Quote
"luTi bahaar kaa sukhaa gulaab rahne do hamaari aankhon mein koi to khvaab rahne do nae sire se chalo koi ahd karte hain vafaa jafaa kaa puraanaa hisaab rahne do tamaam-umr guzaari hai in dayaaron mein khulus hogaa yahaan dastiyaab rahne do khumaar utraa nahin hai abhi to ashkon kaa abhi ye saaghar-o-minaa sharaab rahne do uThaae phirte ho kyaa shahr-e-be-basirat mein kise dikhaaoge dil ki kitaab rahne do abhi to ham pe puraane hi qarz baaqi hain savaal kar ke na kahiye javaab rahne do giraa zarur hai lekin miraa nahin 'aslam' takallufaat muravvat janaab rahne do"
