SHAWORDS

dikhaa rahaa hai anguThaa falak se taaraa mujhe — Aanand Akhtar

HomeAanand AkhtarGhazal
"dikhaa rahaa hai anguThaa falak se taaraa mujhe dhakel de na bulandi se phir dobaaraa mujhe mire sivaa bhi koi qaid hai kharaabe mein ajiib taur se vo raat-bhar pukaaraa mujhe mire khilaaf khaDaa ho gayaa hai kaun aakhir jo ruup dhaar ke meraa hi tiir maaraa mujhe kiyaa jab us ne tah-e-aab meri kashti ko samajh mein baat nahin aai kyon ubhaaraa mujhe abhi sameT rahaa huun main dhajjiyaan apni na jaao chhoD ke aise mein be-sahaaraa mujhe"
Urdu

دکھا رہا ہے انگوٹھا فلک سے تارا مجھے دھکیل دے نہ بلندی سے پھر دوبارا مجھے مرے سوا بھی کوئی قید ہے خرابے میں عجیب طور سے وہ رات بھر پکارا مجھے مرے خلاف کھڑا ہو گیا ہے کون آخر جو روپ دھار کے میرا ہی تیر مارا مجھے کیا جب اس نے تہہ آب میری کشتی کو سمجھ میں بات نہیں آئی کیوں ابھارا مجھے ابھی سمیٹ رہا ہوں میں دھجیاں اپنی نہ جاؤ چھوڑ کے ایسے میں بے سہارا مجھے

Hindi

दिखा रहा है अँगूठा फ़लक से तारा मुझे धकेल दे न बुलंदी से फिर दोबारा मुझे मिरे सिवा भी कोई क़ैद है ख़राबे में अजीब तौर से वो रात-भर पुकारा मुझे मिरे ख़िलाफ़ खड़ा हो गया है कौन आख़िर जो रूप धार के मेरा ही तीर मारा मुझे किया जब उस ने तह-ए-आब मेरी कश्ती को समझ में बात नहीं आई क्यों उभारा मुझे अभी समेट रहा हूँ मैं धज्जियाँ अपनी न जाओ छोड़ के ऐसे में बे-सहारा मुझे

dikhā rahā hai añgūThā falak se taarā mujhe
A
Aanand Akhtar
Aanand Akhtar
poet1 quotes

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud