SHAWORDS

gaanThi hai us ne dosti ik pesh-imaam se — Adil Mansuri

HomeAdil MansuriGhazal
"gaanThi hai us ne dosti ik pesh-imaam se 'aadil' uThaa lo haath duaa-o-salaam se paani ne raasta na diyaa jaan-bujh kar ghote lagaae phir bhi rahe tishna-kaam se main us gali se sar ko jhukaae guzar gayaa chilghoze pheinkti rahi vo mujh pe baam se vo kaun thaa jo din ke ujaale mein kho gayaa ye chaand kis ko DhunDne niklaa hai shaam se kone mein baadshaah paDaa unghtaa rahaa Table pe raat kaT gai begam ghulaam se nashsha saa Doltaa hai tire ang ang par jaise abhi bhigo ke nikaalaa ho jaam se"
Urdu

گانٹھی ہے اس نے دوستی اک پیش امام سے عادلؔ اٹھا لو ہاتھ دعا و سلام سے پانی نے راستہ نہ دیا جان بوجھ کر غوطے لگائے پھر بھی رہے تشنہ کام سے میں اس گلی سے سر کو جھکائے گزر گیا چلغوزے پھینکتی رہی وہ مجھ پہ بام سے وہ کون تھا جو دن کے اجالے میں کھو گیا یہ چاند کس کو ڈھونڈنے نکلا ہے شام سے کونے میں بادشاہ پڑا اونگھتا رہا ٹیبل پہ رات کٹ گئی بیگم غلام سے نشہ سا ڈولتا ہے ترے انگ انگ پر جیسے ابھی بھگو کے نکالا ہو جام سے

Hindi

गाँठी है उस ने दोस्ती इक पेश-इमाम से 'आदिल' उठा लो हाथ दुआ-ओ-सलाम से पानी ने रास्ता न दिया जान-बूझ कर ग़ोते लगाए फिर भी रहे तिश्ना-काम से मैं उस गली से सर को झुकाए गुज़र गया चिलगोज़े फेंकती रही वो मुझ पे बाम से वो कौन था जो दिन के उजाले में खो गया ये चाँद किस को ढूँडने निकला है शाम से कोने में बादशाह पड़ा ऊँघता रहा टेबल पे रात कट गई बेगम ग़ुलाम से नश्शा सा डोलता है तिरे अंग अंग पर जैसे अभी भिगो के निकाला हो जाम से

gāñThī hai us ne dostī ik pesh-imām se
Adil Mansuri
Adil Mansuri
Adil Mansuri
poet86 quotes

More by Adil Mansuri

View all →
Quote
"pahlu ke aar-paar guzartaa huaa saa ho ik shakhs aaine mein utartaa huaa saa ho jiitaa huaa saa ho kabhi martaa huaa saa ho ik shahr apne aap se Dartaa huaa saa ho saare kabira aap hi kartaa huaa saa ho ilzaam dusre hi pe dhartaa huaa saa ho har ik nayaa khayaal jo Tapke hai zehn se yuun lag rahaa hai jaise ki bartaa huaa saa ho qailula kar rahe hon kisi niim ke tale maidaan mein rakhsh-e-umr bhi chartaa huaa saa ho maashuq aisaa DhunDiye qahtur-rijaal mein har baat mein agartaa magartaa huaa saa ho phir baad mein vo qatl bhi kar de to harj kyaa lekin vo pahle pyaar bhi kartaa huaa saa ho gar daad tu na de na sahi gaaliyaan sahi apnaa bhi koi aib hunartaa huaa saa ho"
Adil MansuriAdil Mansuri
Quote
"jo chiiz thi kamre mein vo be-rabt paDi thi tanhaai-e-shab band-e-qabaa khol rahi thi aavaaz ki divaar bhi chup-chaap khaDi thi khiDki se jo dekhaa to gali uungh rahi thi baalon ne tiraa lams to mahsus kiyaa thaa lekin ye khabar dil ne baDi der se di thi haathon mein nayaa chaand paDaa haanp rahaa thaa raanon pe barahna si nami reing rahi thi yaadon ne use toD diyaa maar ke patthar aaine ki khandaq mein jo parchhaain paDi thi duniyaa ki guzarte hue paDti thiin nigaahein shishe ki jagah khiDki mein rusvaai jaDi thi TuuTi hui mehraab se gumbad ke khanDar tak ik buDhe moazzin ki sadaa guunj rahi thi"
Adil MansuriAdil Mansuri

More on Dosti

View all →
Quote
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
Naeem SabaNaeem Saba
Quote
"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"gham utaaraa gayaa sabhi ke liye ashk utre hain aadmi ke liye ik tajalli mujhe 'inaayat ho meri aankhon ki raushni ke liye ji ke lagtaa nahin munaasib hai zindagi lafz zindagi ke liye baar hotaa rahaa kisi ke sipurd shukr kartaa rahaa kisi ke liye main ne had-darja koshishein kar liin dil banaa hi nahin khushi ke liye kuchh darinde bhi jaane jaate hain apni insaan-dosti ke liye sab nahin jaante ye vo dar hai yuun to darvaaza hai sabhi ke liye us ne baadal haTaa liye 'aamir' chand lamhon ki chaandni ke liye"
Aamir AzherAamir Azher
Quote
"nigaahon mein iqraar saare hue hain ham un ke hue vo hamaare hue hain jin aankhon mein aansu chakaare hue hain ham un ki nigaahon ke maare hue hain na khaTkein kaho kis tarah tir-e-mizhgaan jigar par hamaare utaare hue hain jhaDe jo tiri kafsh-e-zarrin ke zarre falak par vo jaa kar sayyaare hue hain 'abas jaan deti hai bulbul gulon par ye us rukh ke sadqe utaare hue hain kis andaaz se band-e-mahram kase hain ki joban ko un ke ubhaare hue hain yaqin hai balaa ho koi aaj naazil vo baalon ko apne sanvaare hue hain khabar-daar haathon se jaane na paaein ye duzd-e-hinaa maal maare hue hain kahe deti hain saaf aankhein tumhaari kisi ghair se kuchh ishaare hue hain main manjdhaar mein Dubtaa huun ilaahi vo dil le ke meraa kinaare hue hain hamesha jo bharte the dam dosti kaa vahi dushman-e-jaan hamaare hue hain nazar kar du'aa par khudaavand-e-aalam ki ham haath apne pasaare hue hain bhalaa ghair ki is mein hai kyaa shikaayat vahi dushman-e-jaan hamaare hue hain unhein ham ne nahlaa diyaa de ke chhinTein 'ajab lutf dariyaa kinaare hue hain khabar aamad-e-gul ki shaayad hai 'aaghaa' chaman saare jhaaDe bahaare hue hain"
A
Aagha Akbarabadi
Quote
"sahar ko khoj charaaghon pe inhisaar na kar havaa se dosti rakh us kaa e'tibaar na kar yaqin kar o mohabbat yahi munaasib hai ziyaada din miri sohbat ko ikhtiyaar na kar ye koi rishta nahin hai faqat nadaamat hai tu mujh se umr mein kam hai so mujh se pyaar na kar mujhe pata hai ki barbaad ho chukaa huun main tu meraa sog manaa mujh ko sogvaar na kar hai kaun kaun mire saath is musibat mein main apne saath nahin huun mujhe shumaar na kar main khaak khud tujhe labbaik kahne vaalon mein mujhe bulaavaa na de meraa intizaar na kar"
Anjum SaleemiAnjum Saleemi