SHAWORDS

din bhi hai raat bhi hai mere saath — Ejaz Ahmad Ejaz

"din bhi hai raat bhi hai mere saath tarah mein saadgi hai mere saath dil-rubaa dil-lagi hai mere saath is liye aagahi hai mere saath raat bhi jaagti hai mere saath gham saraasar khushi hai mere saath aarzu naachti hai mere saath shaairi manchali hai mere saath aashnaa ajnabi hai mere saath ik anokhi hansi hai mere saath vaqt ki khaamushi hai mere saath ek basti basi hai mere saath"
Urdu

دن بھی ہے رات بھی ہے میرے ساتھ طرح میں سادگی ہے میرے ساتھ دل ربا دل لگی ہے میرے ساتھ اس لیے آگہی ہے میرے ساتھ رات بھی جاگتی ہے میرے ساتھ غم سراسر خوشی ہے میرے ساتھ آرزو ناچتی ہے میرے ساتھ شاعری منچلی ہے میرے ساتھ آشنا اجنبی ہے میرے ساتھ اک انوکھی ہنسی ہے میرے ساتھ وقت کی خامشی ہے میرے ساتھ ایک بستی بسی ہے میرے ساتھ

Hindi

दिन भी है रात भी है मेरे साथ तरह में सादगी है मेरे साथ दिल-रुबा दिल-लगी है मेरे साथ इस लिए आगही है मेरे साथ रात भी जागती है मेरे साथ ग़म सरासर ख़ुशी है मेरे साथ आरज़ू नाचती है मेरे साथ शाइरी मंचली है मेरे साथ आश्ना अजनबी है मेरे साथ इक अनोखी हँसी है मेरे साथ वक़्त की ख़ामुशी है मेरे साथ एक बस्ती बसी है मेरे साथ

din bhī hai raat bhī hai mere saath
E
Ejaz Ahmad Ejaz
Ejaz Ahmad Ejaz
poet6 quotes

More by Ejaz Ahmad Ejaz

View all →
Quote
"falak pe shaam Dhale jo chamakne lagte hain vo teri aankhon mein aa kar damakne lagte hain sukut-e-shab main tiraa naam jab bhi letaa huun sahife ishq ke dil par utarne lagte hain ghamon ki kaali ghaTaaon ko chiir kar jaanaan tiri tajalli ke suraj dahakne lagte hain chaman chaman mein khile phuul le ke naam tiraa tasavvuraat ke gulshan mahakne lagte hain tiri sadaaon ke ghunghru fazaa mein yuun chhanke ki jaise baagh mein bulbul chahakne lagte hain tu be-iraada bhi jab zulf apni jhaTkaae sulagte dasht pe baadal barasne lagte hain tu jaan toD ke leti hai jab bhi angDaai khutut-e-jism khalaa mein ubharne lagte lagte hain tire junun kaa bhi 'ejaaz' kyaa mudaavaa ho ki chhil lete ho jab zakhm bharne lagte hain"
E
Ejaz Ahmad Ejaz
Quote
"savaal tujh se shab-o-roz meraa chaltaa rahaa javaab teraa havaaon mein mujh ko miltaa rahaa falak pe chaand sitaaron kaa kaarvaan bhi bujhaa tumhaari yaad kaa lekin charaagh jaltaa rahaa qarib-e-marg jo dekhaa to paas koi na thaa tamaam umr ye phir kaun saath chaltaa rahaa balaa ke habs mein saari zamin suukh gai magar ye pyaar kaa paudaa thaa phir bhi phaltaa rahaa main bevafaa bhi kahun kis tarah tujhe jaanaan tu ban ke baad-e-sabaa roz mujh se miltaa rahaa main e'tibaar mohabbat kaa teri kyaa kartaa bayaan teraa to har roz hi badaltaa rahaa rafu main kartaa bhi 'aijaaz' kaise zakhmon ko zabaan kaa zakhm thaa ye guftugu se siltaa rahaa"
E
Ejaz Ahmad Ejaz
Quote
"chale the ghar se to ham dard ki davaa ke liye paDe hain raste mein tere magar duaa ke liye mabaadaa shab ki siyaahi zamin ko khaa jaae naqaab rukh se uThaa do zaraa khudaa ke liye koi charaagh to aandhi se bach ke niklegaa jalaa diye hain bahut se diye havaa ke liye yahaan to roz nai aafaton se paalaa hai 'husain' kitne ab aaeinge karbalaa ke liye vo jis ne tuur pe muusaa ko be-qaraar kiyaa taDap rahi hai nazar phir usi adaa ke liye zamin kaa siina to shoalon ki misl jaltaa rahaa taras ke chal diye 'ejaaz' ik ghaTaa ke liye"
E
Ejaz Ahmad Ejaz
Quote
"husn ki ritein ishq ki rasmein chhoTe bachche kyaa jaanein shokh adaaein mubham baatein chhoTe bachche kyaa jaanein sair hue to hans lete hain bhuuk lagi to rote hain subh-e-bahaaraan bhigi raatein chhoTe bachche kyaa jaanein koh samundar sahraa jangal khuub samajh lete hain lekin kaisi zaalim hain ye khalaaein chhoTe bachche kyaa jaanein sachchaai hai in kaa mazhab apni khataa bhi kah lete hain jhuuT ghaban dhoke ki raahein chhoTe bachche kyaa jaanein pariyon ke afsaane sun kar shahzaade ban baiTh gae talkh haqaaeq vaqt ki shaklein chhoTe bachche kyaa jaanein lori se 'ejaaz' vo aksar apnaa ji bahlaate hain giit ghazal qite aur nazmein chhoTe bachche kyaa jaanein"
E
Ejaz Ahmad Ejaz
Quote
"sadaaqaton ke payambar gae rasul gae khudi ki hurmat-e-afzal gai usuul gae jo bul-havas the sar-e-aam dandanaate rahe jo haq-parast the sab phaansiyon pe jhuul gae gilaa faqat hai ye zaahid ki paarsaai se zaraa saa vaqt paDaa un ke sab usuul gae khizar se ham bhi milaa kar qadam chale the magar masaafaton ki tavaalat se saans phuul gae tumhaare jaane se har ik kali kaa rang uDaa chaman se fasl-e-bahaaraan gai to phuul gae rah-e-hayaat mein laakhon the ham-safar 'ejaaz' kisi ko yaad rakhaa aur kisi ko bhuul gae"
E
Ejaz Ahmad Ejaz

More on Dil

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi