SHAWORDS

e'tibaar-e-shauq ik dhokaa sahi — Amir Mausavi

HomeAmir MausaviGhazal
"e'tibaar-e-shauq ik dhokaa sahi e'tibaar-e-shauq par hai zindagi suuni yaado tum se pahlu hai basaa suuni yaado tum se kyaa pahlu-tahi dil huaa chhalni to naghme chhan paDe baans mein rauzan paDe to baansuri be-kasi mein bhi baDaa kas-bal hai dost maut kyaa hai ziist ko Thukraa ke ji ham khudaa bhi maan leinge aap ko aap pahle ho to jaaein aadmi kyaa yad-e-baizaa se kam hai daagh-e-dil moajaza rakhtaa huun 'aamir'-musvi"
Urdu

اعتبار شوق اک دھوکا سہی اعتبار شوق پر ہے زندگی سونی یادو تم سے پہلو ہے بسا سونی یادو تم سے کیا پہلو تہی دل ہوا چھلنی تو نغمے چھن پڑے بانس میں روزن پڑے تو بانسری بے کسی میں بھی بڑا کس بل ہے دوست موت کیا ہے زیست کو ٹھکرا کے جی ہم خدا بھی مان لیں گے آپ کو آپ پہلے ہو تو جائیں آدمی کیا ید بیضا سے کم ہے داغ دل معجزہ رکھتا ہوں عامرؔ موسوی

Hindi

ए'तिबार-ए-शौक़ इक धोका सही ए'तिबार-ए-शौक़ पर है ज़िंदगी सूनी यादो तुम से पहलू है बसा सूनी यादो तुम से क्या पहलू-तही दिल हुआ छलनी तो नग़्मे छन पड़े बाँस में रौज़न पड़े तो बाँसुरी बे-कसी में भी बड़ा कस-बल है दोस्त मौत क्या है ज़ीस्त को ठुकरा के जी हम ख़ुदा भी मान लेंगे आप को आप पहले हो तो जाएँ आदमी क्या यद-ए-बैज़ा से कम है दाग़-ए-दिल मोजज़ा रखता हूँ 'आमिर'-मूसवी

e'tibār-e-shauq ik dhokā sahī
Amir Mausavi
Amir Mausavi
Amir Mausavi
poet10 quotes

More by Amir Mausavi

View all →
Quote
"ham kinaaraa kiye kinaaron se khelaa karte hain manjdhaaron se ham guzarte hain khelte hanste shola-zaaron se khaarzaaron se naam paate hain naaseh-e-be-naam ham se badnaam baada-khvaaron se tuf ba-matlab-baraari-e-yaaraan uf ye atvaar khaaksaaron se jin ke dil mein gulon ki chaahat hai pahle vo surakh-ru hon khaaron se dil ki raahon mein bo liye kaanTe kar ke ummid gul-ezaaron se yuun hai jumbish mein phuul ki Daali vo bulaate hain juun ishaaron se yuun to mah-vash hazaar dekhe hain tum judaa ho magar hazaaron se bul-havas hai raqib baatin mein taur zaahir mein jaan-nisaaron se ik fasaana ki thaa dayaar apnaa ik haqiqat ki be-dayaaron se tu ne ai dost saath kyaa chhoDaa dil laraztaa hai ab sahaaron se garm baazaar hai mire fan kaa daad paataa huun naqd-kaaron se ruuTh jaaein na vo kahin 'aamir' sher paDhiye na yuun ishaaron se"
Amir MausaviAmir Mausavi
Quote
"khaaksaaron ke fan karaare hain khaak oDhe hue sharaare hain aadmi ye bhi vo bhi saare hain nit nae rang-rup dhaare hain kyon na khud-bin hon maah-paare hain pyaar karte nahin jo pyaare hain miT gae jo vafaa ki raahon mein kitne anmiT nishaan ubhaare hain kis se shikva ho bevafaai kaa ham to apni vafaa ke maare hain yaas hi yaas tum hamaare ho aas hi aas ham tumhaare hain yaad teri baDaa sahaaraa hai tujh ko bhule to be-sahaaraa hain yuun bujhe dil ki hasratein na kured raakh ke Dher mein sharaare hain jin ki koi sahar na shaam koi ham ne aise bhi din guzaare hain kitne guzre hain haadse dil par vo jo pyaare the dil ko pyaare hain jaan levaa hain pyaar ke rishte un pe marte hain jin ke maare hain gham mein hanstaa khushi mein rotaa hai taur 'aamir' ke sab niyaare hain"
Amir MausaviAmir Mausavi
Quote
"ye maanaa ki hasti nahin jaavedaani mohabbat hai lekin miri ghair-faani zabaan khul na paai to dil ki kahaani sunaate rahe aansuon ki zabaani mire ashk daaman se apne na ponchho thamegi na ashkon ki phir ye ravaani shikaayat nahin hai bhulaa de agar tu na aa yaad mujh ko baDi mehrbaani dil-e-zaar ki tu ne fariyaad aakhir na maani miri baat tu ne na maani gunaahon ke qaabil na tifli na piiri na tauba pe maail hai apni javaani milaa un ko jalva jo hosh apne khoe mili hosh-mandi ko bas lan-taraani nazar uTh rahi hai udhar gaahe-gaahe zabaan ban rahi hai miri be-zabaani gunahgaar hain shaikh bachpan se shaayad guzarti hai tauba mein un ki javaani kahaani kahin ban gai hai haqiqat haqiqat kahin ban gai hai kahaani mire haal par mehrbaani na kiije yahi aap ki hai baDi mehrbaani mire naam par khatm kar di hai 'aamir' vafaaon ki chheDi hai jis ne kahaani"
Amir MausaviAmir Mausavi
Quote
"koi manjdhaar na dhaaraa hai khudaa khair kare aaj kyon paas kinaaraa hai khudaa khair kare phir nasheman ko sanvaaraa hai khudaa khair kare barq ki aankh kaa taaraa hai khudaa khair kare dekhein lauT aati hai aavaaz ki miltaa hai javaab dil ne phir tujh ko pukaaraa hai khudaa khair kare hosh paane kaa nahin dil ki jo paani maange zulf-e-shab-rang kaa maaraa hai khudaa khair kare zehn apnaae hue fikr pe vo chhaae hue ghar na saamaan hamaaraa hai khudaa khair kare ho gayaa dard sivaa kyaa huaa be-dard ko aaj shikva-e-dard gavaara hai khudaa khair kare ab garebaan hi salaamat hai na daaman baaqi phir bahaaron ne pukaaraa hai khudaa khair kare ik fusun-kaar hai ghaarat-gar-e-hosh-o-tamkin jis ne shishe mein utaaraa hai khudaa khair kare khirman-e-zabt-o-sukun teraa khudaa haafiz hai jalva-e-yaar sharaara hai khudaa khair kare dekhiye kyaa ho ki aamaada-e-fariyaad hai dil ab na kuchh zabt kaa yaaraa hai khudaa khair kare kal jiein yaa na jiein aaj tire jaane par vaqt mar mar ke guzaaraa hai khudaa khair kare karvaTein vaqt badaltaa hai uTho chaaragaro kab se bechaargi chaaraa hai khudaa khair kare kitne iisaa hain jo is daur mein dete hain javaab phir salibon ne pukaaraa hai khudaa khair kare phir koi ban ke mehrbaan na kare is pe nazar gham ko hans hans ke nikhaaraa hai khudaa khair kare zindagi yaad se teri na ho ghaafil ai dost ab yahi ek sahaaraa hai khudaa khair kare kyaa mile dil ki nazar bhi nahin milti 'aamir' husn khud-bin-o-khud-aaraa hai khudaa khair kare"
Amir MausaviAmir Mausavi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb