SHAWORDS

dilon ke aaine dhundle paDe hain — Fuzail Jafri

HomeFuzail JafriGhazal
"dilon ke aaine dhundle paDe hain bahut kam log khud ko jaante hain khizaan ke khushk patton ko na chheDo thake-maande musaafir so rahe hain hamaari gham-gusaari mein shab-e-gham charaagh aahista aahista jale hain nishaan paataa nahin koi kisi kaa sabhi ik dusre ko DhunDte hain bas ik mauj-e-havaa-e-gham hai kaafi iraade kyaa gharaunde ret ke hain khudaa dil kaa nagar aabaad rakhe hazaaron tarah ke gham pal rahe hain shab-e-mahtaab yaadein gul-rukhon ki safine mauj-e-khun mein tairte hain"
Urdu

دلوں کے آئنہ دھندلے پڑے ہیں بہت کم لوگ خود کو جانتے ہیں خزاں کے خشک پتوں کو نہ چھیڑو تھکے ماندے مسافر سو رہے ہیں ہماری غم گساری میں شب غم چراغ آہستہ آہستہ جلے ہیں نشاں پاتا نہیں کوئی کسی کا سبھی اک دوسرے کو ڈھونڈتے ہیں بس اک موج ہوائے غم ہے کافی ارادے کیا گھروندے ریت کے ہیں خدا دل کا نگر آباد رکھے ہزاروں طرح کے غم پل رہے ہیں شب مہتاب یادیں گل رخوں کی سفینے موج خوں میں تیرتے ہیں

Hindi

दिलों के आइने धुँदले पड़े हैं बहुत कम लोग ख़ुद को जानते हैं ख़िज़ाँ के ख़ुश्क पत्तों को न छेड़ो थके-माँदे मुसाफ़िर सो रहे हैं हमारी ग़म-गुसारी में शब-ए-ग़म चराग़ आहिस्ता आहिस्ता जले हैं निशाँ पाता नहीं कोई किसी का सभी इक दूसरे को ढूँडते हैं बस इक मौज-ए-हवा-ए-ग़म है काफ़ी इरादे क्या घरौंदे रेत के हैं ख़ुदा दिल का नगर आबाद रखे हज़ारों तरह के ग़म पल रहे हैं शब-ए-महताब यादें गुल-रुख़ों की सफ़ीने मौज-ए-ख़ूँ में तैरते हैं

diloñ ke aa.ine dhuñdle paḌe haiñ
Fuzail Jafri
Fuzail Jafri
Fuzail Jafri
poet56 quotes

More by Fuzail Jafri

View all →
Quote
"hai ibaarat jo gham-e-dil se vo vahshat bhi na thi sach hai shaayad ki hamein us se mohabbat bhi na thi zindagi aur pur-asraar hui jaati hai ishq kaa saath na hotaa to shikaayat bhi na thi tujh se chhuT kar na kabhi pyaar kisi se karte dil ke bahlaane ki lekin koi surat bhi na thi ghhor-andheron mein khud apne ko sadaa de lete raah chalte hue logon mein ye jurat bhi na thi zid mein duniyaa ki bahar-haal milaa karte the varna ham donon mein aisi koi ulfat bhi na thi mar miTe log sar-e-rah-guzar-e-ishq 'fuzail' apne hisse mein ye chhoTi si saaadat bhi na thi"
Fuzail JafriFuzail Jafri
Quote
"aaThon pahr lahu mein nahaayaa kare koi yuun bhi na apne dard ko dariyaa kare koi aD jaaegi fasil-e-shab-e-jabr toD kar qaidi nahin havaa jise andhaa kare koi dil takhta-e-gulaab bhi aatish-fishaan bhi hai is rah-guzar se roz na guzraa kare koi oDhi hai us ne sard khamoshi misaal-e-sang lafzon ke aabshaar giraayaa kare koi paani ki tarah phail gai ghar mein shaam-e-hijr taa-subh Duub Duub ke ubhraa kare koi main huun kisi sadaa ke shikanje mein 'jaafari' meraa pataa havaaon se puchhaa kare koi"
Fuzail JafriFuzail Jafri

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari