"kahtaa hai kaun sang-o-shajar bolte nahin vo bolte hain jab to bashar bolte nahin taamil-e-hukm-e-rab mein hain masruf raat-din is vaaste ye shams-o-qamar bolte nahin gaanv ke zarre zarre mein hai shor-o-ghul magar baazaar chup hai aur nagar bolte nahin pal pal ki hai khabar inhein phir bhi na jaane kyon divaar be-zabaan hai dar bolte nahin paDhte rahe darud hai dasht-e-arab gavaah ye baat hai ghalat ki hajar bolte nahin be-jaan se bhi hote hain vo mahv-e-guftugu kyaa jaane mujh se kyon vo magar bolte nahin qatron ko roz dete hain ye dars-e-ijtihaad phir kaise maan luun ki guhar bolte nahin"
dil kaa gulshan jalaa gae kaanTe — Aulad
"dil kaa gulshan jalaa gae kaanTe un ki yaadein miTaa gae kaanTe ab zarurat nahin rahi gul ki itni kasrat se aa gae kaanTe ziist mein rah gai chubhan hi chubhan aisaa qabza jamaa gae kaanTe gul hi kyaa gulsitaan bhi hairaan hai is qadar mujh ko bhaa gae kaanTe ab to khushiyon ki bu nahin milti har taraf gham ke chhaa gae kaanTe un pe kaliyaan bhi ho gaiin shaidaa os mein yuun nahaa gae kaanTe kyaa kiyaa tum ne ajnabi mohsin raah se kyon haTaa gae kaanTe ab phaTaa jaa rahaa hai meraa dimaagh kaisi khushbu basaa gae kaanTe main to mohsin unhein samajhtaa rahaa nafratein kyon baDhaa gae kaanTe mujh ko ehsaas tak na ho paayaa dost ban kar samaa gae kaanTe ham tumhaare bane rahe ham-dam khuub ehsaan jataa gae kaanTe roz-o-shab kaa rahaa na farq koi niind aisi sulaa gae kaanTe kam nahin ham pe un kaa ye ehsaan ramz-e-duniyaa bataa gae kaanTe kaise azbar kitaab hoti mujhe har sabaq phir bhulaa gae kaanTe jaise saathi janam ke hon 'qudsi' yuun gale se lagaa gae kaanTe"
دل کا گلشن جلا گئے کانٹے ان کی یادیں مٹا گئے کانٹے اب ضرورت نہیں رہی گل کی اتنی کثرت سے آ گئے کانٹے زیست میں رہ گئی چبھن ہی چبھن ایسا قبضہ جما گئے کانٹے گل ہی کیا گلستاں بھی حیراں ہے اس قدر مجھ کو بھا گئے کانٹے اب تو خوشیوں کی بو نہیں ملتی ہر طرف غم کے چھا گئے کانٹے ان پہ کلیاں بھی ہو گئیں شیدا اوس میں یوں نہا گئے کانٹے کیا کیا تم نے اجنبی محسن راہ سے کیوں ہٹا گئے کانٹے اب پھٹا جا رہا ہے میرا دماغ کیسی خوشبو بسا گئے کانٹے میں تو محسن انہیں سمجھتا رہا نفرتیں کیوں بڑھا گئے کانٹے مجھ کو احساس تک نہ ہو پایا دوست بن کر سما گئے کانٹے ہم تمہارے بنے رہے ہم دم خوب احساں جتا گئے کانٹے روز و شب کا رہا نہ فرق کوئی نیند ایسی سلا گئے کانٹے کم نہیں ہم پہ ان کا یہ احساں رمز دنیا بتا گئے کانٹے کیسے ازبر کتاب ہوتی مجھے ہر سبق پھر بھلا گئے کانٹے جیسے ساتھی جنم کے ہوں قدسیؔ یوں گلے سے لگا گئے کانٹے
दिल का गुलशन जला गए काँटे उन की यादें मिटा गए काँटे अब ज़रूरत नहीं रही गुल की इतनी कसरत से आ गए काँटे ज़ीस्त में रह गई चुभन ही चुभन ऐसा क़ब्ज़ा जमा गए काँटे गुल ही क्या गुल्सिताँ भी हैराँ है इस क़दर मुझ को भा गए काँटे अब तो ख़ुशियों की बू नहीं मिलती हर तरफ़ ग़म के छा गए काँटे उन पे कलियाँ भी हो गईं शैदा ओस में यूँ नहा गए काँटे क्या किया तुम ने अजनबी मोहसिन राह से क्यों हटा गए काँटे अब फटा जा रहा है मेरा दिमाग़ कैसी ख़ुशबू बसा गए काँटे मैं तो मोहसिन उन्हें समझता रहा नफ़रतें क्यों बढ़ा गए काँटे मुझ को एहसास तक न हो पाया दोस्त बन कर समा गए काँटे हम तुम्हारे बने रहे हम-दम ख़ूब एहसाँ जता गए काँटे रोज़-ओ-शब का रहा न फ़र्क़ कोई नींद ऐसी सुला गए काँटे कम नहीं हम पे उन का ये एहसाँ रम्ज़-ए-दुनिया बता गए काँटे कैसे अज़बर किताब होती मुझे हर सबक़ फिर भुला गए काँटे जैसे साथी जनम के हों 'क़ुदसी' यूँ गले से लगा गए काँटे
More by Aulad
View all →"dil ke safhon mein jaal lafzon kaa jaan par hai vabaal lafzon kaa kaise mahfuz hon usul-e-huruf baDh rahaa hai zalaal lafzon kaa uljhe rahte hain sab ibaarat mein hai ajab ye kamaal lafzon kaa harf to harf kaT gae nuqte allah allah jalaal lafzon kaa ab qayaamat zabaan pe aaegi ho rahaa hai qitaal lafzon kaa hai kitaabon mein dimakon kaa hisaar aa gayaa ab zavaal lafzon kaa biich raahon mein saut ke hamraah luT gayaa saaraa maal lafzon kaa tum to sheron mein kho gae 'qudsi' aur ham ko malaal lafzon kaa"
"is daur mein jismon ke kharidaar bahut hain har samt gunaahon ke bhi baazaar bahut hain baalidgiyaan ruh-e-adab mein to sameTo aslaaf ke is hind mein aasaar bahut hain tahqiq tumhaari ye adhuri hi rahegi qudrat ke jahaan mein abhi asraar bahut hain tum shauq se shahron ke ujaalon se ho mahzuz mere liye paataal ziyaa-baar bahut hain gulzaar-e-rivaayat se zaraa zehn ko moDo jiddat ke bayaabaan mein ashjaar bahut hain sab par gul-e-raanaa ki to hoti hai navaazish kyaa mere muqaddar ke liye khaar bahut hain 'qudsi' to akelaa nahin maidaan-e-sukhan mein har kucha-o-baazaar mein fan-kaar bahut hain"
"vo ek shakhs miraa ham-mizaaj pahle thaa badal gayaa vahi kal mein jo aaj pahle thaa bashar ki pyaas bashar ke lahu se bujhti hai jahaan mein kyaa yahi khuni rivaaj pahle thaa tamaam vaqt guzartaa hai laghviyaat mein ab hamaare sar pe bahut kaam kaaj pahle thaa ye aisaa daur ki insaaniyat bilakti hai sukun se par baDaa saada samaaj pahle thaa na dekhi dahr ne us ki tarah ziyaa ab tak ajiib bujhtaa huaa ik siraaj pahle thaa ghubaar-o-khaak mein vo sab badal gae 'qudsi' javaaharaat kaa ghar bhar anaaj pahle thaa"
"dard kaa surmai samaan le jaa apne hamraah kaarvaan le jaa hogaa mashkur shisha-e-ehsaas raah se sang-e-sargiraan le jaa gard-aalud ye zamin de de saaf-o-shaffaaf aasmaan le jaa jism yuun hi rahegaa shoala-vash par lapaktaa huaa dhuaan le jaa mujh ko sone de us ke kuche mein jumla aasaaish-e-jinaan le jaa teraa pyaasaa zamir tar hogaa meri sukhi hui zabaan le jaa 'qudsi' shaadaan huun khushk reton par shauq se bahr-e-be-karaan le jaa"
"uDaa ghubaar havaaon ki anjuman mein hai dhuaan dhuaan saa fazaaon ki anjuman mein hai nigaah-e-manzar-e-dilkash mein chhaa gai surkhi mai-e-khumaar sadaaon ki anjuman mein hai libaas-posh ki khvaahish mein lag gayaa hai zang shikasta daagh qabaaon ki anjuman mein hai tum us se duur raho niind uD na jaae kahin thakan khamida ridaaon ki anjuman mein hai nizaam-e-vaqt kaa ab khuun nichoDnaa hogaa ki sang-e-sakht adaaon ki anjuman mein hai darinde karb ke manDlaa rahe hain us ke gird ye kaun khufta-balaaon ki anjuman mein hai bashar ki ziist mulavvis hai raakh se 'qudsi' sulagti aag vafaaon ki anjuman mein hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"