"lafz kaa zaaiqa kahaan mujh ko khaa gayaa ranj-e-raaegaan mujh ko jaane kyaa khauf hai use mujh se ghurtaa kyon hai aasmaan mujh ko mukhtasar ye ki main hikaayat huun kaun kartaa phire bayaan mujh ko apni taavil mein liyaa us ne kar rahaa hai vo be-amaan mujh ko main ki ek sho’la-e-mohabbat thaa aur havaa le uDi kahaan mujh ko kyon lagaati hai itni ummidein kyaa samajhti hai meri maan mujh ko laakh pardon mein bhi rahun 'aazar' DhunD leti hai daastaan mujh ko"
diyaa hai dil ko tamannaa kaa dard-e-sar us ne — Dilawar Ali Aazar
"diyaa hai dil ko tamannaa kaa dard-e-sar us ne kiyaa ye kaam mohabbat ke bart par us ne chaTakh gae mire lab jhaD gai miri aavaaz sadaa-e-bosa suni hi nahin magar us ne main kuchh bhi le ke na jaaun ye kaise mumkin hai ki pahli baar bulaayaa hai apne ghar us ne usi pe chal ke use fath karnaa chaahtaa huun banaai hai jo tasavvur ki rahguzar us ne vo raushni ke liye aai thi dariche mein so rok rakkhaa hai mahtaab baam par us ne abhi to zaaiqa chakhnaa hai hijr kaa us ko abhi to shaakh se toDaa nahin samar us ne isi liye use manzil nahin mili 'aazar' kiyaa thaa ek zamaane ko ham-safar us ne"
دیا ہے دل کو تمنا کا درد سر اس نے کیا یہ کام محبت کے برت پر اس نے چٹخ گئے مرے لب جھڑ گئی مری آواز صدائے بوسہ سنی ہی نہیں مگر اس نے میں کچھ بھی لے کے نہ جاؤں یے کیسے ممکن ہے کہ پہلی بار بلایا ہے اپنے گھر اس نے اسی پہ چل کے اسے فتح کرنا چاہتا ہوں بنائی ہے جو تصور کی رہ گزر اس نے وہ روشنی کے لیے آئی تھی دریچہ میں سو روک رکھا ہے مہتاب بام پر اس نے ابھی تو ذائقہ چکھنا ہے ہجر کا اس کو ابھی تو شاخ سے توڑا نہیں ثمر اس نے اسی لیے اسے منزل نہیں ملی آزرؔ کیا تھا ایک زمانے کو ہم سفر اس نے
दिया है दिल को तमन्ना का दर्द-ए-सर उस ने किया ये काम मोहब्बत के बर्त पर उस ने चटख़ गए मिरे लब झड़ गई मिरी आवाज़ सदा-ए-बोसा सुनी ही नहीं मगर उस ने मैं कुछ भी ले के न जाऊँ ये कैसे मुमकिन है कि पहली बार बुलाया है अपने घर उस ने उसी पे चल के उसे फ़त्ह करना चाहता हूँ बनाई है जो तसव्वुर की रहगुज़र उस ने वो रौशनी के लिए आई थी दरीचे में सो रोक रक्खा है महताब बाम पर उस ने अभी तो ज़ाइक़ा चखना है हिज्र का उस को अभी तो शाख़ से तोड़ा नहीं समर उस ने इसी लिए उसे मंज़िल नहीं मिली 'आज़र' किया था एक ज़माने को हम-सफ़र उस ने

More by Dilawar Ali Aazar
View all →"'ajab sukhan hai asar kaa pataa nahin chaltaa ki ismein zer-o-zabar kaa pataa nahin chaltaa na jaane kab miri vahshat charaagh-paa ho jaae mujh aise sokhtaa-sar kaa pataa nahin chaltaa bhaTak rahaa huun main kab se khudaa ki basti mein dabiz dhund hai ghar kaa pataa nahin chaltaa kisi ko 'ilm hai apni ik-ek saa'at kaa kisi ko shaam-o-sahar kaa pataa nahin chaltaa zaraa 'amiq nazar Daaliye kharaabe par ki aisi khaak mein zar kaa pataa nahin chaltaa nikaale kaun se dasht-o-daman se raahi ko guzar kaa raahguzar kaa pataa nahin chaltaa khalaa mein qaid nahin koi vaqt par 'aazar' khalaa mein shaam-o-sahar kaa pataa nahin chaltaa"
"manzar se udhar khvaab ki paspaai se aage main dekh rahaa huun had-e-binaai se aage ye 'qais' ki masnad hai so zebaa hai usi ko hai ishq saraasar miri daanaai se aage shaayad mire ajdaad ko maalum nahin thaa ik baagh hai is dasht ki raanaai se aage sab dekh rahi thi pas-e-divaar thaa jo kuchh thi chashm-e-tamaashaai tamaashaai se aage ham qaafiya-paimaai ke chakkar mein paDe hain hai sinf-e-ghazal qaafiya-paimaai se aage ik din jo yunhi parda-e-aflaak uThaayaa barpaa thaa tamaashaa koi tanhaai se aage mujh kaaghzi kashti pe nazar kijiye 'aazar' baDhti hai jo lahron ki tavaanaai se aage"
"main TuuT jaataa huun jab hijr mujh ko toDtaa hai tiraa khayaal mujhe is qadar jhinjhoDtaa hai mazid 'ishq pe mat sochiye ki ye khud-sar dil-o-dimaagh ko naasur kar ke chhoDtaa hai vo shah-savaar azal se huun muntazir jiskaa na jaane kab miri jaanib mahaar moDtaa hai usi ke khuun ke chhinTon se hai sahar raushan jo shab ke surmai patthar pe sar ko phoDtaa hai vo kaun hai jo lagaataa hai girhein lamhon ki vo kaun hai jo zamaanon mein vaqt joDtaa hai usi ki shaa'iri karti hai fath qaari ko jo lafz-lafz pe dil kaa lahu nichoDtaa hai main qahqaha jo lagaataa huun hijr mein 'aazar' to qahqahe mein udaasi kaa zahr dauDtaa hai"
"rokaa hai mujh ko dil ne ki rasta bhaTak na jaaun main us ki justuju mein bahut duur tak na jaaun vaqfa bhi laazmi hai mohabbat ki fasl mein kartaa huun us ko yaad tasalsul se thak na jaaun maanaa ki aaina huun par ai husn-e-be-misaal aise na mujh ko dekh kahin main chaTak na jaaun kahti hai mujh se 'ishq ki paimaan-rasidgi jis-jis taraf bhi ho mujhe duniyaa kaa shak na jaaun tufaan-e-harf mujh se yahi chaahtaa hai kyaa uljhaa rahun khayaal mein tahrir tak na jaaun khilnaa hai 'aazar' ab mujhe lekin ye Dar bhi hai teri pahunch se duur ki Tahni pe pak na jaaun"
"raaegaan jaate hue din ki pareshaani mein Dubtaa dekhiye suraj ko ghane paani mein rang poron se mire khuun mein utar aayaa hai phuul ko haath lagaa baiThaa huun naa-daani mein 'ishq kis-kis ne hijaabon mein chhupaa dekhaa hai husn kis-kis ko nazar aataa hai 'uryaani mein varna is khvaab ko tasvir kiyaa jaa saktaa chaand kaa 'aks Thahrtaa hi nahin paani mein is liye sukhaa huaa peD nahin kaTne diyaa kaam aaegaa parindon ki nigahbaani mein kis se maa'lum karun mujh pe karam hai ki 'azaab main jo masruf hi rahtaa huun ghazal-khvaani mein dil pe har lahza nazar rakhnaa paDegi 'aazar' yaad kaa phuul khilegaa isi viraani mein"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"