"ek dafa vo mujhe dil mein to aane detaa main use shaam nahin detaa zamaane detaa aap ke gham pe bahut kaam kiyaa hai main ne ab main rotaa huun to aansu nahin aane detaa vo mujhe ek se pahle nahin sone deti main use khvaab se jaldi nahin jaane detaa rab ke aage to tar-o-taaza gayaa hotaa main vaqt kuchh der mujhe Tek lagaane detaa sher kaa rizq in aankhon mein hai lekin mire dost dil mujhe honT se uupar nahin jaane detaa har hasin laDki ko taslim kiyaa kartaa huun koi misraa nahin main girne giraane detaa"
vafaa ke daavon pe hans rahaa thaa — Aal
"vafaa ke daavon pe hans rahaa thaa mujhe nayaa hijr ho gayaa thaa bahut hi bad-shakl nikli duniyaa main pahle parde pe dekhtaa thaa use bataataa thaa meri baatein khudaa miri kaal sun rahaa thaa samajh mein kyaa aataa meraa lahja kisi ki baaton mein aa gayaa thaa utaar pheinki thi shaam sar se abhi to paaraa nahin chaDhaa thaa tum aaj tak ro rahe ho jo gham vo do dinon se ziyaada kaa thaa gharib beva kaa haath thaamaa madine jaane kaa raasta thaa aur us ki haryaanvi zabaan thi aur us ke haathon mein ik ghaDaa thaa ye jumla jo pahle kah diyaa hai ye vasl ke ain baad kaa thaa"
وفا کے دعووں پہ ہنس رہا تھا مجھے نیا ہجر ہو گیا تھا بہت ہی بد شکل نکلی دنیا میں پہلے پردے پہ دیکھتا تھا اسے بتاتا تھا میری باتیں خدا مری کال سن رہا تھا سمجھ میں کیا آتا میرا لہجہ کسی کی باتوں میں آ گیا تھا اتار پھینکی تھی شام سر سے ابھی تو پارا نہیں چڑھا تھا تم آج تک رو رہے ہو جو غم وہ دو دنوں سے زیادہ کا تھا غریب بیوہ کا ہاتھ تھاما مدینے جانے کا راستہ تھا اور اس کی ہریانوی زباں تھی اور اس کے ہاتھوں میں اک گھڑا تھا یہ جملہ جو پہلے کہہ دیا ہے یہ وصل کے عین بعد کا تھا
वफ़ा के दा'वों पे हँस रहा था मुझे नया हिज्र हो गया था बहुत ही बद-शक्ल निकली दुनिया मैं पहले पर्दे पे देखता था उसे बताता था मेरी बातें ख़ुदा मिरी काल सुन रहा था समझ में क्या आता मेरा लहजा किसी की बातों में आ गया था उतार फेंकी थी शाम सर से अभी तो पारा नहीं चढ़ा था तुम आज तक रो रहे हो जो ग़म वो दो दिनों से ज़ियादा का था ग़रीब बेवा का हाथ थामा मदीने जाने का रास्ता था और उस की हरयानवी ज़बाँ थी और उस के हाथों में इक घड़ा था ये जुमला जो पहले कह दिया है ये वस्ल के ऐन बाद का था

More by Aal
View all →"karungaa ishq viraasat kaa kuchh bataaungaa naiin main ik gharib ki beTi ko aazmaaungaa naiin unhein kaho ki bahut Dher shor-o-shar na karein main Dar gayaa to kai roz muskuraaungaa naiin tasalli dungaa to mar jaaegi vo laDki hai main jaane dungaa gale se use lagaaungaa naiin use khabar bhi nahin hogi itnaa chaahungaa use pata bhi nahin hogaa main bataaungaa naiin ye raasta baDi mushkil se tai kiyaa main ne ye faasla hai dilon kaa ise miTaaungaa naiin tiraa mutaalba hai teri yaad ke aansu main ab ke royaa to aankhon ko bhi bachaaungaa naiin aur ab ki saalgirah par plan kyaa hai tiraa aur ab ki baar to main saamne bhi aaungaa naiin main tujh se aankh milaa kar ghazal sunaaungaa main khud ko Dubtaa dekhungaa aur bachaaungaa naiin"
"aisi vusat ki chamakte hain sitaare dil mein us ko rahnaa hi nahin aayaa hamaare dil mein sab ne aa aa ke miraa zehni tavaazun chheDaa log jo jo bhi mohabbat se utaare dil mein tu ne kyaa jurm kiyaa hogaa jo main rahtaa rahaa itnaa arsa mire chandaa tire pyaare dil mein teraa ronaa tire kuchh kaam nahin aaegaa dost sabz batti pe nahin khulte ishaare dil mein us ki aankhon se jo dekhe the unhi khvaabon ne aaj kal aag lagaa rakkhi hai saare dil mein koi do chaar nae zakhm ki rash paD jaae sirf ik Dar rahaa kartaa hai bechaare dil mein sachche dil vaali mire hujre mein rahti hai huzur miThe paani kaa kuaan hai mire khaare dil mein meraa allaah mire saath hai vo jaanti hai us ne Darte hue chalvaae hain aare dil mein"
"ik to use har baat mein had chaahiye meri phir us pe mohabbat bhi ashad chaahiye meri pahle use darkaar thi shaam aur ye shaana ab mujh ko bhulaane mein madad chaahiye meri bu aane lagi tujh se bhi duniyaa ki mire yaar kuchh roz mujhe sohbat-e-bad chaahiye meri kahti hai farishton ki tarah Tokun na rokun aur aadmi vaali bhi sanad chaahiye meri kyaa din mein zaruri hai ki auron mein raho tum kyaa raat mein bas niyyat-e-bad chaahiye meri"
"dusraa ishq miri jaan nahin kar saktaa ye tiraa haafiz-e-quraan nahin kar saktaa aisi haalat mein tire khvaab se lauTaa hai ye jism main abhi vasl kaa saamaan nahin kar saktaa dastaras mein hai miri kaif bhi kaifiyat bhi zakhm bhar kar mujhe hairaan nahin kar saktaa un pe ghaalib hai kai chehron ke ishraak kaa diin tu in aankhon ko musalmaan nahin kar saktaa pahli qiston mein tiri maut nahin ho sakti apne theTar ko mein viraan nahin kar saktaa ye miraa aakhiri patthar hai tiri yaad mein dost ab main paani ko pareshaan nahin kar saktaa"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"