"ishq jivan kaa baab hai 'aiman' ishq aankhon kaa khvaab hai 'aiman' khuub halchal machaataa hai dil mein ishq dariyaa chanaab hai 'aiman' khvaahishon ke hasin gulistaan mein ishq jaltaa gulaab hai 'aiman' zindagi ke savaal hain jitne ishq vaahid javaab hai 'aiman' suntaa kab hai kisi ki khud ke sivaa ishq bigDaa navaab hai 'aiman' mujh ko haajat nahin kitaabon ki ishq meraa nisaab hai 'aiman' pyaar ki sachchi daastaanon mein ishq-e-'aiman' kaa baab hai 'aiman'"
gaanv vaale kahaan badalte hain — Aiman Junaid Khan
"gaanv vaale kahaan badalte hain aao ham hi jahaan badalte hain ek ham se gurez ki khaatir kitne vo aashiyaan badalte hain vo aqidat ke rang kyaa jaanein roz jo aastaan badalte hain aql vaalon ne haar kar ye kahaa ishq vaale kahaan badalte hain ham ko urdu hai jaan se pyaari ham nahin vo jo jaan badalte hain kyon nahin aati hain abaabilein aao tarz-e-fughaan badalte hain rut jo badli to main ne ye jaanaa kyon parinde makaan badalte hain vaqt paDne pe jaanaa hai 'aiman' kis tarah mehrbaan badalte hain"
گاؤں والے کہاں بدلتے ہیں آؤ ہم ہی جہاں بدلتے ہیں ایک ہم سے گریز کی خاطر کتنے وہ آشیاں بدلتے ہیں وہ عقیدت کے رنگ کیا جانیں روز جو آستاں بدلتے ہیں عقل والوں نے ہار کر یہ کہا عشق والے کہاں بدلتے ہیں ہم کو اردو ہے جان سے پیاری ہم نہیں وہ جو جاں بدلتے ہیں کیوں نہیں آتی ہیں ابابیلیں آؤ طرز فغاں بدلتے ہیں رت جو بدلی تو میں نے یہ جانا کیوں پرندے مکاں بدلتے ہیں وقت پڑنے پہ جانا ہے ایمنؔ کس طرح مہرباں بدلتے ہیں
गाँव वाले कहाँ बदलते हैं आओ हम ही जहाँ बदलते हैं एक हम से गुरेज़ की ख़ातिर कितने वो आशियाँ बदलते हैं वो अक़ीदत के रंग क्या जानें रोज़ जो आस्ताँ बदलते हैं अक़्ल वालों ने हार कर ये कहा इश्क़ वाले कहाँ बदलते हैं हम को उर्दू है जान से प्यारी हम नहीं वो जो जाँ बदलते हैं क्यों नहीं आती हैं अबाबीलें आओ तर्ज़-ए-फ़ुग़ाँ बदलते हैं रुत जो बदली तो मैं ने ये जाना क्यों परिंदे मकाँ बदलते हैं वक़्त पड़ने पे जाना है 'ऐमन' किस तरह मेहरबाँ बदलते हैं

More by Aiman Junaid Khan
View all →"jaa chhupi hai kahaan guphaaon mein ai khushi ab jhalak adaaon mein zindagi bojh banti jaati hai kuchh to tarmim kar sazaaon mein ik nazar to palaT ke dekh zaraa main bhi huun teri aashnaaon mein shahr kaa shahr yuun divaana nahin baat kuchh to hai in adaaon mein diid se hi ilaaj mumkin hai zahr hi zahr hai davaaon mein ziist ki har tapish mein jalti rahi yaar baiThe rahe havaaon mein ai hayaat is-qadar na mushkil ho khauf ho teri dhuup chhaanv mein mujh ko taslim hai jafaa teri hai 'aqidat miri vafaaon mein mujh ko mujh se churaane vaale sun tu hai shaamil miri duaaon mein aasmaan main bhi chhu hi sakti thi beDiyaan hain anek paanv mein zikr ab to karo mohabbat kaa kitni nafrat hai in fazaaon mein raat bhar jaagte hain bachche bhi ab nahin farq shahr gaanv mein bas pasine nasib mein aae zindagi teri dhuup chhaanv mein vaqt ke maare tanhaa tum hi nahin main bhi shaamil huun mubtalaaon mein zindagi aur kitnaa chalnaa hai aable paD gae hain paanv mein"
"jo ashk dil pe gire vo shumaar kar na saki main us ke jazbon ko dil pe savaar kar na saki vo kar rahaa thaa baghaavat pe mujh ko aamaada magar qabile ki izzat pe vaar kar na saki vo sabz baagh dikhaataa thaa mujh ko vaadon ke ye aankh us pe magar inhisaar kar na saki bichhaD ke tujh se miri khud se jang jaari rahi main dil ki duniyaa kabhi saazgaar kar na saki vo mere saath hai ham-zaad ki tarah 'aiman' main jis pe haalat-e-dil aashkaar kar na saki"
"nazar hathiyaar karnaa chaahte hain adaa se vaar karnaa chaahte hain nigaahein chaar karnaa chaahte hain tumhein ham pyaar karnaa chaahte hain rahe hain sabr ki basti mein zinda to ab izhaar karnaa chaahte hain nigaahein band kar li hain ki jaanaan tiraa didaar karnaa chaahte hain banaa kar hausla patvaar ab ham samundar paar karnaa chaahte hain adaakaari daghaa dene ki kar ke tujhe hoshyaar karnaa chaahte hain sunaa kar daastaan tark-e-taalluq zamin hamvaar karnaa chaahte hain ridaa-e-be-hisi oDhe hain yaan jo unhein bedaar karnaa chaahte hain hileinge lafzon se aivaan saare qalam talvaar karnaa chaahte hain giraftaar-e-mohabbat kar ke 'aiman' ghazab sarkaar karnaa chaahte hain"
"shahd gul giit abr taaraa hai maan mohabbat kaa istiaara hai zindagi daaimi talaatum hai aur maan har ghaDi kinaara hai tarbiyat ambiyaa bhi paate hain maan ki aaghosh vo idaara hai jitne jazbaat hain mohabbat ke sab pe maan bas tiraa ijaara hai zindagi tirgi se pur 'aiman' maan chamaktaa huaa manaara hai"
More on Ishq
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
"hijaab vaalon se vo be-hijaab ho na sakaa vo saamne thaa magar be-naqaab ho na sakaa vajud-e-khaak kaa insaan khitaab ho na sakaa ye zarra ghair-e-karam aaftaab ho na sakaa karam vo tuur pe ik be-niyaaz-e-jalva par vo be-niyaazi thi jis kaa javaab ho na sakaa uThaa ke parda chhupaa kasrat-e-tajalli mein vo be-naqaab huaa be-naqaab ho na sakaa tamaam umr rahe dekhte hayaat ke khvaab hamaari aankhon mein ye khvaab khvaab ho na sakaa rahi fareb-e-tasavvur ye raftani duniyaa saraab jaise kabhi ju-e-aab ho na sakaa zamir zaahir-o-baatin se ho gayaa aagaah kharaab baada-e-irfaan kharaab ho na sakaa mire karim ne bakhshaa isi bahaane se mire gunaahon kaa jab kuchh hisaab ho na sakaa abhi kami hai tire zauq-e-ishq mein 'aiman' lahu huaa tiraa aansu sharaab ho na sakaa"