"na aanaa thaa na aayaa aane vaalaa gayaa duniyaa se aakhir jaane vaalaa chhupaao laakh tum apne ko lekin tumhein paa kar rahegaa paane vaalaa mohabbat ko samajh se vaasta kyaa kaho ab chup rahe samjhaane vaalaa yahaan be-sud hai zikr-e-gham-e-dil yahaan koi nahin gham khaane vaalaa mujhe to hai gharaz insaaniyat se haram vaalaa ho yaa but-khaane vaalaa samajhne vaalaa ab koi nahin hai jise dekho vo hai samjhaane vaalaa hazaaron milte hain gham dene vaale koi miltaa nahin gham khaane vaalaa sabhi kaa tum to gham khaate ho 'aasi' tumhaaraa kaun hai gham khaane vaalaa"
dayaar-e-ishq mein vaaiz khirad kaa kaam nahin — Aasi Aarwi
"dayaar-e-ishq mein vaaiz khirad kaa kaam nahin udhar na bhuul ke jaanaa vo raah-e-aam nahin vo subh subh nahin hai vo shaam shaam nahin ki jis mein un ki taraf se koi payaam nahin vo raah-rau huun ki manzil nahin qayaam nahin talaash-e-dost mein kuchh qaid-e-subh-o-shaam nahin ye kaif-e-ishq hai vaqti surur-e-jaam nahin tiri tarah miraa naaseh khayaal khaam nahin nigaah-e-qahr kaa markaz thaa kaun mahfil mein huzur kahte hain teraa koi maqaam nahin ye falsafa ye siyaasat ye hikmat-o-daanish kahaan kahaan miri khaatir kamand-o-daam nahin vo dars dete hain akhlaaq kaa ab ai 'aasi' salaam kijiye jin ko to lein salaam nahin"
دیار عشق میں واعظ خرد کا کام نہیں ادھر نہ بھول کے جانا وہ راہ عام نہیں وہ صبح صبح نہیں ہے وہ شام شام نہیں کہ جس میں ان کی طرف سے کوئی پیام نہیں وہ راہ رو ہوں کہ منزل نہیں قیام نہیں تلاش دوست میں کچھ قید صبح و شام نہیں یہ کیف عشق ہے وقتی سرور جام نہیں تری طرح مرا ناصح خیال خام نہیں نگاہ قہر کا مرکز تھا کون محفل میں حضور کہتے ہیں تیرا کوئی مقام نہیں یہ فلسفہ یہ سیاست یہ حکمت و دانش کہاں کہاں مری خاطر کمند و دام نہیں وہ درس دیتے ہیں اخلاق کا اب اے آسیؔ سلام کیجیے جن کو تو لیں سلام نہیں
दयार-ए-इश्क़ में वाइ'ज़ ख़िरद का काम नहीं उधर न भूल के जाना वो राह-ए-आम नहीं वो सुब्ह सुब्ह नहीं है वो शाम शाम नहीं कि जिस में उन की तरफ़ से कोई पयाम नहीं वो राह-रौ हूँ कि मंज़िल नहीं क़याम नहीं तलाश-ए-दोस्त में कुछ क़ैद-ए-सुब्ह-ओ-शाम नहीं ये कैफ़-ए-इश्क़ है वक़्ती सुरूर-ए-जाम नहीं तिरी तरह मिरा नासेह ख़याल ख़ाम नहीं निगाह-ए-क़हर का मरकज़ था कौन महफ़िल में हुज़ूर कहते हैं तेरा कोई मक़ाम नहीं ये फ़ल्सफ़ा ये सियासत ये हिकमत-ओ-दानिश कहाँ कहाँ मिरी ख़ातिर कमंद-ओ-दाम नहीं वो दर्स देते हैं अख़्लाक़ का अब ऐ 'आसी' सलाम कीजिए जिन को तो लें सलाम नहीं

More by Aasi Aarwi
View all →"kyaa puchhte ho haal-e-dil-e-be-qaraar aaj jo kal thi hai vo gardish-e-lail-o-nahaar aaj us paikar-e-jafaa ko na kos ai dil-e-hazin teri tarah hai vo bhi bahut be-qaraar aaj mere hi dam se rah gayaa mai-khaane mein bharam varna janaab-e-shaikh ko miltaa udhaar aaj us ne likhaa hai bahr-ayaadat kal aaeinge jiine bhi degaa mujh ko dil-e-be-qaraar aaj kis mast ki duaa hui maqbul-e-baargaah aayaa hai jhuum jhuum ke abr-e-bahaar aaj mere liye kahin bhi jahaan mein sukun nahin le kar kahaan chalaa hai dil-e-be-qaraar aaj us gul ne jaane kyaa mire baare mein kah diyaa guzri hai mujh se kaT ke nasim-e-bahaar aaj ye faiz hai 'tabib'-o-'qatil' aur 'zaar' kaa 'aasi' jo shaairon mein hai teraa shumaar aaj"
"har shaakh-e-gul ko be-sar-o-saamaan banaa diyaa yaaron ne gulsitaan ko bayaabaan banaa diyaa takhliq sab ki ek hai aamaal ne magar kaafir tujhe to mujh ko musalmaan banaa diyaa is jaan-e-gulsitaan ki tamannaa ne ai nadim mujh ko har ik chaman se gurezaan banaa diyaa dushvaar ho chuki thi mujhe zindagi magar saaqi-e-dil-navaaz ne aasaan banaa diyaa 'aasi' khudaa kaa shukr karo jis ke lutf ne auron ke saath tum ko bhi insaan banaa diyaa"
"chaahe jo haal bhi ho un ki nazar hone tak ham jiye jaaeinge aahon mein asar hone tak be-khudi naam hai ehsaas-e-khudi kaa shaayad varna kuchh aur thaa mansur khabar hone tak sabr se kaam le ai dil is andhere se na Dar zulmat-e-shab hai sapedi-e-sahar hone tak jab jo chaahein vo kahein apne ko vaaiz lekin bartari mujh ko to haasil hai bashar hone tak haae vo husn-e-yaqin aah vo ummid-e-karam muntazir thaa tiraa bimaar sahar hone tak yuun to jiinaa hai ba-har-haal magar ai 'aasi' zindagi asl mein hai soz-e-jigar hone tak"
"dekhaa hai ik nazar unhein anjaam jo bhi ho qismat mein apni ai dil-e-naakaam jo bhi ho meri nazar pe saaraa zamaana hai mo'tariz lekin vo ik adaa hai lab-e-baam jo bhi ho imkaan phir rihaai ki kartaa hai koshishein murgh-e-balaa-nasib tah-e-daam jo bhi ho kuchh in-o-aan ko dakhl nahin raah-e-ishq mein ab un kaa mere vaaste paighaam jo bhi ho aankhon mein vaqt-e-did kuchh aansu zarur the ham par ab is ke vaaste ilzaam jo bhi ho kahtaa hai dil ki baat magar apne sher mein qismat kaa maaraa 'aasi'-e-gumnaam jo bhi ho"
"tiri barbaadiyon kaa zikr bazm-e-dil-braan tak hai kahaan ki baat hai ai dil magar pahunchi kahaan tak hai tu kyaa jaane mohabbat ke maze ai naaseh-e-naadaan pahunch tiri nigaahon ki faqat sud-o-ziyaan tak hai ham insaan hain magar takhliq-e-aalaa hain ki ai hamdam hamaare auj kaa charchaa zamin se aasmaan tak hai mohabbat aazmaati hai mohabbat karne vaalon ko ye sakhti ai dil-e-betaab tujh par imtihaan tak hai jahaan mein vaise to jiite hain sab lekin jo sach puchho maza jiine kaa duniyaa mein bahaar-e-dostaan tak hai koi jab dost kahtaa hai to sun letaa huun ai 'aasi' ki ab to dosti is ahd mein husn-e-bayaan tak hai"
More on Ishq
View all →"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
"hijaab vaalon se vo be-hijaab ho na sakaa vo saamne thaa magar be-naqaab ho na sakaa vajud-e-khaak kaa insaan khitaab ho na sakaa ye zarra ghair-e-karam aaftaab ho na sakaa karam vo tuur pe ik be-niyaaz-e-jalva par vo be-niyaazi thi jis kaa javaab ho na sakaa uThaa ke parda chhupaa kasrat-e-tajalli mein vo be-naqaab huaa be-naqaab ho na sakaa tamaam umr rahe dekhte hayaat ke khvaab hamaari aankhon mein ye khvaab khvaab ho na sakaa rahi fareb-e-tasavvur ye raftani duniyaa saraab jaise kabhi ju-e-aab ho na sakaa zamir zaahir-o-baatin se ho gayaa aagaah kharaab baada-e-irfaan kharaab ho na sakaa mire karim ne bakhshaa isi bahaane se mire gunaahon kaa jab kuchh hisaab ho na sakaa abhi kami hai tire zauq-e-ishq mein 'aiman' lahu huaa tiraa aansu sharaab ho na sakaa"