SHAWORDS

zakhmon kaa byopaari hai — Aslam Habeeb

HomeAslam HabeebGhazal
"zakhmon kaa byopaari hai achchhi saahu-kaari hai bojhal bojhal palkon par raat abhi tak taari hai bas ik patthar jhuggi kaa shish-mahal par bhaari hai saanp Dase ik umr hui nashsha ab tak taari hai chand kahin ye fashion hai chand kahin bad-kaari hai amn-e-aalam ki khaatir jang yugon se jaari hai main hi 'aslam' sachchaa huun jhuTi duniyaa saari hai"
Urdu

زخموں کا بیوپاری ہے اچھی ساہو کاری ہے بوجھل بوجھل پلکوں پر رات ابھی تک طاری ہے بس اک پتھر جھگی کا شیش محل پر بھاری ہے سانپ ڈسے اک عمر ہوئی نشہ اب تک طاری ہے چند کہیں یہ فیشن ہے چند کہیں بد کاری ہے امن عالم کی خاطر جنگ یگوں سے جاری ہے میں ہی اسلمؔ سچا ہوں جھوٹی دنیا ساری ہے

Hindi

ज़ख़्मों का ब्योपारी है अच्छी साहू-कारी है बोझल बोझल पलकों पर रात अभी तक तारी है बस इक पत्थर झुग्गी का शीश-महल पर भारी है साँप डसे इक उम्र हुई नश्शा अब तक तारी है चंद कहीं ये फैशन है चंद कहीं बद-कारी है अम्न-ए-आलम की ख़ातिर जंग युगों से जारी है मैं ही 'असलम' सच्चा हूँ झूटी दुनिया सारी है

zaḳhmoñ kā byopārī hai
Aslam Habeeb
Aslam Habeeb
Aslam Habeeb
poet11 quotes

More by Aslam Habeeb

View all →
Quote
"luTi bahaar kaa sukhaa gulaab rahne do hamaari aankhon mein koi to khvaab rahne do nae sire se chalo koi ahd karte hain vafaa jafaa kaa puraanaa hisaab rahne do tamaam-umr guzaari hai in dayaaron mein khulus hogaa yahaan dastiyaab rahne do khumaar utraa nahin hai abhi to ashkon kaa abhi ye saaghar-o-minaa sharaab rahne do uThaae phirte ho kyaa shahr-e-be-basirat mein kise dikhaaoge dil ki kitaab rahne do abhi to ham pe puraane hi qarz baaqi hain savaal kar ke na kahiye javaab rahne do giraa zarur hai lekin miraa nahin 'aslam' takallufaat muravvat janaab rahne do"
Aslam HabeebAslam Habeeb
Quote
"ziist ki dhuup se yuun bach ke nikaltaa kyuun hai tu jo suraj hai to phir saae mein chaltaa kyuun hai tu jo patthar hai to phir palkon pe aansu kaise tu samundar hai to phir aag mein jaltaa kyuun hai mere chehre mein jo shaaista-nazar aataa hai meri shiryaanon mein vo shakhs ubaltaa kyuun hai kal tumhin ne use ye pyaala diyaa thaa yaaro mo'tariz kyuun ho ki vo zahr ugaltaa kyuun hai meri saanson mein sisakne ki sadaa aati hai ek marghaT saa mire siine mein jaltaa kyuun hai jaane kin zarron se us khuun ki shanaasaai hai paanv us moD pe hi aa ke phisaltaa kyuun hai mahfil-e-laghv se tahzib ne kyaa lenaa hai aise shorida-saron mein tu sanbhaltaa kyuun hai"
Aslam HabeebAslam Habeeb
Quote
"subuk saa dard thaa uThtaa rahaa jo zakhmon se to ham bhi karte rahe chheD-chhaaD ashkon se sabhi ko zakhm-e-tamannaa dikhaa ke dekh liye khudaa se daad mili aur na us ke bandon se dhuaan saa uThne lagaa fikr-o-fan ke aivaan mein lahu ki baas si aane lagi hai sheron se ab in se dekhiye kab manzilein huvaidaa hon uThaa ke laayaa huun kuchh naqsh teri raahon se bilak rahaa hai nigaahon mein hasraton kaa hujum laTak rahi hain patangein udaas khambon se ab aur kis se tire gham kaa tazkira karte tamaam-raat rahi guftugu sitaaron se bas ek jast mein aflaak se nikal jaaun phalaang jaaun zamin ko main chaar qadmon se"
Aslam HabeebAslam Habeeb
Quote
"koi gulaab yahaan par khilaa ke dekhte hain chalo kharaaba-e-jaan ko sajaa ke dekhte hain jahaan ko bhuul ke tum ko bhulaa ke dekhte hain ab apne aap ko dil se lagaa ke dekhte hain bigaD gae the jise sun ke vaqt ke tevar jahaan ko baat vahi phir sunaa ke dekhte hain kabhi kisi kaa bhi ehsaan nahin liyaa ham ne ab apne sar pe ye ehsaan uThaa ke dekhte hain bahut dinon se koi baat kaam ki na hui chalo falak ko zamin par bichhaa ke dekhte hain nazar nazar to kai baar paDh chuke us ko ghazal ko aaj zaraa gungunaa ke dekhte hain zamaana ham pe bahut der hans chukaa 'aslam' chalo ab us ki hansi bhi uDaa ke dekhte hain"
Aslam HabeebAslam Habeeb

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri