SHAWORDS

dard-e-dil phir sivaa kare koi — Asha Shailly

HomeAsha ShaillyGhazal
"dard-e-dil phir sivaa kare koi zakhm ko kyon haraa kare koi vo gulon se saji hui chaukhaT kaash sajda adaa kare koi bahr bhi qaafiya radif bhi hai ab ghazal to kahaa kare koi phir sukhan ko sanvaar dein chaliye rahnumaa to milaa kare koi zindagi kaT gai andheron mein ik diyaa phir jalaa kare koi zindagi naam ik qazaa kaa hai ghuT ke kab tak jiyaa kare koi ham ko 'shaili' ji ghar bhi jaanaa hai kaash haq mein du'aa kare koi"
Urdu

درد دل پھر سوا کرے کوئی زخم کو کیوں ہرا کرے کوئی وہ گلوں سے سجی ہوئی چوکھٹ کاش سجدہ ادا کرے کوئی بحر بھی قافیہ ردیف بھی ہے اب غزل تو کہا کرے کوئی پھر سخن کو سنوار دیں چلئے رہنما تو ملا کرے کوئی زندگی کٹ گئی اندھیروں میں اک دیا پھر جلا کرے کوئی زندگی نام اک قضا کا ہے گھٹ کے کب تک جیا کرے کوئی ہم کو شیلیؔ جی گھر بھی جانا ہے کاش حق میں دعا کرے کوئی

Hindi

दर्द-ए-दिल फिर सिवा करे कोई ज़ख़्म को क्यों हरा करे कोई वो गुलों से सजी हुई चौखट काश सज्दा अदा करे कोई बहर भी क़ाफ़िया रदीफ़ भी है अब ग़ज़ल तो कहा करे कोई फिर सुख़न को सँवार दें चलिए रहनुमा तो मिला करे कोई ज़िंदगी कट गई अँधेरों में इक दिया फिर जला करे कोई ज़िंदगी नाम इक क़ज़ा का है घुट के कब तक जिया करे कोई हम को 'शैली' जी घर भी जाना है काश हक़ में दु'आ करे कोई

dard-e-dil phir sivā kare koī
Asha Shailly
Asha Shailly
Asha Shailly
poet6 quotes

More by Asha Shailly

View all →

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi