SHAWORDS

Duub jaanaa miraa muqaddar thaa — Abrar Abid

HomeAbrar AbidGhazal
"Duub jaanaa miraa muqaddar thaa us ki aankhein na thiin samundar thaa sabab-e-dil-shikastagi mat puchh saamne aaine ke patthar thaa be-tavaazun guzar rahi hai hayaat vo miri zindagi kaa mehvar thaa jis ki saanson mein thi masihaai us kaa ek ek lafz nashtar thaa us ko dekhaa to mar gayaa shaayad mujh mein poshida ek aazar thaa jis ko 'aabid' sukun-e-dil kahiye ab nahin hai kabhi mayassar thaa"
Urdu

ڈوب جانا مرا مقدر تھا اس کی آنکھیں نہ تھیں سمندر تھا سبب دل شکستگی مت پوچھ سامنے آئنے کے پتھر تھا بے توازن گزر رہی ہے حیات وہ مری زندگی کا محور تھا جس کی سانسوں میں تھی مسیحائی اس کا ایک ایک لفظ نشتر تھا اس کو دیکھا تو مر گیا شاید مجھ میں پوشیدہ ایک آذر تھا جس کو عابدؔ سکون دل کہیے اب نہیں ہے کبھی میسر تھا

Hindi

डूब जाना मिरा मुक़द्दर था उस की आँखें न थीं समुंदर था सबब-ए-दिल-शिकस्तगी मत पूछ सामने आइने के पत्थर था बे-तवाज़ुन गुज़र रही है हयात वो मिरी ज़िंदगी का मेहवर था जिस की साँसों में थी मसीहाई उस का एक एक लफ़्ज़ नश्तर था उस को देखा तो मर गया शायद मुझ में पोशीदा एक आज़र था जिस को 'आबिद' सुकून-ए-दिल कहिए अब नहीं है कभी मयस्सर था

Duub jaanā mirā muqaddar thā
A
Abrar Abid
Abrar Abid
poet12 quotes

More by Abrar Abid

View all →
Quote
"dhokaa hai us kaa jaanib-e-aghyaar dekhnaa jab ham na hon to rang-e-rukh-e-yaar dekhnaa tujh se bichhaDnaa yuun bhi qayaamat se kam na thaa is par tiraa palaT ke vo ik baar dekhnaa apne ghamon kaa bojh uThaa apne dosh par tauhin-e-gham hai jaanib-e-gham-khvaar dekhnaa vo shakl ek khvaab thi aur khvaab khvaab hai kab tak ye khvaab dida-e-bedaar dekhnaa rahte hain shahr-e-sang mein shishe kaa dil liye logo hamaaraa jazba-e-isaar dekhnaa 'aabid' qadam to maqtal-e-fan ki taraf baDhaa kitne hain tere sar ke talabgaar dekhnaa"
A
Abrar Abid
Quote
"khushi na mil saki aankhein miri pur-aab rahin khayaal-o-khvaab ki baatein khayaal-o-khvaab rahin sahar hui na mire shahr-e-aarzu mein kabhi ki mehr-e-husn ki kirnein pas-e-naqaab rahin unhi ke dam se hai qaaem vaqaar-e-sajda-e-shukr vo log jin ki sadaa qismatein kharaab rahin kisi ne bhi dar-e-ehsaas apnaa vaa na kiyaa dukhe dilon ki sadaaein na kaamyaab rahin sukun se rahte hain kis tarah log duniyaa mein mire liye to ye saansein bhi ik azaab rahin rah-e-vafaa mein nigaahon se ho gaiin ojhal jo suratein miri aankhon kaa intikhaab rahin base hue hain mire khvaab jin mein ai 'aabid' vo bastiyaan to hamesha hi zer-e-aab rahin"
A
Abrar Abid
Quote
"lab pe mire fariyaad nahin hai ai gham-e-duniyaa ai gham-e-jaanaan mujh ko kuchh bhi yaad nahin hai ai gham-e-duniyaa ai gham-e-jaanaan qalb-e-shikasta par jo na guzri mujh aashufta par jo na biiti aisi koi uftaad nahin hai ai gham-e-duniyaa ai gham-e-jaanaan thaa jo armaanon kaa Deraa aarzuon kaa hasin baseraa ab vo makaan aabaad nahin hai ai gham-e-duniyaa ai gham-e-jaanaan kaisi subh ki sard havaaein kaisi shaam ki mast fazaaein taair-e-dil aazaad nahin hai ai gham-e-duniyaa ai gham-e-jaanaan gham ki kashti khe saktaa huun saaghar haath mein le saktaa huun izn-e-dil barbaad nahin hai ai gham-e-duniyaa ai gham-e-jaanaan chhin liyaa honTon kaa tabassum khushk kiyaa aankhon kaa qulzum kuchh kam ye bedaad nahin hai ai gham-e-duniyaa ai gham-e-jaanaan chheD na maazi ke afsaane yaad dilaa mat gae zamaane dil 'aabid' kaa shaad nahin hai ai gham-e-duniyaa ai gham-e-jaanaan"
A
Abrar Abid

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb