"mohabbatein jab hisaab maangeingi nafraton kaa javaaz hogaa vo jis safar mein saubatein hon vo aabgina-navaaz hogaa kuchh aisi mushkil si aa paDi hai ki chehra aaina ban gayaa hai mujhe ye dhaDkaa hai dil mein rakkhaa ayaan vo muddat kaa raaz hogaa tilism kahiye ki yaa tamanna ragon mein paara lahu banaa hai lahu jo Tapkegaa ashk ban kar nazar se ulfat kaa saaz hogaa ye manzaron mein jo aa gae hain kisi ilaaqe ke sabz taair ye hijraton kaa hasin mausam farogh-e-gulshan ba-naaz hogaa akele-pan ki 'duaa' ye shiddat hi maar Daale kahin na mujh ko vo aaegaa to ye meraa honaa bhi us ke sarf-e-niyaaz hogaa"
ek din degi daghaa aisaa kabhi sochaa na thaa — Dua Ali
"ek din degi daghaa aisaa kabhi sochaa na thaa zindagi kaa ruup ye ham ne kabhi dekhaa na thaa main pakaD laai thi jugnu raushni ke vaaste kaali raaton kaa tasalsul thaa tiraa chehra na thaa bas anaa thi do dilon ke darmiyaan jhuTi anaa biich mein varna hamaare faasla itnaa na thaa aakhirash main apne andar ki kami mein mar gai tum ko mere gham ki gahraai kaa andaaza na thaa tu nazar-andaaz kar degaa mujhe aise kabhi is tarah kaa koi mere dil ko to dhaDkaa na thaa"
ایک دن دے گی دغا ایسا کبھی سوچا نہ تھا زندگی کا روپ یہ ہم نے کبھی دیکھا نہ تھا میں پکڑ لائی تھی جگنو روشنی کے واسطے کالی راتوں کا تسلسل تھا ترا چہرہ نہ تھا بس انا تھی دو دلوں کے درمیاں جھوٹی انا بیچ میں ورنہ ہمارے فاصلہ اتنا نہ تھا آخرش میں اپنے اندر کی کمی میں مر گئی تم کو میرے غم کی گہرائی کا اندازہ نہ تھا تو نظر انداز کر دے گا مجھے ایسے کبھی اس طرح کا کوئی میرے دل کو تو دھڑکا نہ تھا
एक दिन देगी दग़ा ऐसा कभी सोचा न था ज़िंदगी का रूप ये हम ने कभी देखा न था मैं पकड़ लाई थी जुगनू रौशनी के वास्ते काली रातों का तसलसुल था तिरा चेहरा न था बस अना थी दो दिलों के दरमियाँ झूटी अना बीच में वर्ना हमारे फ़ासला इतना न था आख़िरश मैं अपने अंदर की कमी में मर गई तुम को मेरे ग़म की गहराई का अंदाज़ा न था तू नज़र-अंदाज़ कर देगा मुझे ऐसे कभी इस तरह का कोई मेरे दिल को तो धड़का न था

More by Dua Ali
View all →"kabhi jo aap ko dekhun to dil mein phuul khilte hain kahun main aap se kaise mujhe aap achchhe lagte hain mire dil ki ye khvaahish hai banun main aap ki dulhan ki dil mein aap rahte hain mire honTon pe sajte hain adhure khvaab jivan ke mire ho jaaeinge puure miri aankhon mein teri chaah ke ilhaam palte hain yahaan fursat kise hai dil ki jo basti kare aabaad yahaan suraj ki hamraahi mein saare log chalte hain kinaare nilgun dariyaa ke jaise ham bhi hain goyaa 'duaa' jo paani ke phailaav ki duuri pe rahte hain"
"suntaa nahin hai dil to us bevafaa ki baatein kal par uThaa ke rakkho us bevafaa ki baatein dil hai udaas ab to is tazkire ko badlo kyon ho musir ki sun lo us bevafaa ki baatein aaj us ne hai rulaayaa ham ko bahut sataayaa ham se na karnaa ab to us bevafaa ki baatein TuuTe hain khvaab mere ab dafn in ko kar do dohraa bhi kyon rahe ho us bevafaa ki baatein ham ko sameTnaa hain ab dil ki kirchiyaan bhi toDaa hai dil ko dekho us bevafaa ki baatein us ki judaai kaise ab ham 'duaa' saheinge kuchh der phir se kar lo us bevafaa ki baatein"
"garche nisbat bhi us ko gham se hai vo miri zindagi qasam se hai us ko sajda bhi kar nahin sakti dair se vo nahin haram se hai kuchh nahin lenaa mujh ko duniyaa se mujh ko matlab tire karam se hai zindagi ki udaas raahon mein lutf un abruon ke kham se hai laaj rakhti huun main jo lafzon ki rabt qirtaas aur qalam se hai us se kyaa ruThnaa 'duaa' meraa dil dhaDaktaa usi ke dam se hai"
"kuchh ziyaada na kam hui labrez had-e-qaul-o-qasam hui labrez teri yaadon ne dil ko taDpaayaa dard se chashm-e-nam hui labrez mujhe kirdaar kaaTne paDe phir jab kahaani qalam hui labrez itni mushkil zamin mein nazm 'duaa' aankh kar ke raqam hui labrez"
"jis kaa hotaa nahin vo log usi kaa samjhe kyaa buraai hai bure ko ki na achchhaa samjhe itnaa kaafir ho ki puchhe nahin ahvaal talak aise kaafir ko bhalaa kaun masihaa samjhe jiit to lungi main haari hui baazi lekin piit ke khel mein kaafir mujhe apnaa samjhe ek kaafir se faqat itni guzaarish hai miri dil ke bikhre hue aaine ko yakjaa samjhe us pe bahte hue ashkon kaa asar honaa nahin vo to patthar ki tarah hai use ham kyaa samjhe vo to but thaa kisi kaafir kaa taraashaa huaa but ham 'duaa' jis ko duaaon kaa karishma samjhe"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"