SHAWORDS

dil-gavaara chubhan hi marti hai — Khumar Mirzada

HomeKhumar MirzadaGhazal
"dil-gavaara chubhan hi marti hai ab tumhaari lagan hi marti hai qadr kyaa daavaa-e-anal-haq ki fikr-e-daar-o-rasan hi marti hai ruuh ki bahs kis liye ki yahaan aarzu-e-badan hi marti hai shaam-e-gosha-nashini kyaa kiije subh-e-sair-e-chaman hi marti hai is kahaani mein ik rivaayat se kyuun koi gul-badan hi marti hai"
Urdu

دل گوارہ چبھن ہی مرتی ہے اب تمہاری لگن ہی مرتی ہے قدر کیا دعویٔ انا الحق کی فکر دار و رسن ہی مرتی ہے روح کی بحث کس لیے کہ یہاں آرزوئے بدن ہی مرتی ہے شام گوشہ نشینی کیا کیجے صبح سیر چمن ہی مرتی ہے اس کہانی میں اک روایت سے کیوں کوئی گل بدن ہی مرتی ہے

Hindi

दिल-गवारा चुभन ही मरती है अब तुम्हारी लगन ही मरती है क़द्र क्या दावा-ए-अनल-हक़ की फ़िक्र-ए-दार-ओ-रसन ही मरती है रूह की बहस किस लिए कि यहाँ आरज़ू-ए-बदन ही मरती है शाम-ए-गोशा-नशीनी क्या कीजे सुब्ह-ए-सैर-ए-चमन ही मरती है इस कहानी में इक रिवायत से क्यूँ कोई गुल-बदन ही मरती है

dil-gavāra chubhan hī martī hai
Khumar Mirzada
Khumar Mirzada
Khumar Mirzada
poet8 quotes

More by Khumar Mirzada

View all →
Quote
"ik rang saa chhalkaa thaa magar baas na aai vo mauj-e-guzishta bhi koi khaas na aai is baat pe hujjat hain chahakte hue qarye har shakhs ko jangal ki fazaa raas na aai khuun ho ke agarche dil-e-sad-chaak bhi Tapkaa haathon mein va-lekin rag-e-ehsaas na aai tab ranj khule dhuup ganvaa dene ke ham par in sim-zada kunjon mein jab ghaas na aai paani bhi alag chhaan ke rakkhaa thaa lahu se lekin kisi pairaae mein ik pyaas na aai sau baar charaaghon ko munDeron pe dharaa hai aankhon ke jharokon mein koi aas na aai ai baad-e-sabaa mauj-e-pareshaan na huaa kar tu duur kahaan thi ki mire paas na aai"
Khumar MirzadaKhumar Mirzada
Quote
"nam-e-tarsil ke soton ko chhupaae rakkhaa mujh samaaat ne sadaaon ko chhupaae rakkhaa peD jalte rahe aavaara rahi gard-e-malaal dhuup ne abr ki chhaanv ko chhupaae rakkhaa taaq thaa khvaab thaa tanhaai thi taariki thi raat ne sirf charaaghon ko chhupaae rakkhaa ishq mein ham ne tamannaaon ki vahdat ke liye ek duuje se mizaajon ko chhupaae rakkhaa ai chaman-zaad-e-shafaq naaz-e-gul-e-sarv-khayaal ham ne khud mein tire khvaabon ko chhupaae rakkhaa ai yaqin-taab-badan teri taraashidagi se main ne jhaDti hui poron ko chhupaae rakkhaa dhuup ujlaae miraa chehra ki main bhi sochun saae ne kaise kharaashon ko chhupaae rakkhaa"
Khumar MirzadaKhumar Mirzada
Quote
"ham ki the khush-fahm din ki be-panaahi dekh kar haath malte rah gae shab ki siyaahi dekh kar kaun daaman dekhtaa hai kaun suntaa hai dalil jurm saabit ho rahaa hai be-gunaahi dekh kar ham na kahte the dinon mein ik hamaaraa din bhi hai din badalte hain hamaari daad-khvaahi dekh kar dilbari se khud-parasti ne rakhaa naa-aashnaa rukte rukte ruk gae ham kam-nigaahi dekh kar harf-e-be-maani se behtar hai navaa-e-be-sadaa ro paDaa main vaqt ki viraan-nigaahi dekh kar khaak par likkhe gae ham khaak par rakkhe gae lahlahaae sabzagi ki khush-giyaahi dekh kar dil-nashin hai ghuncha-e-nau-vaqt lekin kab talak dil lahu hai shaakh-e-gul ki kaj-kulaahi dekh kar kitne aise dard hain jin ki davaa chaahi gai sochtaa huun zakhm-e-dil ki baar-gaahi dekh kar dida-e-sailaab-ju ki dasht-pairaai khumaar aalam-e-khaashaak ki dekhi tabaahi dekh kar"
Khumar MirzadaKhumar Mirzada
Quote
"ho ke aaina muqaabil bhi rahaa rad ki nahin darmiyaan aaj bhi hai hijr ki sarhad ki nahin dil-baraan yunhi na thi kufr-parasti dil ki ftina-e-subh-e-qayaamat hai tiraa qad ki nahin haan bataa vahm se katraae hue husn-e-yaqin nang-e-tahqiq hui rasm-e-ab-o-jad ki nahin dil se us rashk-e-charaagh-e-harm-o-dair ke baad hai vahi vahshat-e-taariki-e-maabad ki nahin zindagi aaj talak meri tamannaa-gah mein tere kuchh kaam bhi aai hai khushaamad ki nahin hairatein aap bhulaa baiThi thiin tai kar ke jinhein aaina-khaanon mein raaij hai vo abjad ki nahin ishq mein kaun muqaabil thaa mire kis pe khule mansab-e-qais ki khvaahaan hai ye masnad ki nahin"
Khumar MirzadaKhumar Mirzada
Quote
"hikaayaton se fasaanon se ret uDti hai yahaan qadim zamaanon se ret uDti hai nasheb-e-jaan se umaDte hain taaza-rau dariyaa buland-baam makaanon se ret uDti hai lapak alag hai chamak aur hai lalak hai judaa ye kaisi kaisi uThaanon se ret uDti hai yahaan kitaabon se jhaDti hain bhurnhuri sadiyaan aur ek shelf ke khaanon se ret uDti hai ba-najd khaatir-e-majnun varaa-e-shauq-o-junun uDe to kitne bahaanon se ret uDti hai hamaari naqsh-numaai ko chaaTne ke liye tire tamaam jahaanon se ret uDti hai yahin kahin the vo lahrein uchhaalne vaale hamaare dil mein zamaanon se ret uDti hai"
Khumar MirzadaKhumar Mirzada

More on Dil

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil