"ik rang saa chhalkaa thaa magar baas na aai vo mauj-e-guzishta bhi koi khaas na aai is baat pe hujjat hain chahakte hue qarye har shakhs ko jangal ki fazaa raas na aai khuun ho ke agarche dil-e-sad-chaak bhi Tapkaa haathon mein va-lekin rag-e-ehsaas na aai tab ranj khule dhuup ganvaa dene ke ham par in sim-zada kunjon mein jab ghaas na aai paani bhi alag chhaan ke rakkhaa thaa lahu se lekin kisi pairaae mein ik pyaas na aai sau baar charaaghon ko munDeron pe dharaa hai aankhon ke jharokon mein koi aas na aai ai baad-e-sabaa mauj-e-pareshaan na huaa kar tu duur kahaan thi ki mire paas na aai"
nam-e-tarsil ke soton ko chhupaae rakkhaa — Khumar Mirzada
"nam-e-tarsil ke soton ko chhupaae rakkhaa mujh samaaat ne sadaaon ko chhupaae rakkhaa peD jalte rahe aavaara rahi gard-e-malaal dhuup ne abr ki chhaanv ko chhupaae rakkhaa taaq thaa khvaab thaa tanhaai thi taariki thi raat ne sirf charaaghon ko chhupaae rakkhaa ishq mein ham ne tamannaaon ki vahdat ke liye ek duuje se mizaajon ko chhupaae rakkhaa ai chaman-zaad-e-shafaq naaz-e-gul-e-sarv-khayaal ham ne khud mein tire khvaabon ko chhupaae rakkhaa ai yaqin-taab-badan teri taraashidagi se main ne jhaDti hui poron ko chhupaae rakkhaa dhuup ujlaae miraa chehra ki main bhi sochun saae ne kaise kharaashon ko chhupaae rakkhaa"
نم ترسیل کے سوتوں کو چھپائے رکھا مجھ سماعت نے صداؤں کو چھپائے رکھا پیڑ جلتے رہے آوارہ رہی گرد ملال دھوپ نے ابر کی چھاؤں کو چھپائے رکھا طاق تھا خواب تھا تنہائی تھی تاریکی تھی رات نے صرف چراغوں کو چھپائے رکھا عشق میں ہم نے تمناؤں کی وحدت کے لیے ایک دوجے سے مزاجوں کو چھپائے رکھا اے چمن زاد شفق ناز گل سرو خیال ہم نے خود میں ترے خوابوں کو چھپائے رکھا اے یقیں تاب بدن تیری تراشیدگی سے میں نے جھڑتی ہوئی پوروں کو چھپائے رکھا دھوپ اجلائے مرا چہرہ کہ میں بھی سوچوں سائے نے کیسے خراشوں کو چھپائے رکھا
नम-ए-तर्सील के सोतों को छुपाए रक्खा मुझ समाअ'त ने सदाओं को छुपाए रक्खा पेड़ जलते रहे आवारा रही गर्द-ए-मलाल धूप ने अब्र की छाँव को छुपाए रक्खा ताक़ था ख़्वाब था तन्हाई थी तारीकी थी रात ने सिर्फ़ चराग़ों को छुपाए रक्खा इश्क़ में हम ने तमन्नाओं की वहदत के लिए एक दूजे से मिज़ाजों को छुपाए रक्खा ऐ चमन-ज़ाद-ए-शफ़क़ नाज़-ए-गुल-ए-सर्व-ख़याल हम ने ख़ुद में तिरे ख़्वाबों को छुपाए रक्खा ऐ यक़ीं-ताब-बदन तेरी तराशीदगी से मैं ने झड़ती हुई पोरों को छुपाए रक्खा धूप उजलाए मिरा चेहरा कि मैं भी सोचूँ साए ने कैसे ख़राशों को छुपाए रक्खा

More by Khumar Mirzada
View all →"ham ki the khush-fahm din ki be-panaahi dekh kar haath malte rah gae shab ki siyaahi dekh kar kaun daaman dekhtaa hai kaun suntaa hai dalil jurm saabit ho rahaa hai be-gunaahi dekh kar ham na kahte the dinon mein ik hamaaraa din bhi hai din badalte hain hamaari daad-khvaahi dekh kar dilbari se khud-parasti ne rakhaa naa-aashnaa rukte rukte ruk gae ham kam-nigaahi dekh kar harf-e-be-maani se behtar hai navaa-e-be-sadaa ro paDaa main vaqt ki viraan-nigaahi dekh kar khaak par likkhe gae ham khaak par rakkhe gae lahlahaae sabzagi ki khush-giyaahi dekh kar dil-nashin hai ghuncha-e-nau-vaqt lekin kab talak dil lahu hai shaakh-e-gul ki kaj-kulaahi dekh kar kitne aise dard hain jin ki davaa chaahi gai sochtaa huun zakhm-e-dil ki baar-gaahi dekh kar dida-e-sailaab-ju ki dasht-pairaai khumaar aalam-e-khaashaak ki dekhi tabaahi dekh kar"
"is ek Dar mein ki aakhir ko TuuT jaaegaa ye aaina mire haathon se chhuT jaaegaa main toD saktaa huun pal mein sukut-e-sang-nasab magar ye dhyaan ki ik shakhs ruuTh jaaegaa zarur bujh ke rahegaa rukh-e-safar-talabi ye aabla hai to ik roz phuuT jaaegaa yaqin thaa ki koi saaneha guzarnaa hai gumaan na thaa ki tiraa saath chhuT jaaegaa ham ek ahd-e-abad-yaab kaa kharaa sach hain hamaare saath hamaaraa ye jhuuT jaaegaa"
"dil-gavaara chubhan hi marti hai ab tumhaari lagan hi marti hai qadr kyaa daavaa-e-anal-haq ki fikr-e-daar-o-rasan hi marti hai ruuh ki bahs kis liye ki yahaan aarzu-e-badan hi marti hai shaam-e-gosha-nashini kyaa kiije subh-e-sair-e-chaman hi marti hai is kahaani mein ik rivaayat se kyuun koi gul-badan hi marti hai"
"ho ke aaina muqaabil bhi rahaa rad ki nahin darmiyaan aaj bhi hai hijr ki sarhad ki nahin dil-baraan yunhi na thi kufr-parasti dil ki ftina-e-subh-e-qayaamat hai tiraa qad ki nahin haan bataa vahm se katraae hue husn-e-yaqin nang-e-tahqiq hui rasm-e-ab-o-jad ki nahin dil se us rashk-e-charaagh-e-harm-o-dair ke baad hai vahi vahshat-e-taariki-e-maabad ki nahin zindagi aaj talak meri tamannaa-gah mein tere kuchh kaam bhi aai hai khushaamad ki nahin hairatein aap bhulaa baiThi thiin tai kar ke jinhein aaina-khaanon mein raaij hai vo abjad ki nahin ishq mein kaun muqaabil thaa mire kis pe khule mansab-e-qais ki khvaahaan hai ye masnad ki nahin"
"hikaayaton se fasaanon se ret uDti hai yahaan qadim zamaanon se ret uDti hai nasheb-e-jaan se umaDte hain taaza-rau dariyaa buland-baam makaanon se ret uDti hai lapak alag hai chamak aur hai lalak hai judaa ye kaisi kaisi uThaanon se ret uDti hai yahaan kitaabon se jhaDti hain bhurnhuri sadiyaan aur ek shelf ke khaanon se ret uDti hai ba-najd khaatir-e-majnun varaa-e-shauq-o-junun uDe to kitne bahaanon se ret uDti hai hamaari naqsh-numaai ko chaaTne ke liye tire tamaam jahaanon se ret uDti hai yahin kahin the vo lahrein uchhaalne vaale hamaare dil mein zamaanon se ret uDti hai"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"khel duniyaa-e-'aarzi kaa huun ek kirdaar zindagi kaa huun mujh ko rakkhaa gayaa andhere mein main bhi haqdaar raushni kaa huun intihaa ke qarib hai duniyaa aadmi aakhiri sadi kaa huun dil ko ehsaas ho gayaa teraa mo'tarif teri dosti kaa huun main ne ghurbat mein 'ilm sikhaa hai main to maqruz muflisi kaa huun pur na hogaa jo mere baa'd kabhi ek aisaa khalaa kami kaa huun meraa dushman nahin 'khayaali' koi dost bhi main kisi kisi kaa huun"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"