SHAWORDS

ek manzar pas-e-divaar nazar aataa hai — Asim Wasti

HomeAsim WastiGhazal
"ek manzar pas-e-divaar nazar aataa hai ruuh ko aankh ke us paar nazar aataa hai apne aaine pe khud sang uThaae hue vo 'aks se bar-sar-e-paikaar nazar aataa hai 'ishq kaa mo'jiza ye hai ki darun-e-sina dil nahin ab mujhe dildaar nazar aataa hai har taraf ek hi jalva hai ki main dekhtaa huun har taraf mujh ko miraa yaar nazar aataa hai ye 'ajab kucha-e-khush-haal hai is mein har shakhs apne haalaat se bezaar nazar aataa hai apne aaine se muhtaat raho tum 'aasim' 'aks thaame hue talvaar nazar aataa hai"
Urdu

ایک منظر پس دیوار نظر آتا ہے روح کو آنکھ کے اس پار نظر آتا ہے اپنے آئینے پہ خود سنگ اٹھائے ہوئے وہ عکس سے بر سر پیکار نظر آتا ہے عشق کا معجزہ یہ ہے کہ درون سینہ دل نہیں اب مجھے دل دار نظر آتا ہے ہر طرف ایک ہی جلوہ ہے کہ میں دیکھتا ہوں ہر طرف مجھ کو مرا یار نظر آتا ہے یہ عجب کوچۂ خوش حال ہے اس میں ہر شخص اپنے حالات سے بیزار نظر آتا ہے اپنے آئینے سے محتاط رہو تم عاصمؔ عکس تھامے ہوئے تلوار نظر آتا ہے

Hindi

एक मंज़र पस-ए-दीवार नज़र आता है रूह को आँख के उस पार नज़र आता है अपने आईने पे ख़ुद संग उठाए हुए वो 'अक्स से बर-सर-ए-पैकार नज़र आता है 'इश्क़ का मो'जिज़ा ये है कि दरून-ए-सीना दिल नहीं अब मुझे दिलदार नज़र आता है हर तरफ़ एक ही जल्वा है कि मैं देखता हूँ हर तरफ़ मुझ को मिरा यार नज़र आता है ये 'अजब कूचा-ए-ख़ुश-हाल है इस में हर शख़्स अपने हालात से बेज़ार नज़र आता है अपने आईने से मुहतात रहो तुम 'आसिम' 'अक्स थामे हुए तलवार नज़र आता है

ek manzar pas-e-dīvār nazar aatā hai
Asim Wasti
Asim Wasti
Asim Wasti
poet175 quotes

More by Asim Wasti

View all →
Quote
"dil aur mire khuun kaa dauraan ghazal hai har saans tavaazun hai ki mizaan ghazal hai mujh pe hain kai aur 'inaayaat bhi lekin ilhaam ke maalik tiraa ehsaan ghazal hai is vaqt mujhe raqs ki targhib mili hai is vaqt mire vajd kaa imkaan ghazal hai Tapkegaa lahu lafz koi chiir ke dekho tum log samajhte ho ki be-jaan ghazal hai hai josh magar dil mein talaatum hai bahut kam is bahr mein simTaa huaa tufaan ghazal hai main 'ishq mein raahat ke tasavvur se huun vaaqif bechain miraa dil hai miraa dhyaan ghazal hai vaise to kai aur ta'aaruf bhi hain 'aasim' har bazm-e-sukhan mein miri pahchaan ghazal hai"
Asim WastiAsim Wasti
Quote
"ye dard zaraa saa bhi to kam ho nahin paayaa ik baar bhi dil khol ke main ro nahin paayaa mil kar bhi na milne kaa hai ye khel mohabbat vo DhunDh liyaa dil ne mire jo nahin paayaa us shaam bichhaDne kaa mujhe dukh to nahin thaa us raat magar chain se main so nahin paayaa main khoe hue dil kaa pata puchh rahaa huun dekhaa nahin tum ne to ye kah do nahin paayaa ik shakhs jise apnaa banaanaa thaa kisi taur ik shakhs kisi taur miraa ho nahin paayaa khvaahish thi khilaaun nai vahshat ke nae gul main 'ishq magar dil mein nayaa bo nahin paayaa ye kaifiyat-e-husn-e-gumaan khuub hai 'aasim' goyaa main use paa bhi chukaa go nahin paayaa"
Asim WastiAsim Wasti
Quote
"habs kaa haal sunaane ko sukhan maangti hai dar nahin maangti divaar dahan maangti hai mausam-e-hirs vo aayaa hai ki har shaakh-e-shajar phuul do-chaar nahin saaraa chaman maangti hai jism kartaa hai talab raat gae jab aaraam ruuh us vaqt 'ibaadat ki thakan maangti hai haath kyon baDh ke charaaghon ko nahin lau dete aankh kyon shaam ke suraj se kiran maangti hai tujh se ye kis ne kahaa Dar hai 'ibaadat ki asaas ye to be-laag lagi aur lagan maangti hai vo bataaein ki hai ehsaas ki qaumiyyat kyaa shaa'iri jin kaa ye kahnaa hai vatan maangti hai"
Asim WastiAsim Wasti

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud