SHAWORDS

ek dafa vo mujhe dil mein to aane detaa — Aal

HomeAalGhazal
"ek dafa vo mujhe dil mein to aane detaa main use shaam nahin detaa zamaane detaa aap ke gham pe bahut kaam kiyaa hai main ne ab main rotaa huun to aansu nahin aane detaa vo mujhe ek se pahle nahin sone deti main use khvaab se jaldi nahin jaane detaa rab ke aage to tar-o-taaza gayaa hotaa main vaqt kuchh der mujhe Tek lagaane detaa sher kaa rizq in aankhon mein hai lekin mire dost dil mujhe honT se uupar nahin jaane detaa har hasin laDki ko taslim kiyaa kartaa huun koi misraa nahin main girne giraane detaa"
Urdu

ایک دفعہ وہ مجھے دل میں تو آنے دیتا میں اسے شام نہیں دیتا زمانے دیتا آپ کے غم پہ بہت کام کیا ہے میں نے اب میں روتا ہوں تو آنسو نہیں آنے دیتا وہ مجھے ایک سے پہلے نہیں سونے دیتی میں اسے خواب سے جلدی نہیں جانے دیتا رب کے آگے تو تر و تازہ گیا ہوتا میں وقت کچھ دیر مجھے ٹیک لگانے دیتا شعر کا رزق ان آنکھوں میں ہے لیکن مرے دوست دل مجھے ہونٹ سے اوپر نہیں جانے دیتا ہر حسیں لڑکی کو تسلیم کیا کرتا ہوں کوئی مصرع نہیں میں گرنے گرانے دیتا

Hindi

एक दफ़अ' वो मुझे दिल में तो आने देता मैं उसे शाम नहीं देता ज़माने देता आप के ग़म पे बहुत काम किया है मैं ने अब मैं रोता हूँ तो आँसू नहीं आने देता वो मुझे एक से पहले नहीं सोने देती मैं उसे ख़्वाब से जल्दी नहीं जाने देता रब के आगे तो तर-ओ-ताज़ा गया होता मैं वक़्त कुछ देर मुझे टेक लगाने देता शे'र का रिज़्क़ इन आँखों में है लेकिन मिरे दोस्त दिल मुझे होंट से ऊपर नहीं जाने देता हर हसीं लड़की को तस्लीम किया करता हूँ कोई मिसरा नहीं मैं गिरने गिराने देता

ek daf.a vo mujhe dil meñ to aane detā
Aal
Aal
Aal
poet6 quotes

More by Aal

View all →
Quote
"karungaa ishq viraasat kaa kuchh bataaungaa naiin main ik gharib ki beTi ko aazmaaungaa naiin unhein kaho ki bahut Dher shor-o-shar na karein main Dar gayaa to kai roz muskuraaungaa naiin tasalli dungaa to mar jaaegi vo laDki hai main jaane dungaa gale se use lagaaungaa naiin use khabar bhi nahin hogi itnaa chaahungaa use pata bhi nahin hogaa main bataaungaa naiin ye raasta baDi mushkil se tai kiyaa main ne ye faasla hai dilon kaa ise miTaaungaa naiin tiraa mutaalba hai teri yaad ke aansu main ab ke royaa to aankhon ko bhi bachaaungaa naiin aur ab ki saalgirah par plan kyaa hai tiraa aur ab ki baar to main saamne bhi aaungaa naiin main tujh se aankh milaa kar ghazal sunaaungaa main khud ko Dubtaa dekhungaa aur bachaaungaa naiin"
AalAal
Quote
"aisi vusat ki chamakte hain sitaare dil mein us ko rahnaa hi nahin aayaa hamaare dil mein sab ne aa aa ke miraa zehni tavaazun chheDaa log jo jo bhi mohabbat se utaare dil mein tu ne kyaa jurm kiyaa hogaa jo main rahtaa rahaa itnaa arsa mire chandaa tire pyaare dil mein teraa ronaa tire kuchh kaam nahin aaegaa dost sabz batti pe nahin khulte ishaare dil mein us ki aankhon se jo dekhe the unhi khvaabon ne aaj kal aag lagaa rakkhi hai saare dil mein koi do chaar nae zakhm ki rash paD jaae sirf ik Dar rahaa kartaa hai bechaare dil mein sachche dil vaali mire hujre mein rahti hai huzur miThe paani kaa kuaan hai mire khaare dil mein meraa allaah mire saath hai vo jaanti hai us ne Darte hue chalvaae hain aare dil mein"
AalAal
Quote
"dusraa ishq miri jaan nahin kar saktaa ye tiraa haafiz-e-quraan nahin kar saktaa aisi haalat mein tire khvaab se lauTaa hai ye jism main abhi vasl kaa saamaan nahin kar saktaa dastaras mein hai miri kaif bhi kaifiyat bhi zakhm bhar kar mujhe hairaan nahin kar saktaa un pe ghaalib hai kai chehron ke ishraak kaa diin tu in aankhon ko musalmaan nahin kar saktaa pahli qiston mein tiri maut nahin ho sakti apne theTar ko mein viraan nahin kar saktaa ye miraa aakhiri patthar hai tiri yaad mein dost ab main paani ko pareshaan nahin kar saktaa"
AalAal
Quote
"vafaa ke daavon pe hans rahaa thaa mujhe nayaa hijr ho gayaa thaa bahut hi bad-shakl nikli duniyaa main pahle parde pe dekhtaa thaa use bataataa thaa meri baatein khudaa miri kaal sun rahaa thaa samajh mein kyaa aataa meraa lahja kisi ki baaton mein aa gayaa thaa utaar pheinki thi shaam sar se abhi to paaraa nahin chaDhaa thaa tum aaj tak ro rahe ho jo gham vo do dinon se ziyaada kaa thaa gharib beva kaa haath thaamaa madine jaane kaa raasta thaa aur us ki haryaanvi zabaan thi aur us ke haathon mein ik ghaDaa thaa ye jumla jo pahle kah diyaa hai ye vasl ke ain baad kaa thaa"
AalAal

More on Dil

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi