SHAWORDS

dariyaa-e-ishq jo thaa utar kar nahin rahaa — Ali Ejaz Tamimi

"dariyaa-e-ishq jo thaa utar kar nahin rahaa baatin kaa haq-shanaas magar mar nahin rahaa achchhaa to aap khud hi rivaayat ko toD dein koi agar kisi kaa bhalaa kar nahin rahaa jazbaat is liye nahin phule phale kabhi dil yaad-e-ishq-e-yaar kaa mehvar nahin rahaa shaamil nahin hai yaar jo huraan-e-khuld mein ginti mein meri aaj se sattar nahin rahaa aise sitam-shiaar kaa bantaa nahin hai gham jo chhoDte hue bhi tujhe Dar nahin rahaa phir yuun huaa ki yaar ne divaar khinch di jo mushtarak thaa nakhl-e-sanobar nahin rahaa 'eajaaz' kam nahin ye fasurda-dili kaa bhi ham Dubne chale to samandar nahin rahaa"
Urdu

دریائے عشق جو تھا اتر کر نہیں رہا باطن کا حق شناس مگر مر نہیں رہا اچھا تو آپ خود ہی روایت کو توڑ دیں کوئی اگر کسی کا بھلا کر نہیں رہا جذبات اس لیے نہیں پھولے پھلے کبھی دل یاد عشق یار کا محور نہیں رہا شامل نہیں ہے یار جو حوران خلد میں گنتی میں میری آج سے ستر نہیں رہا ایسے ستم شعار کا بنتا نہیں ہے غم جو چھوڑتے ہوئے بھی تجھے ڈر نہیں رہا پھر یوں ہوا کہ یار نے دیوار کھینچ دی جو مشترک تھا نخل صنوبر نہیں رہا اعجازؔ کم نہیں یہ فسردہ دلی کا بھی ہم ڈوبنے چلے تو سمندر نہیں رہا

Hindi

दरिया-ए-इश्क़ जो था उतर कर नहीं रहा बातिन का हक़-शनास मगर मर नहीं रहा अच्छा तो आप ख़ुद ही रिवायत को तोड़ दें कोई अगर किसी का भला कर नहीं रहा जज़्बात इस लिए नहीं फूले फले कभी दिल याद-ए-इश्क़-ए-यार का महवर नहीं रहा शामिल नहीं है यार जो हूरान-ए-ख़ुल्द में गिनती में मेरी आज से सत्तर नहीं रहा ऐसे सितम-शिआ'र का बनता नहीं है ग़म जो छोड़ते हुए भी तुझे डर नहीं रहा फिर यूँ हुआ कि यार ने दीवार खींच दी जो मुश्तरक था नख़्ल-ए-सनोबर नहीं रहा 'ए'जाज़' कम नहीं ये फ़सुर्दा-दिली का भी हम डूबने चले तो समंदर नहीं रहा

dariyā-e-ishq jo thā utar kar nahīñ rahā
A
Ali Ejaz Tamimi
Ali Ejaz Tamimi
poet8 quotes

More by Ali Ejaz Tamimi

View all →
Quote
"be-khatar ranjish-e-dildaar uThaai jaae jaise divaar pe divaar uThaai jaae dushmani aur baDhaane kaa iraada jo nahin rakh ke kyon paanv pe dastaar uThaai jaae thak gayaa huun main uThaate hue aavaazon ko sochtaa huun koi talvaar uThaai jaae roz vo vasl ke badle mein alam detaa hai kyon na ye khvaahish-e-be-kaar uThaai jaae tujh ko bhi ilm nahin hai ki tiri chaukhaT par khilqat-e-shahr hai bezaar uThaai jaae dusri baar yaqin ishq pe aataa hai kise ye qasam vo hai jo ik baar uThaai jaae rush jo baDh jaae kharidaariyaan kam hoti hain kuchh na kuchh raunaq-e-baazaar uThaai jaae baadbaanon ke sahaaron pe raho mat 'eajaaz' hai havaa band to patvaar uThaai jaae"
A
Ali Ejaz Tamimi
Quote
"na shab kaa kuchh pata chale na din ki kuchh khabar lage main us nagar mein huun jahaan muhaafizon se Dar lage khudaa tire malang hain ye mast log tang hain yahaan pe kuchh sukun ho to ghar bhi apnaa ghar lage tabhi to ham ko saazishon ne sar ke bal giraa diyaa hami the bevaquf jo kisi ki aas par lage main hijr ke dayaar mein bhaTak bhaTak ke thak gayaa yahin kahin thiin manzilein yahin kahin the dar lage mujhe bhi us ke ishq par ho maan umr-bhar 'ali' main us kaa sirf us kaa huun use bhi umr-bhar lage"
A
Ali Ejaz Tamimi
Quote
"zabt ke qaafile phir bhi raahon mein the khvaab aankhon mein thaa aap baanhon mein the koi bichhDaa to phir hasbunallah kahaa gham ke maare tiri baargaahon mein the jheltaa kis tarah haakim-e-shahr gham tiir ashkon mein the tanz aahon mein the is liye bhi nahin jiit paayaa kabhi maat ke mashvare khair-khvaahon mein the ishq ke dar pe vaari gaiin azmatein kitne daaman-darida bhi shaahon mein the yaa-khudaa teri jannat to apni jagah kuchh maze bhi to the jo gunaahon mein the maan ne jaate hue thaa kahaa khair ho phir jahaan bhi gae ham panaahon mein the dekhnaa un kaa 'eajaaz' hai varna ham raushni mein khaDe ru-siyaahon mein the"
A
Ali Ejaz Tamimi
Quote
"jab se banaa liyaa tujhe parvardigaar yaar aati hai har taraf se sadaa yaar yaar yaar ye hijr ye firaaq hain qisse kahaaniyaan jaane kahaan gae hain sabhi duur paar yaar tu ham ko chhoD-chhaaD ke arshon pe jaa basaa ham ab bhi kar rahe hain tiraa intizaar yaar vo husn-e-be-misaal nazar aa gayaa mujhe dekhaa basaaraton se pare baar baar yaar vo dhaDkanon ki oT mein kartaa hai guftugu mujh mein basaa huaa hai mire aar-paar yaar daaman ko taar kar ke koi qais ho gayaa meri taraf bhi dekh badan taar-taar yaar jo ahlyaan-e-ishq the jaane kidhar gae ab to bache hain jhuuT ke qaul-o-qaraar yaar ai yaar dekh suratein viraan ho gaiin marne pe aa gae hain tire sogvaar yaar yaaraan-e-dardmand ne khushiyon ki di sadaa dekhaa gayaa na un se koi ashk-baar yaar 'eajaaz' vo judaa to huaa thaa gayaa nahin main roz mar rahaa huun magar qist-vaar yaar"
A
Ali Ejaz Tamimi
Quote
"ye umr thi na abhi hijr ke zamaane the mujhe to yaar abhi qahqahe lagaane the isi liye to chhupaae hain jaa ke miTTi mein vo log log nahin qimti khazaane the vahi judaai vahi duriyon kaa maatam hai jadid daur mein sadme vahi puraane the ghaDi ki ek suui hil nahin rahi jaise bichhaDte vaqt kaa lamha kai zamaane the jahaan-e-kun-fayakun mujh pe naaz kartaa thaa mire khudaa-o-payambar se dostaane the kanaar-e-aab thi suraj se dosti jis kaa yahaan pe aks kahin aur par Thikaane the ye kis ne raat ke baarah baje uThaayaa hai abhi to khvaab mujhe raushni ke aane the yahi bayaan hai phir amn tak laDeinge ham muraad ye ki abhi aur bam chalaane the tumhi ne call milaai nahin vagarna to bas ek phone pe ahbaab maan jaane the shikastagi se baDi pukhtagi milaani thi ye haadsaat kisi jiit ke bahaane the hamein to aur bhi 'eajaaz'-e-fan dikhaanaa thaa bahut se harf saraa-e-sukhan mein aane the"
A
Ali Ejaz Tamimi
Quote
"mohabbat hui to gumaan ho rahaa hai miri zindagi mein tumhaari kami thi nigaahon se qissa bayaan ho rahaa hai miri zindagi mein tumhaari kami thi piyaa jo dikhaa do vahi meri duniyaa sanam jo kaho tum vo hans ke karungi yahi qaul dil ki zabaan ho rahaa hai miri zindagi mein tumhaari kami thi khud hi hans rahaa huun khud hi ro rahaa huun yaqin ho chalaa hai tumhaaraa huaa huun huaa jo nahin thaa yahaan ho rahaa hai miri zindagi mein tumhaari kami thi khayaalon mein mere tumhi bas gae ho miri ruuh Tak mein tumhi rach gae ho miraa dil tumhaaraa makaan ho rahaa hai miri zindagi mein tumhaari kami thi miri raah mein shaam ki talkhiyaan thiin ye pur-kaif raatein kahaan par nihaan thiin andheraa ajab kahkashaan ho rahaa hai miri zindagi mein tumhaari kami thi main 'eajaaz' anmol ashaar kah kar ghazal likh rahaa huun tumhein yaar kah kar miraa har sukhan shaadmaan ho rahaa hai miri zindagi mein tumhaari kami thi"
A
Ali Ejaz Tamimi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari