SHAWORDS

ek beva ki aas lagti hai — Asad Raza

HomeAsad RazaGhazal
"ek beva ki aas lagti hai zindagi kyon udaas lagti hai har taraf chhaai ghor taariki raushni ki asaas lagti hai pi rahaa huun hanuz ashk-e-gham bahr-e-gham ko bhi pyaas lagti hai laakh pahnaao dosti ki qabaa dushmani be-libaas lagti hai maut ke saamne hayaat 'asad' surat-e-iltimaas lagti hai"
Urdu

ایک بیوہ کی آس لگتی ہے زندگی کیوں اداس لگتی ہے ہر طرف چھائی گھور تاریکی روشنی کی اساس لگتی ہے پی رہا ہوں ہنوز اشک غم بحر غم کو بھی پیاس لگتی ہے لاکھ پہناؤ دوستی کی قبا دشمنی بے لباس لگتی ہے موت کے سامنے حیات اسدؔ صورت التماس لگتی ہے

Hindi

एक बेवा की आस लगती है ज़िंदगी क्यों उदास लगती है हर तरफ़ छाई घोर तारीकी रौशनी की असास लगती है पी रहा हूँ हनूज़ अश्क-ए-ग़म बहर-ए-ग़म को भी प्यास लगती है लाख पहनाओ दोस्ती की क़बा दुश्मनी बे-लिबास लगती है मौत के सामने हयात 'असद' सूरत-ए-इल्तिमास लगती है

ek beva kī aas lagtī hai
Asad Raza
Asad Raza
Asad Raza
poet11 quotes

More by Asad Raza

View all →
Quote
"honTon pe us ke jumbish-e-inkaar bhi nahin aankhon mein koi shokhi-e-iqraar bhi nahin basti mein koi munis-o-gham-khvaar bhi nahin 'ghaalib' kaa haae koi taraf-daar bhi nahin kashti buri tarah hai bhanvar mein phansi hui lekin hamaare haath mein patvaar bhi nahin un ko sazaaein di hain zamaane ne baarhaa mulzim bhi jo nahin hain gunahgaar bhi nahin tohfa 'ajab diyaa hai chaman ko bahaar ne phulon kaa zikr kyaa hai koi khaar bhi nahin shaayad ta'alluqaat mein ab injimaad hai pahli si baat baat pe takraar bhi nahin show-pis to banaa diyaa haalaat ne 'asad' koi magar hamaaraa kharidaar bhi nahin"
Asad RazaAsad Raza
Quote
"kisi kisi ko hi aate hain raas afsaane hamein to karte hain aksar udaas afsaane nae zamaane ke in mein kai ishaare hain bahut puraane hain go mere paas afsaane khushi ke vaaste jis ne gale lagaayaa unhein usi ko chhoD gae mahv-e-yaas afsaane jinhein shuur se aari qaraar dete the vahi bane hain qayaafa-shanaas afsaane libaas vaale bhi paDhte hain in ko chhup-chhup kar jo main ne likhe hain kuchh be-libaas afsaane vo ek pyaase ne khun-e-jigar se likhe hain jo ban gae hain samundar ki pyaas afsaane vo ek pyaase ne khun-e-jigar se likhe hain jo ban gae hain samundar ki pyaas afsaane khayaal-o-khvaab ke qisse nahin hain in mein 'asad' hain ahd-e-nau ke haqiqat-shanaas afsaane"
Asad RazaAsad Raza
Quote
"sinon mein agar hoti kuchh pyaar ki gunjaaish haathon mein nikalti kyuun talvaar ki gunjaaish pichhDe hue gaanv kaa shaayad hai vo baashinda jo shahr mein DhunDe hai isaar ki gunjaaish nafrat ki taassub ki yuun rakkhi gaiin inTein paidaa hui zehnon mein divaar ki gunjaaish paakizgi ruhon ki nilaam hui jab se jismon mein nikal aai baazaar ki gunjaaish is tarah khule dil se iqraar nahin karte rakh lijiye thoDi si inkaar ki gunjaaish gar azm musammam ho aur jehd-e-musalsal bhi sahraa mein nikal aae gulzaar ki gunjaaish samjhein ki na samjhein vo ham ne to 'asad' rakh di ashaar ke honTon pe izhaar ki gunjaaish"
Asad RazaAsad Raza
Quote
"zabaan kuchh aur kahti hai nazar kuchh aur kahti hai magar ye zindagi ki rah-guzar kuchh aur kahti hai bayaan ye baaghbaan kaa hai ujaaDaa baagh aandhi ne magar kaaTi hui shaakh-e-shajar kuchh aur kahti hai ye ujDaa jism zakhmi ruuh aur sahmi hui laDki zamaana maar Daalegaa agar kuchh aur kahti hai dabaav thaa ki laalach thaa lagaa akhbaar ye paDh kar haqiqat aur hi kuchh thi khabar kuchh aur kahti hai nishaani chhoD jaati hain 'asad' ye 'umr ki raahein musaafir kuchh kahe gard-e-safar kuchh aur kahti hai"
Asad RazaAsad Raza
Quote
"ham se divaanon ko asri aagahi Dasti rahi khokhli tahzib ki farzaangi Dasti rahi shoala-e-nafrat to bhaDkaa ek lamhe ke liye muddaton phir shahr ko ik tirgi Dasti rahi maut ki naagin se ab hargiz vo Dar saktaa nahin jis ko saari umr khud ye zindagi Dasti rahi main na jaane kitne janmon kaa huun pyaasaa dosto rah ke dariyaa mein bhi mujh ko tishnagi Dasti rahi aap ke honTon pe jo muddat se hai chhaai hui dard mein Duubi hui vo khaamushi Dasti rahi ek tum ho dushmani bhi raas aai hai jise aur ik main huun ki jis ko dosti Dasti rahi har ghaDi chehre pe jo chehre lagaataa hi rahaa umr bhar us ko 'asad' be-chehragi Dasti rahi"
Asad RazaAsad Raza

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim