"bahut mushkil ki khvaahish ko kabhi aasaan nahin dekhaa nayaa insaan banaane mein koi insaan nahin dekhaa vahaan barsaat dekhi hai jahaan imkaan nahin dekhaa abhi tak is pur-ummidi ne registaan nahin dekhaa gumaan guzre ta'alluq par ki jab tark-e-ta'alluq par mujhe ronaa nahin aayaa use hairaan nahin dekhaa agarche dekhte rahte hain par dekhaa nahin jaataa kai viraaniyaan dekhi hain ghar viraan nahin dekhaa nigaahein saari un pe hain ta'ajjub saaraa ham pe hai to kyaa sach mein nahin dekhaa are haan haan nahin dekhaa nazar tum ne ganvaa di hai magar aankhein to baaqi hain bahut mumkin hai tum ne bhi rukh-e-jaanaan nahin dekhaa"
gham utaaraa gayaa sabhi ke liye — Aamir Azher
"gham utaaraa gayaa sabhi ke liye ashk utre hain aadmi ke liye ik tajalli mujhe 'inaayat ho meri aankhon ki raushni ke liye ji ke lagtaa nahin munaasib hai zindagi lafz zindagi ke liye baar hotaa rahaa kisi ke sipurd shukr kartaa rahaa kisi ke liye main ne had-darja koshishein kar liin dil banaa hi nahin khushi ke liye kuchh darinde bhi jaane jaate hain apni insaan-dosti ke liye sab nahin jaante ye vo dar hai yuun to darvaaza hai sabhi ke liye us ne baadal haTaa liye 'aamir' chand lamhon ki chaandni ke liye"
غم اتارا گیا سبھی کے لیے اشک اترے ہیں آدمی کے لیے اک تجلی مجھے عنایت ہو میری آنکھوں کی روشنی کے لیے جی کے لگتا نہیں مناسب ہے زندگی لفظ زندگی کے لیے بار ہوتا رہا کسی کے سپرد شکر کرتا رہا کسی کے لیے میں نے حد درجہ کوششیں کر لیں دل بنا ہی نہیں خوشی کے لیے کچھ درندے بھی جانے جاتے ہیں اپنی انسان دوستی کے لیے سب نہیں جانتے یہ وہ در ہے یوں تو دروازہ ہے سبھی کے لیے اس نے بادل ہٹا لیے عامرؔ چند لمحوں کی چاندنی کے لیے
ग़म उतारा गया सभी के लिए अश्क उतरे हैं आदमी के लिए इक तजल्ली मुझे 'इनायत हो मेरी आँखों की रौशनी के लिए जी के लगता नहीं मुनासिब है ज़िंदगी लफ़्ज़ ज़िंदगी के लिए बार होता रहा किसी के सिपुर्द शुक्र करता रहा किसी के लिए मैं ने हद-दर्जा कोशिशें कर लीं दिल बना ही नहीं ख़ुशी के लिए कुछ दरिंदे भी जाने जाते हैं अपनी इंसान-दोस्ती के लिए सब नहीं जानते ये वो दर है यूँ तो दरवाज़ा है सभी के लिए उस ने बादल हटा लिए 'आमिर' चंद लम्हों की चाँदनी के लिए

More by Aamir Azher
View all →"sitaaron ki ginti hai ham jaante hain abhi raat baaqi hai ham jaante hain ye shohrat majaazi hai ham jaante hain ki hai bhi nahin bhi hai ham jaante hain bahut saari achchhi si khush-fahmiyon ki jo qimat adaa ki hai ham jaante hain gulistaan nazaare darakht ik muharram jo dil pe guzarti hai ham jaante hain ye zulf-e-khayaal-e-khataa hai na kholo ye khul kar jo karti hai ham jaante hain ye zaat-e-khudaa hai ye dikhti hai dekho magar kis ne dekhi hai ham jaante hain ba-yak-vaqt zabt-o-havas kar ke 'aamir' tabiat jo bigDi hai ham jaante hain"
"abhi qubul hai mujh ko udaas ho jaanaa abhi nasib hai qadmon mein un ke so jaanaa kisi kitaab se kaise koi nikaltaa hai kisi kitaab se TuuTaa gulaab to jaanaa tiri shabih mein dekhaa jahaan mein jo dekhaa tiri misaal se jaanaa jahaan mein jo jaanaa zamaana ek mein tahlil kar rahaa hai magar hamesha main ne safed-o-siyah ko do jaanaa ye kis ke ashk paDe hain ye qabr kis ki hai ye kaun rok rahaa hai kisi kaa kho jaanaa ye kitni martaba kitnon ke saath hotaa hai nikal kar ek safar par safar kaa ho jaanaa balaa ke she'r the 'aamir' balaa kaa shor bhi thaa balaa kaa shahr thaa jis ne na aap ko jaanaa"
"Thahraa na kuchh yahaan pe jo aayaa vo bik gayaa baazaar mein bas ek kharidaar Tik gayaa ik do minute hi aankh lagi hogi meri bas kyaa be-qaraar khvaab thaa itne mein dikh gayaa dekhaa vo band raasta aage khulaa milaa jo jiite ji na dekhaa vo marne pe dikh gayaa 'aamir' tumhaare she'r pe hone lagi hai baat kuchh tum ko bhi shu'ur hai kyaa tum se likh gayaa"
"dekho ye us kaa dekhnaa dekhe se aaegaa aur phir jo dekh loge to dekhaa na jaaegaa ye aisi manzilein hain ki rasta nahin koi saamaan baandh loge to rasta bulaaegaa be-dast-o-paa thaa shab main tiri yaad ke sabab itnaa ki lag rahaa thaa ki tu chhuT jaaegaa kho hi gai zabaan khamoshi ke darmiyaan sahraa mein koi shor bhi kab tak machaaegaa 'aamir' tujhe pataa hi nahin asliyat hai kyaa lekin ye khvaab mein bhi safar kaT hi jaaegaa"
"kab tak vahi saraab vahi iztiraab ho main hi karun bhi yaad mujhi par 'azaab ho paDhte to hon kai pe samajhtaa na ho koi aisaa na ho ki dil bhi khudaa ki kitaab ho maangi jo jaa rahi hai du'aa kaamyaabi ki apni to ye du'aa hai du'aa kaamyaab ho"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"shab ki taarik raahdaari hai aur miraa khauf iztiraari hai sabz khvaabon ki kam se kam qimat zindagi bhar ki ashk-baari hai ik musallat-shuda tamaddun ko ye na kahiye ki ikhtiyaari hai shash-jihaati mushaahida hai miyaan tajrabon ki sanad pe bhaari hai shukriya aap ki mohabbat kaa dil kaa maqsum sogvaari hai tajziye sun ke muskuraa denaa apni itni hi zimmedaari hai"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"