein 'darvesh' honaa chaahe jo na hargiz vo bashar ho jaae"
Darvesh BhartiDarvesh Bharti
Quote
"jab se kisi se dard kaa rishta nahin rahaa jiinaa hamaaraa tab se hi jiinaa nahin rahaa tere khayaal-o-khvaab hi rahte hain aas-paas tanhaai mein bhi main kabhi tanhaa nahin rahaa aansu bahe hain itne kisi ke firaaq mein aankhon mein ik bhi vasl kaa sapnaa nahin rahaa darpesh aa rahe hain vo haalaat aaj-kal apnon ko apnon par hi bharosa nahin rahaa nafrat kaa zahr phailaa hai lekin kisi mein aaj mil baiTh sochne kaa bhi jazba nahin rahaa daar-o-madaar-e-zindagi jis par thaa vo bhi to jaisaa samajhte the use vaisaa nahin rahaa ye nasl-e-nau hai itni mohazzab ki is mein aaj 'darvesh' guftugu kaa saliqa nahin rahaa"
Darvesh BhartiDarvesh Bharti
Quote
"khush-fahmi-e-hunar ne sambhalne nahin diyaa mujh ko miri anaa hi ne phalne nahin diyaa chaahaa nae se riti-rivaajon mein main Dhalun lekin rivaayaton ne hi Dhalne nahin diyaa ek ek shai badalti gai mere aas-paas haalaat ne mujhe hi badalne nahin diyaa chalnaa thaa saath saath hamein umr-bhar magar naa-paaedaar umr ne chalne nahin diyaa dil mai-kade ki samt chalaa thaa magar use is raaste pe aql ne chalne nahin diyaa anjaam aarzu kaa buraa hai bas is liye dil mein kabhi charaagh ye jalne nahin diyaa 'darvesh' be-qaraar rahaa dil tamaam-umr mauqa sukun kaa ek bhi pal ne nahin diyaa"
Darvesh BhartiDarvesh Bharti

More on Dosti

View all →
Quote
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
Naeem SabaNaeem Saba
Quote
"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"gham utaaraa gayaa sabhi ke liye ashk utre hain aadmi ke liye ik tajalli mujhe 'inaayat ho meri aankhon ki raushni ke liye ji ke lagtaa nahin munaasib hai zindagi lafz zindagi ke liye baar hotaa rahaa kisi ke sipurd shukr kartaa rahaa kisi ke liye main ne had-darja koshishein kar liin dil banaa hi nahin khushi ke liye kuchh darinde bhi jaane jaate hain apni insaan-dosti ke liye sab nahin jaante ye vo dar hai yuun to darvaaza hai sabhi ke liye us ne baadal haTaa liye 'aamir' chand lamhon ki chaandni ke liye"
Aamir AzherAamir Azher
Quote
"nigaahon mein iqraar saare hue hain ham un ke hue vo hamaare hue hain jin aankhon mein aansu chakaare hue hain ham un ki nigaahon ke maare hue hain na khaTkein kaho kis tarah tir-e-mizhgaan jigar par hamaare utaare hue hain jhaDe jo tiri kafsh-e-zarrin ke zarre falak par vo jaa kar sayyaare hue hain 'abas jaan deti hai bulbul gulon par ye us rukh ke sadqe utaare hue hain kis andaaz se band-e-mahram kase hain ki joban ko un ke ubhaare hue hain yaqin hai balaa ho koi aaj naazil vo baalon ko apne sanvaare hue hain khabar-daar haathon se jaane na paaein ye duzd-e-hinaa maal maare hue hain kahe deti hain saaf aankhein tumhaari kisi ghair se kuchh ishaare hue hain main manjdhaar mein Dubtaa huun ilaahi vo dil le ke meraa kinaare hue hain hamesha jo bharte the dam dosti kaa vahi dushman-e-jaan hamaare hue hain nazar kar du'aa par khudaavand-e-aalam ki ham haath apne pasaare hue hain bhalaa ghair ki is mein hai kyaa shikaayat vahi dushman-e-jaan hamaare hue hain unhein ham ne nahlaa diyaa de ke chhinTein 'ajab lutf dariyaa kinaare hue hain khabar aamad-e-gul ki shaayad hai 'aaghaa' chaman saare jhaaDe bahaare hue hain"
A
Aagha Akbarabadi