SHAWORDS

dil mein jo khalaa thaa bhar gayaa kyaa — Jalees Najeebabadi

"dil mein jo khalaa thaa bhar gayaa kyaa sailaab-e-junun utar gayaa kyaa aankhon mein khvaab jal rahe hain baarish kaa samay guzar gayaa kyaa shahron mein rat-jage bahut hain zehnon kaa sukun bikhar gayaa kyaa aaraam ki niind sone vaalo andesha-e-ham-safar gayaa kyaa hamsaae mein bhuuk jaagti hai meraa bhi zamir mar gayaa kyaa"
Urdu

دل میں جو خلا تھا بھر گیا کیا سیلاب جنوں اتر گیا کیا آنکھوں میں خواب جل رہے ہیں بارش کا سمے گزر گیا کیا شہروں میں رت جگے بہت ہیں ذہنوں کا سکوں بکھر گیا کیا آرام کی نیند سونے والو اندیشۂ ہم سفر گیا کیا ہمسائے میں بھوک جاگتی ہے میرا بھی ضمیر مر گیا کیا

Hindi

दिल में जो ख़ला था भर गया क्या सैलाब-ए-जुनूँ उतर गया क्या आँखों में ख़्वाब जल रहे हैं बारिश का समय गुज़र गया क्या शहरों में रत-जगे बहुत हैं ज़ेहनों का सुकूँ बिखर गया क्या आराम की नींद सोने वालो अंदेशा-ए-हम-सफ़र गया क्या हमसाए में भूक जागती है मेरा भी ज़मीर मर गया क्या

dil meñ jo ḳhalā thā bhar gayā kyā
Jalees Najeebabadi
Jalees Najeebabadi
Jalees Najeebabadi
poet8 quotes

More by Jalees Najeebabadi

View all →
Quote
"kisi ki aankhon mein sail-e-aab nahin zindagi teraa bhi javaab nahin ham se kahti hai shaam-e-tanhaai main nahin aaj yaa janaab nahin dil ko zanjir kar diyaa ham ne ab vo pahlaa saa pech-o-taab nahin munh se kuchh bol vaqt thoDaa hai khaamushi baat kaa javaab nahin jis se raushan hai dasht-e-fikr-o-khayaal ek aurat hai maahtaab nahin saath hai zindagi ke ranj-e-firaaq ek do din kaa ye azaab nahin apni taabir apne paas rakho meri aankhon mein koi khvaab nahin rahm kar rahm rabb-e-maujudaat bakhshishon kaa tiri hisaab nahin"
Jalees NajeebabadiJalees Najeebabadi
Quote
"tum se bichhaD ke hanstaa-gaataa shahr lagaa ban-baas mujhe naagin ban kar Dastaa hai tanhaai kaa ehsaas mujhe honTon kaa amrit chaahaa thaa tanhaai kaa zahr milaa galiyon galiyon liye phiri raaton ko man ki pyaas mujhe main kab kaa jhuTi rasmon ke bandhan toD ke aa jaataa lekin rok rahaa hai teri rusvaai kaa paas mujhe mere lab par talkh haqaaeq mere lab par pyaar ke giit tujh ko sukh ki sej mili hai aur hujum-e-yaas mujhe tum ko paa kar dil ke aangan mein aashaa ke phuul khile aaj tumhaaraa mahkaa-mahkaa jism lagaa madhumaas mujhe"
Jalees NajeebabadiJalees Najeebabadi
Quote
"ban ke meri ham-safar us ne oDhi dhuup ruup kaa amrit pi gai naagin jaisi dhuup kisi ne mahki subh li kisi ne bhigi raat ham apne ghar le chale duniyaa bhar ki dhuup dard kaa suraj sar pe thaa aankhein thiin be-nind raat hamaare sahn mein pahron barsi dhuup apne dushman aap hain kis ko dein ilzaam sukh ke sapne bech kar ham ne kharidi dhuup kaun kisi kaa ham-safar kaun kisi kaa miit apni apni chhaanv hai apni apni dhuup achchhaa to ab alvidaaa ai yaadon ki chhaanv kab se meraa raasta takti hogi dhuup"
Jalees NajeebabadiJalees Najeebabadi
Quote
"zehn paamaal guzargaahon pe chalnaa dushvaar aur is bhiiD se bach kar bhi nikalnaa dushvaar sochte rahne se haalaat badalnaa dushvaar aur khvaabon ke jaziron se nikalnaa dushvaar kyaa bayaan kijiye andoh-e-gharib-ul-vatani surat-e-haal kaa alfaaz mein Dhalnaa dushvaar sar mein shoridgi aisi ki Thaharnaa mushkil paanv mein aable itne hain ki chalnaa dushvaar chand shamon se ujaalaa nahin hone vaalaa aisi aandhi hai ki suraj kaa bhi jalnaa dushvaar jab use yaad kiyaa khil uThe gul-haa-e-nashaat ham samajhte the balaaon kaa hai Talnaa dushvaar"
Jalees NajeebabadiJalees Najeebabadi

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud