SHAWORDS

dard-e-dil ki davaa hai maah-e-nau — Anwar Jamal Anwar

"dard-e-dil ki davaa hai maah-e-nau aasmaan par khilaa hai maah-e-nau meri hi tarah teraa bhi un se kyaa koi vaasta hai maah-e-nau un kaa chehra dikhaai detaa hai kyaa koi aaina hai maah-e-nau muskuraataa hai dekh kar ham ko jaise sab jaantaa hai maah-e-nau din ko sotaa hai vo na jaane kahaan raat ko jaagtaa hai maah-e-nau rah ke meri tarah se chup 'anvar' jaane kyaa sochtaa hai maah-e-nau"
Urdu

درد دل کی دوا ہے ماہ نو آسماں پر کھلا ہے ماہ نو میری ہی طرح تیرا بھی ان سے کیا کوئی واسطہ ہے ماہ نو ان کا چہرہ دکھائی دیتا ہے کیا کوئی آئنہ ہے ماہ نو مسکراتا ہے دیکھ کر ہم کو جیسے سب جانتا ہے ماہ نو دن کو سوتا ہے وہ نہ جانے کہاں رات کو جاگتا ہے ماہ نو رہ کے میری طرح سے چپ انورؔ جانے کیا سوچتا ہے ماہ نو

Hindi

दर्द-ए-दिल की दवा है माह-ए-नौ आसमाँ पर खिला है माह-ए-नौ मेरी ही तरह तेरा भी उन से क्या कोई वास्ता है माह-ए-नौ उन का चेहरा दिखाई देता है क्या कोई आइना है माह-ए-नौ मुस्कुराता है देख कर हम को जैसे सब जानता है माह-ए-नौ दिन को सोता है वो न जाने कहाँ रात को जागता है माह-ए-नौ रह के मेरी तरह से चुप 'अनवर' जाने क्या सोचता है माह-ए-नौ

dard-e-dil kī davā hai māh-e-nau
Anwar Jamal Anwar
Anwar Jamal Anwar
Anwar Jamal Anwar
poet17 quotes

More by Anwar Jamal Anwar

View all →
Quote
"chaDhte tufaan ko saahil se guzarnaa thaa miyaan riit ke ghar ko bahar-haal bikharnaa thaa miyaan kab talak paanv ko toDe hue baiThaa rahtaa raah-e-dushvaar se rah-rav ko guzarnaa thaa miyaan itne maanus the sayyaad se jaate na kahin qaid mein par na parindon ke katarnaa thaa miyaan jab na samjhe to phir ab chheD ke pachhtaanaa kyaa chashm-e-namnaak mein ublaa huaa jharnaa thaa miyaan ishq ke gahre samundar mein gae kyuun 'anvar' uthle paani mein agar Duub ke marnaa thaa miyaan"
Anwar Jamal AnwarAnwar Jamal Anwar
Quote
"raat kaa kyaa zikr hai shaam-o-sahar aayaa nahin kaun saa ilzaam hai jo mere sar aayaa nahin yuun to raah-e-be-khatar mein rahnumaa milte rahe pur-khatar raahon mein koi raahbar aayaa nahin kaun jaane kis ke Dar se aaj phir meraa rafiq chaahtaa thaa mere ghar aanaa magar aayaa nahin is qadar qurbat baDhi har naqsh dhundlaa ho gayaa vo thaa mere saamne lekin nazar aayaa nahin dil ko kyaa kahiye ki vo qaatil ke ghar khud hi gayaa laakh koshish ki magar vo raah par aayaa nahin laakh andeshon ne 'anvar' gher rakkhaa hai mujhe raat sar par aa gai aur naama-bar aayaa nahin"
Anwar Jamal AnwarAnwar Jamal Anwar
Quote
"be-ghar thaa phir chhoD gayaa ghar jaane kyuun paar kiyaa hai saat samundar jaane kyuun aankhein hairaan dil viraan hain chehre zard chikh rahaa hai manzar manzar jaane kyuun aankhon mein mazlumon ke bas aansu hain fikr mein hai har ek sitam-gar jaane kyuun tapti riit jhulaste saae tund havaa ghar se niklaa mom kaa paikar jaane kyuun phuul saa chehra jhiil si us ki aankhein hain yaad aataa hai mujh ko aksar jaane kyuun aate jaate sab se baatein kartaa thaa chup baiThaa hai aaj qalandar jaane kyuun meri ghazlein sun kar 'anvar' chaahat se dekhtaa hai har ek sukhnavar jaane kyuun"
Anwar Jamal AnwarAnwar Jamal Anwar
Quote
"zamaana uf ye kaisaa ho rahaa hai jo sidhaa thaa vo ulTaa ho rahaa hai ab ahl-e-ilm mein taarikiyaan hain jahaalat mein saveraa ho rahaa hai vahaan par zindagi kaise bachegi jahaan qaatil masihaa ho rahaa hai bashar kaa maqsad-e-takhliq dekho use honaa thaa kyaa kyaa ho rahaa hai ye hai taqlid-e-maghrib kaa natija judaa muslim se parda ho rahaa hai hamaari raast-goi kaam aai vafaa honaa thaa vaada ho rahaa hai jamaal-e-fikr-o-fan kaa tere 'anvar' sukhan-daanon mein charchaa ho rahaa hai"
Anwar Jamal AnwarAnwar Jamal Anwar

More on Dil

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi