SHAWORDS

dil ko duniyaa se uThaaeinge chale jaaeinge — Pinhaan

HomePinhaanGhazal
"dil ko duniyaa se uThaaeinge chale jaaeinge khaak hasti ki uDaaeinge chale jaaeinge ye parinde jo munDeron pe khuli dhuup mein hain baal-o-par apne sukhaaeinge chale jaaeinge ik nazar dekh jab aaina banaayaa hai hamein ham tire hosh uDaaeinge chale jaaeinge jo kisi ko bhi samajh mein nahin aaeinge vahi zindagi kyaa hai bataaeinge chale jaaeinge ham to bas un ki angiThi kaa bachaa indhan hain dil vo phir aa ke jalaaeinge chale jaaeinge meraa khaaliq bhi to dekhe vo hai kaisaa khaaliq aaina us ko dikhaaeinge chale jaaeinge ai khudaa kyaa tiri duniyaa ko banaa kar dozakh apni jannat vo kamaaenge chale jaaeinge hasrat-e-daad bhi ab dil mein nahin hai 'pinhaan' muft mein sher sunaaeinge chale jaaeinge"
Urdu

دل کو دنیا سے اٹھائیں گے چلے جائیں گے خاک ہستی کی اڑائیں گے چلے جائیں گے یہ پرندے جو منڈیروں پہ کھلی دھوپ میں ہیں بال و پر اپنے سکھائیں گے چلے جائیں گے اک نظر دیکھ جب آئینہ بنایا ہے ہمیں ہم ترے ہوش اڑائیں گے چلے جائیں گے جو کسی کو بھی سمجھ میں نہیں آئیں گے وہی زندگی کیا ہے بتائیں گے چلے جائیں گے ہم تو بس ان کی انگیٹھی کا بچا ایندھن ہیں دل وہ پھر آ کے جلائیں گے چلے جائیں گے میرا خالق بھی تو دیکھے وہ ہے کیسا خالق آئنہ اس کو دکھائیں گے چلے جائیں گے اے خدا کیا تری دنیا کو بنا کر دوزخ اپنی جنت وہ کمائیں گے چلے جائیں گے حسرت داد بھی اب دل میں نہیں ہے پنہاںؔ مفت میں شعر سنائیں گے چلے جائیں گے

Hindi

दिल को दुनिया से उठाएँगे चले जाएँगे ख़ाक हस्ती की उड़ाएँगे चले जाएँगे ये परिंदे जो मुंडेरों पे खुली धूप में हैं बाल-ओ-पर अपने सुखाएँगे चले जाएँगे इक नज़र देख जब आईना बनाया है हमें हम तिरे होश उड़ाएँगे चले जाएँगे जो किसी को भी समझ में नहीं आएँगे वही ज़िंदगी क्या है बताएँगे चले जाएँगे हम तो बस उन की अँगीठी का बचा ईंधन हैं दिल वो फिर आ के जलाएँगे चले जाएँगे मेरा ख़ालिक़ भी तो देखे वो है कैसा ख़ालिक़ आइना उस को दिखाएँगे चले जाएँगे ऐ ख़ुदा क्या तिरी दुनिया को बना कर दोज़ख़ अपनी जन्नत वो कमाएँगे चले जाएँगे हसरत-ए-दाद भी अब दिल में नहीं है 'पिंहाँ' मुफ़्त में शे'र सुनाएँगे चले जाएँगे

dil ko duniyā se uThā.eñge chale jā.eñge
Pinhaan
Pinhaan
Pinhaan
poet12 quotes

More by Pinhaan

View all →
Quote
"manzar hai abhi duur zaraa hadd-e-nazar se saughaat-e-safar aur hai asbaab-e-safar se tum mere taaaqub kaa tasavvur bhi na karnaa puchho miri manzil mire TuuTe hue par se main shar ki sharaarat se to hoshyaar huun lekin allaah bachaae to bachun khair ke shar se baarish ne miri TuuTi hui chhat nahin dekhi aangan mein lagi aag to baadal nahin barse patthar na banaa de mujhe mausam ki ye sakhti mar jaaein mire khvaab na taabir ke Dar se dhul jaataa hai sab dard miri ruuh kaa is mein rahmat jo barasti hai mire dida-e-tar se tanhaai-pasandi miri fitrat kaa bhi juz thaa mausam bhi ye kahtaa hai nikalnaa nahin ghar se insaan koi ho to main taaviz banaa luun duniyaa miri bad-tar hui bhuton ke khanDar se 'pinhaan' miri ghazlon ko bahut naaz hai us par taasir ki daulat jo mili dast-e-hunar se"
PinhaanPinhaan
Quote
"ai dil tiri barbaadi ke aasaar bahut hain shahkaar ke bahrup mein fankaar bahut hain naa-vaaqif-e-aadaab-e-mohabbat ko sazaa kyaa ai husn-e-azal tere khataa-kaar bahut hain yaadon ki bahaarein bhi hain viraana-e-dil mein is dasht-e-bayaabaan mein ye gulzaar bahut hain ye vaqt ki saazish hai ki suraj ki sharaarat saae miri divaar ke us paar bahut hain dil khud jo nahin rakhte hain vo lete bhi nahin dil khuddaar ziyaada hain jo naadaar bahut hain jiine ke liye dil mein jagah chaahiye varna marnaa hai to phir bas dar-o-divaar bahut hain bas khair ki ho khair duaa aao ye maangein lagtaa hai ki ab shar ke taraf-daar bahut hain khud se bhi to milne ki ijaazat nahin dete hasti ke haqaaeq jo pur-asraar bahut hain jiine bhi nahin dete hain marne bhi na deinge kuchh mere savaalaat jo be-kaar bahut hain divaan pe divaan bhi kam hote hain 'pinhaan' ashaar jo dil chhu lein vo do chaar bahut hain"
PinhaanPinhaan
Quote
"jaan-e-man aap to bezaar hue baiThe hain kyaa masihaa mire bimaar hue baiThe hain is adaa par miraa dil kyaa miri jaan bhi haazir aap yuun khinch ke jo talvaar hue baiThe hain dushman-e-jaan the to karte the taaaqub lekin jaan-e-jaan ho ke to be-kaar hue baiThe hain shaam ki chaae kaa vaada vo udhar bhuul gae ham idhar subh se tayyaar hue baiThe hain haasil-e-ishq hai kyaa husn-e-nazar se aage khush-gumaan taalib-e-didaar hue baiThe hain phir zamaane kaa hai israar chalo saath chalo aur ham raah mein divaar hue baiThe hain un ki nazron kaa ishaara hai nizaam-e-hasti apni qudrat kaa jo shahkaar hue baiThe hain zindagi khvaab magar khvaab-e-haqiqat-nigaraan ham ye kis niind mein bedaar hue baiThe hain daad-o-tahsin ki parvaa nahin ham ko 'pinhaan' ham ghazal kah ke hi sarshaar hue baiThe hain"
PinhaanPinhaan

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi