"dekhaa tujhe to aankhon ne aivaan sajaa liye jaise tamaam khoe hue khvaab paa liye jitne the tere mahke hue aanchalon ke rang sab titliyon ne aur dhanak ne uDaa liye aisi ghuTi fazaaon mein kaise jiyeinge vo kuchh qaafile jo aae hain taaza havaa liye in sar-phiri havaaon se kuchh aashnaa to huun gahre samundaron mein na kashti ko Daaliye izhaar kijiye ki zaraa karb kam to ho ai dosto dukhon ko dilon mein na paaliye khud hi uThaaein apne junun ki jaraahatein ye rog dusron ke na khaate mein Daaliye pahle ye kohsaar to taskhir kijiye 'faarigh' abhi falak pe kamandein na Daaliye"
dekhe koi jo chaak-e-garebaan ke paar bhi — Farigh Bukhari
"dekhe koi jo chaak-e-garebaan ke paar bhi aaina-e-khizaan mein hai aks-e-bahaar bhi ab har-nafas hai bhigi sadaaon ki ik fasil mauj-e-havas thi gardish-e-lail-o-nahaar bhi kyaa shorish-e-junun hai zaraa kam nahin huaa qurbat ke baavajud tiraa intizaar bhi kitni aqidaton ke jigar chaak ho gae kyaa sehr thaa shuur-e-nazar kaa khumaar bhi jo arsh-o-farsh par kabhi aayaa nahin nazar dekhaa hai us ko ham ne sar-e-rahguzaar bhi vo shor-e-husn thaa dam-e-nazzaara-e-jamaal ham sun sake na apne badan ki pukaar bhi 'faarigh' khayaal-e-yaar se main ham-subu rahaa guzri hai mai-kade mein shab-e-intizaar bhi"
دیکھے کوئی جو چاک گریباں کے پار بھی آئینۂ خزاں میں ہے عکس بہار بھی اب ہر نفس ہے بھیگی صداؤں کی اک فصیل موج ہوس تھی گردش لیل و نہار بھی کیا شورش جنوں ہے ذرا کم نہیں ہوا قربت کے باوجود ترا انتظار بھی کتنی عقیدتوں کے جگر چاک ہو گئے کیا سحر تھا شعور نظر کا خمار بھی جو عرش و فرش پر کبھی آیا نہیں نظر دیکھا ہے اس کو ہم نے سر رہ گزار بھی وہ شور حسن تھا دم نظارۂ جمال ہم سن سکے نہ اپنے بدن کی پکار بھی فارغؔ خیال یار سے میں ہم سبو رہا گزری ہے میکدے میں شب انتظار بھی
देखे कोई जो चाक-ए-गरेबाँ के पार भी आईना-ए-ख़िज़ाँ में है अक्स-ए-बहार भी अब हर-नफ़स है भीगी सदाओं की इक फ़सील मौज-ए-हवस थी गर्दिश-ए-लैल-ओ-नहार भी क्या शोरिश-ए-जुनूँ है ज़रा कम नहीं हुआ क़ुर्बत के बावजूद तिरा इंतिज़ार भी कितनी अक़ीदतों के जिगर चाक हो गए क्या सेहर था शुऊर-नज़र का ख़ुमार भी जो अर्श-ओ-फ़र्श पर कभी आया नहीं नज़र देखा है उस को हम ने सर-ए-रहगुज़ार भी वो शोर-ए-हुस्न था दम-ए-नज़्ज़ारा-ए-जमाल हम सुन सके न अपने बदन की पुकार भी 'फ़ारिग़' ख़याल-ए-यार से मैं हम-सुबू रहा गुज़री है मय-कदे में शब-ए-इंतिज़ार भी

More by Farigh Bukhari
View all →"parchhaaiyon ke ban mein kahin aa gayaa huun main daur-e-sitam kaa ek nayaa tajraba huun main chehron ki ek bhiiD sadaaon kaa ik julus teri gali mein aa ke tamaashaa banaa huun main ik 'umr se ye kis kaa mujhe intizaar hai jalti hui siyaah saDak par khaDaa huun main kitni kaDi masaafatein hain mere ham rikaab roz-e-azal se apne liye haadsa huun main vo subh meraa haath jhaTak kar chali gai raaton kaa zahr phaank ke pachhtaa rahaa huun main aabaadiyaan bhi mujh ko rifaaqat na de sakin tanhaai ki salib pe laTkaa rahaa huun main maqtal mein baT gayaa hai miraa reza reza jism bahte hue lahu ko nazar aa rahaa huun main 'faarigh' dukhe dilon ke na main kaam aa sakaa sharmindagi se ungliyaan chaTkhaa rahaa huun main"
"teri khaatir ye fusun ham ne jagaa rakkhaa hai varna aaraaish-e-afkaar mein kyaa rakkhaa hai hai tiraa aks hi aaina-e-dil ki zinat ek tasvir se album ko sajaa rakkhaa hai barg-e-sad-chaak kaa parda hai shagufta gul se qahqahon se kai zakhmon ko chhupaa rakkhaa hai ab na bhaTkeinge musaafir nai naslon ke kabhi ham ne raahon mein lahu apnaa jalaa rakkhaa hai ham se insaan ki khajaalat nahin dekhi jaati kam-savaadon kaa bharam ham ne ravaa rakkhaa hai kis qayaamat kaa hai didaar tiraa vaada-shikan dil-e-betaab ne ik hashr uThaa rakkhaa hai koi mushkil nahin pahchaan hamaari 'faarigh' apni khushbu kaa safar ham ne judaa rakkhaa hai"
"ham vaqt ke ham-safar hi Thahre kab tak koi apne ghar hi Thahre hai kokh koi sadaf nahin hai laazim to nahin guhar hi Thahre ji leinge vo lamha oDh kar ham ai kaash vo lamha bhar hi Thahre unchi thiin uDaanein jin ki vo bhi zindagi-e-baam-o-dar hi Thahre is shahr mein zindagi giraan hai jo Thahre vo daar par hi Thahre suraj thaa ki chaand thaa ki taare sab jaah-parast udhar hi Thahre ham log vo varaq-paa hain 'faarigh' jannat mein bhi mukhtasar hi Thahre"
"vo raushni hai kahaan jis ke baad saayaa nahin kisi ne aaj talak ye suraagh paayaa nahin kahaan se laaun vo dil jo tiraa buraa chaahe udu-e-jaan tiraa dukh bhi koi paraayaa nahin tiri sabaahat-e-sad-rang mein bikhar jaaun abhi vo lamha miri zindagi mein aayaa nahin tire vajud pe angDaai ban ke TuuTaa hai vo naghma jo kisi mutrib ne gungunaayaa nahin nai-naveli zaminon ki sondhi khushbu mein vo chaandni hai ki jis mein koi nahaayaa nahin ham ek fikr ke paikar hain ik khayaal ke phuul tiraa vajud nahin hai to meraa saayaa nahin vo baab jis mein tavaanaaiyon ki khushbu hai fasaana-saaz ne 'faarigh' kabhi sunaayaa nahin"
"hue hain sard dimaaghon ke dahke dahke alaav nafas ki aanch se fikr-o-nazar ke diip jalaao kiran kiran ko siyah badliyon ne gher liyaa hai tasavvuraat ke dhundle charaagho raah dikhaao kahaan hai gardish-e-dauraan kidhar hai sail-e-havaadis sukun-e-marg-e-musalsal mein Dubne lagi naav kabhi khizaan ke bagule kabhi bahaar ke jhule samajh sake na zamaane ke ye utaar chaDhaao ajiib saa hai kharaabaat ke faqihon kaa fatvaa bhaDakte shoalon se tapte dilon ki pyaas bujhaao hazaar gardanein kham hon buraa nahin pe sitam hai khayaal-o-fikr ki pasti nigaah-o-dil kaa jhukaao"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"khel duniyaa-e-'aarzi kaa huun ek kirdaar zindagi kaa huun mujh ko rakkhaa gayaa andhere mein main bhi haqdaar raushni kaa huun intihaa ke qarib hai duniyaa aadmi aakhiri sadi kaa huun dil ko ehsaas ho gayaa teraa mo'tarif teri dosti kaa huun main ne ghurbat mein 'ilm sikhaa hai main to maqruz muflisi kaa huun pur na hogaa jo mere baa'd kabhi ek aisaa khalaa kami kaa huun meraa dushman nahin 'khayaali' koi dost bhi main kisi kisi kaa huun"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"