"rang-o-bu ban ke bahar-gaam bikharnaa hogaa tujh ko viraane se ai dost guzarnaa hogaa zindagi gardish-e-dauraan se pareshaan hi sahi meri khaatir tumhein ai dost sanvarnaa hogaa yuun na badlegaa ye mai-khaana-e-geti kaa nizaam dil ko aamaada-e-takhrib bhi karnaa hogaa ab to shabnam bhi nahin hisse mein kuchh ghunchon ke un ko khud apnaa lahu pi ke nikharnaa hogaa sarf kar dungaa har ik qatra lahu kaa apne rang-e-tasvir gulistaan mein jo bharnaa hogaa aaj hai saaz-e-takhayyul pe nazar 'mutrib' ki lahn-e-afkaar ko phir aaj sanvarnaa hogaa"
dil ke har zakhm-e-tamannaa ki qabaa jalti hai — Mutrib Baliyavi
"dil ke har zakhm-e-tamannaa ki qabaa jalti hai gham kaa vo josh-e-numu hai ki fazaa jalti hai raushni hai miri raahon mein usi mashal se dast-e-naazuk pe jo tahrir-e-hinaa chalti hai is taraf meraa gham-e-dil hai sulagtaa huaa gham us taraf us ke tabassum ki ridaa jalti hai meri aahon ke tarannum mein taraavat hi sahi saans letaa huun to ai dost fazaa jalti hai us ne kis karb-e-tamannaa se pukaaraa hai mujhe dil ne mahsus kiyaa hai ki sadaa jalti hai ye miri tira-nasibi to nahin hai 'mutrib' haae kis aag mein vo sham-e-hayaa jalti hai"
دل کے ہر زخم تمنا کی قبا جلتی ہے غم کا وہ جوش نمو ہے کہ فضا جلتی ہے روشنی ہے مری راہوں میں اسی مشعل سے دست نازک پہ جو تحریر حنا چلتی ہے اس طرف میرا غم دل ہے سلگتا ہوا غم اس طرف اس کے تبسم کی ردا جلتی ہے میری آہوں کے ترنم میں طراوت ہی سہی سانس لیتا ہوں تو اے دوست فضا جلتی ہے اس نے کس کرب تمنا سے پکارا ہے مجھے دل نے محسوس کیا ہے کہ صدا جلتی ہے یہ مری تیرہ نصیبی تو نہیں ہے مطربؔ ہائے کس آگ میں وہ شمع حیا جلتی ہے
दिल के हर ज़ख़्म-ए-तमन्ना की क़बा जलती है ग़म का वो जोश-ए-नुमू है कि फ़ज़ा जलती है रौशनी है मिरी राहों में उसी मशअ'ल से दस्त-ए-नाज़ुक पे जो तहरीर-ए-हिना चलती है इस तरफ़ मेरा ग़म-ए-दिल है सुलगता हुआ ग़म उस तरफ़ उस के तबस्सुम की रिदा जलती है मेरी आहों के तरन्नुम में तरावत ही सही साँस लेता हूँ तो ऐ दोस्त फ़ज़ा जलती है उस ने किस कर्ब-ए-तमन्ना से पुकारा है मुझे दिल ने महसूस किया है कि सदा जलती है ये मिरी तीरा-नसीबी तो नहीं है 'मुतरिब' हाए किस आग में वो शम-ए-हया जलती है

More by Mutrib Baliyavi
View all →"shanaasaa-e-rumuz-e-fitrat-e-gham hoti jaati hai nishaat-o-kaif se bhi aankh pur-nam hoti jaati hai main jitnaa chheDtaa jaataa huun apne barbat-e-dil ko miri aavaaz ab utni hi maddham hoti jaati hai machalti hai nasim-e-subh se aaghosh mein paiham gulon se kis qadar be-baak shabnam hoti jaati hai ye kaise jaam hain saaqi ki jitni piitaa jaataa huun miri tishna-labi utni hi barham hoti jaati hai ilaahi kaun aaya hai bahaarein le ke zindaan mein nazar meri saraapaa khair-maqdam hoti jaati hai sitam ke saath kuchh un kaa karam hai mujh par ai 'mutrib' mohabbat ab nishaat-o-gham kaa sangam hoti jaati hai"
"baDi latif kashish thi hasin panaah mein thaa khuli jo aankh to main apni khvaab-gaah mein thaa hadis-e-ahd-e-masarrat miri nigaah mein thi ki ek paikar-e-raaanaa dil-e-tabaah mein thaa tulaa huaa thaa kabhi jaan lene dene par ajiib rang-e-vafaa us ke intibaah mein thaa har ek samt thi us ki nigaah patthar ki vo sang-dil barahna jo shaahraah mein thaa miri hayaat hi qaatil sahi magar 'mutrib' baDe sukun se main apni qatl-gaah mein thaa"
"kyon na ai bedaari-e-ehsaas tujh se Dar lage jab kisi kaa sar qalam ho mujh ko apnaa sar lage chehra chehra DhunDhtaa huun shaadmaani ki dalil jaane kyon har shakhs mujh ko gham kaa paighambar lage reza reza chun rahaa huun aansuon ki chhaanv mein dil ke aaine pe kitne vaqt ke patthar lage lamha lamha chaaTti hai dil ke zakhmon kaa lahu phir bhi zaalim mujh ko tanhaai baDi dilbar lage jin ko maani ne kabhi chhune ki jurat bhi na ki ahd-e-haazir mein hamaare haath vo patthar lage tab kahin marbut mutrib dil kaa afsaana huaa ban ke jab paivand mere dard ke manzar lage"
"tiri nigaah mein ho husn-e-iltimaas kahaan bujhegi haae mire dil ki ab ye pyaas kahaan yahaan to band dariche hain aur kuchh bhi nahin mujhe le aai hai tu ai nigaah-e-yaas kahaan khulus-o-mehr-o-vafaa nazr-e-tajrabaat hue tamaam jism barahna hai ab libaas kahaan na rang-e-'mir' na 'ghaalib' ki fikr kaa andaaz miri ghazal mein kisi kaa bhi inikaas kahaan mileinge aap ko 'mutrib' adab-navaaz bahut magar milegi nigaah-e-sukhan-shanaas kahaan"
"chaunk chaunk uThtaa huun ai baad-e-sabaa raat gae kaun detaa hai dar-e-dil pe sadaa raat gae aarzuon ke musalsal kai baadal barse mire shaane pe vo lahraai ghaTaa raat gae mere hi siine mein chehre ko chhupaa kar us ne di miri shokh-nigaahi ki sazaa raat gae dil mein ab tak hai shafaq-rang khayaalon kaa hujum us ke aariz pe thaa vo rang-e-hayaa raat gae us ke eajaaz-e-talattuf ki taDap kyaa kahiye koi ehsaas kaa pahlu na bachaa raat gae haae ye ramz-e-sukhan aah ye andaaz-e-firaaq kasmasaa aur miri fikr zaraa raat gae thaa mire haath mein vo dast-e-hinaai 'mutrib' the dar-e-dil pe bhi kuchh naqsh-e-hinaa raat gae"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"