Quote
"kisi maqaam pe ham ko bhi roktaa koi magar uDaae liye jaati hai havaa koi tamaam-umr na mujh ko milaa vajud miraa tamaam-umr mujhe sochtaa rahaa koi mujhe sameT lo yaa phir uDaa ke le jaao ye kah ke raah-e-talab mein bikhar gayaa koi yunhi sadaaein na do khaamushi ke sahraa mein havaa chalegi to aa jaaegi sadaa koi kisi ko apni nigaahon pe eatibaar na thaa hamein hamaari tarah kaise dekhtaa koi hazaar sang hain raahon mein ab bhi soe hue ye aur baat hai ham ko jagaa gayaa koi badan ke dasht ko ham jis se paar kar lete kahin milaa na hamein aisaa raasta koi main band kamre mein khaamosh rah to saktaa huun mire badan mein agar ghuT ke mar gayaa koi"
