SHAWORDS

dekhe agar ye garmi-e-baazaar aaftaab — Hasan Barelvi

HomeHasan BarelviGhazal
"dekhe agar ye garmi-e-baazaar aaftaab sar bech kar ho teraa kharidaar aaftaab vo husn-e-khud-farosh agar be-naqaab ho mahtaab mushtari ho kharidaar aaftaab poshida gesuon mein huaa ru-epur-ziyaa hai aaj mehmaan-e-shab-e-taar aaftaab us ki tajalliyon se kare kaun ham-sari ho jis ke naqsh-e-paa se numudaar aaftaab ahbaab ko 'hasan' vo chamakti ghazal sunaa har lafz se ho jis ke numudaar aaftaab"
Urdu

دیکھے اگر یہ گرمئ بازار آفتاب سر بیچ کر ہو تیرا خریدار آفتاب وہ حسن خود فروش اگر بے نقاب ہو مہتاب مشتری ہو خریدار آفتاب پوشیدہ گیسوؤں میں ہوا روئے پر ضیا ہے آج میہمان شب تار آفتاب اس کی تجلیوں سے کرے کون ہم سری ہو جس کے نقش پا سے نمودار آفتاب احباب کو حسنؔ وہ چمکتی غزل سنا ہر لفظ سے ہو جس کے نمودار آفتاب

Hindi

देखे अगर ये गर्मी-ए-बाज़ार आफ़्ताब सर बेच कर हो तेरा ख़रीदार आफ़्ताब वो हुस्न-ए-ख़ुद-फ़रोश अगर बे-नक़ाब हो महताब मुश्तरी हो ख़रीदार आफ़्ताब पोशीदा गेसुओं में हुआ रू-ए-पुर-ज़िया है आज मेहमान-ए-शब-ए-तार आफ़्ताब उस की तजल्लियों से करे कौन हम-सरी हो जिस के नक़्श-ए-पा से नुमूदार आफ़्ताब अहबाब को 'हसन' वो चमकती ग़ज़ल सुना हर लफ़्ज़ से हो जिस के नुमूदार आफ़्ताब

dekhe agar ye garmi-e-bāzār āftāb
Hasan Barelvi
Hasan Barelvi
Hasan Barelvi
poet39 quotes

More by Hasan Barelvi

View all →
Quote
"raaz-e-dil laate hain zabaan tak ham dukh bharein ai khudaa kahaan tak ham aur vo ham se khinchte jaate hain minnatein karte hain jahaan tak ham na uDaa baaghbaan ki gulshan-e-dil aur hain aamad-e-khizaan tak ham aap ke lutf ne to qahr kiyaa khuub the jaur-e-aasmaan tak ham aasmaan tak gayaa hai sail-e-sarishk dil ko royaa karein kahaan tak ham un kaa aanaa bhi ab nahin manzur jaan se tang hain yahaan tak ham teraa paighaam bhi sunaa deinge ai 'hasan' pahunchein to vahaan tak ham"
Hasan BarelviHasan Barelvi
Quote
"chhup gayaa yaar khud-numaa ho kar rah gai chashm-e-shauq vaa ho kar be-qaraaron se un ko sharm aai shokhiyaan rah gaiin hayaa ho kar kyaa kahun kyaa hai mere dil ki khushi tum chale jaaoge khafaa ho kar ruuTh kar un se ham kahaan jitein vo manaa lete hain khafaa ho kar phans gayaa dil to chhoD do ham ko ab kahaan jaaeinge rihaa ho kar dil se kuchh kah rahi hain vo aankhein dekhein kyaa Thahre mashvaraa ho kar haath uThaa kar talaash-e-dil se 'hasan' baiTh rahiye shikasta-paa ho kar"
Hasan BarelviHasan Barelvi

More on Maa

View all →
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri