SHAWORDS

fanaa huaa to main taar-e-nafas mein lauT aayaa — Arshad Jamal Sarim

"fanaa huaa to main taar-e-nafas mein lauT aayaa khushaa ki ishq tiri dastaras mein lauT aayaa na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa kisi ke jabr mein kitnaa thaa ikhtiyaar mujhe buraa kiyaa ki jo main apne bas mein lauT aayaa ye haashiye tire gumraah kar rahe the mujhe kitaab-e-zist so main tere nas mein lauT aayaa vo dil-kharaash thaa aainda saal kaa manzar main ulTe paanv guzishta baras mein lauT aayaa"
Urdu

فنا ہوا تو میں تار نفس میں لوٹ آیا خوشا کہ عشق تری دسترس میں لوٹ آیا نہ جانے اس نے کھلے آسماں میں کیا دیکھا پرندہ پھر سے جہان قفس میں لوٹ آیا کسی کے جبر میں کتنا تھا اختیار مجھے برا کیا کہ جو میں اپنے بس میں لوٹ آیا یہ حاشیے ترے گمراہ کر رہے تھے مجھے کتاب زیست سو میں تیرے نص میں لوٹ آیا وہ دل خراش تھا آئندہ سال کا منظر میں الٹے پاؤں گزشتہ برس میں لوٹ آیا

Hindi

फ़ना हुआ तो मैं तार-ए-नफ़स में लौट आया ख़ुशा कि इश्क़ तिरी दस्तरस में लौट आया न जाने उस ने खुले आसमाँ में क्या देखा परिंदा फिर से जहान-ए-क़फ़स में लौट आया किसी के जब्र में कितना था इख़्तियार मुझे बुरा किया कि जो मैं अपने बस में लौट आया ये हाशिए तिरे गुमराह कर रहे थे मुझे किताब-ए-ज़ीस्त सो मैं तेरे नस में लौट आया वो दिल-ख़राश था आइंदा साल का मंज़र मैं उल्टे पाँव गुज़िश्ता बरस में लौट आया

fanā huā to maiñ tār-e-nafas meñ lauT aayā
Arshad Jamal Sarim
Arshad Jamal Sarim
Arshad Jamal Sarim
poet32 quotes

More by Arshad Jamal Sarim

View all →
Quote
"pyaas har zarra-e-sahraa ki bujhaai gai hai tab kahin jaa ke miri aabla-paai gai hai qaid mein rakkhi gai hai kahin titli koi koi khushbu kahin baazaar mein laai gai hai kyaa bhalaa apni samaaat mein ghule koi miThaas vaqt ke honTon se kab talkh-navaai gai hai kis ki tanvir se jal uTThe basirat ke charaagh kis ki tasvir ye aankhon se lagaai gai hai ho gai jaa ke shafaq-rangi-e-aafaaq mein zam kaf-e-doshiza-e-dil se jo hinaai gai hai uTh ai barbaad-e-tamannaa ki nai khvaab--kaniz haram-e-chashm mein phir raqs ko laai gai hai vaqt aisaa bhi to aayaa hai junun par 'saarim' nok-e-mizhgaan se talvaar uThaai gai hai"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"iztiraab aisaa huaa dil kaa sahaaraa mujh ko koi Thahraav nahin khud mein gavaaraa mujh ko sar uThaati hai vo tajdid ki khvaahish mujh mein naqsh-gar sochne lagtaa hai dobaara mujh ko main tahi-dast khaDaa thaa sar-e-sahraa-e-hayaat aarzu ne tiri yak-lakht pukaaraa mujh ko jaa pahunchnaa kisi rifat ko nahin hai dushvaar haan! Thaharne kaa vahaan chaahiye yaaraa mujh ko dekh ai meri zabun-haali pe hansne vaale vaqt ki dhuup ne kis darja nikhaaraa mujh ko ek kankar saa mozaahim mein rahungaa kab tak le hi jaaegaa bahaa kar koi dhaaraa mujh ko vaqt ne jaane banaanaa hai mujhe kyaa 'saarim' gardish-e-chaak se ab tak na utaaraa mujh ko"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"juDe hue hain pari-khaane mere kaaghaz se jo uTh rahe hain ye afsaane mere kaaghaz se katartaa rahtaa hai miqraaz-e-chashm se mujh ko banaanaa kyaa hai use jaane mere kaaghaz se qalam ne nok-e-alam kyaa rakhi ba-chashm-e-dil chhalakne lag gae paimaane mere kaaghaz se raqam karun bhi to kaise main daastaan-e-vafaa huruf phirte hain begaane mere kaaghaz se abhi rakhi bhi nahin lau charaagh par main ne lipaT gae kai parvaane mere kaaghaz se kudaal-e-khaama se botaa huun main junun 'saarim' so ugte rahte hain divaane mere kaaghaz se"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"do-chaar sitaare hi miri aankh mein dhar jaa kuchh der to ai saaat-e-shab mujh mein Thahar jaa ab aur sambhaali nahin jaati tiri hurmat yuun kar gham-e-jaanaan meri nazron se utar jaa taa-umr tiraa naqsh-e-farozaan rahe mujh mein ik zakhm ki surat mire maathe pe ubhar jaa chhoD aanaa vahin par zaraa aavaara-mizaaji sahraa ki taraf ai dil-e-naadaan agar jaa yaa ho jaa tu dariyaa ki nigaahon mein taraazu yaa tishna-labi saath liye jaan se guzar jaa jab zehn ko sunni hi nahin baat tumhaari dil tu bhi rusumaat-e-tafahum se mukar jaa"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"kisht-e-ehsaas mein thoDaa saa milaa leinge tujhe phir nai paud ki surat mein ugaa leinge tujhe kyaa khabar kaam kaa lamha koi haath aa jaae kaasa-e-vaqt kisi roz khangaaleinge tujhe ik faqat teri tavajjoh se tire pyaar talak rafta rafta hi sahi apnaa banaa leinge tujhe sarhad-e-vaqt ke us paar tu jaane de mujhe ai gham-e-yaar! vahaan par bhi bulaa leinge tujhe na machaa shor umanDte hue dariyaa mere varna ifrit samundar ke ye khaa leinge tujhe zindagi ham se tiri aankh-micholi kab tak ik na ik roz kisi moD pe aa leinge tujhe kaam aa hi gai 'saarim' tiri aashufta-sari qaafile ishq ke ab raah-numaa leinge tujhe"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil