SHAWORDS

gham ke maaron ki agar aankh se aansu nikle — Munawwar Tabish Sambhali

"gham ke maaron ki agar aankh se aansu nikle 'ain mumkin hai ki tazlil kaa pahlu nikle gul se khushbu kaa nikalnaa to koi baat nahin baat to jab hai kisi sang se khushbu nikle koi bismil koi maqtul nazar aaegaa apne shaanon pe vo bikhraa ke jo gesu nikle meri mahrumiyaan Das leingi yaqinan tujh ko apni khushiyon ke jaziron se agar tu nikle 'aql kahti hai ki ab duur hi rahiye un se dil ye kahtaa hai mulaaqaat kaa pahlu nikle shaam-e-gham kis ki tamanna kaa janaaza 'taabish' apne kaandhon par uThaae hue jugnu nikle"
Urdu

غم کے ماروں کی اگر آنکھ سے آنسو نکلے عین ممکن ہے کہ تذلیل کا پہلو نکلے گل سے خوشبو کا نکلنا تو کوئی بات نہیں بات تو جب ہے کسی سنگ سے خوشبو نکلے کوئی بسمل کوئی مقتول نظر آئے گا اپنے شانوں پہ وہ بکھرا کے جو گیسو نکلے میری محرومیاں ڈس لیں گی یقیناً تجھ کو اپنی خوشیوں کے جزیروں سے اگر تو نکلے عقل کہتی ہے کہ اب دور ہی رہئے ان سے دل یہ کہتا ہے ملاقات کا پہلو نکلے شام غم کس کی تمنا کا جنازہ تابشؔ اپنے کاندھوں پر اٹھائے ہوئے جگنو نکلے

Hindi

ग़म के मारों की अगर आँख से आँसू निकले 'ऐन मुमकिन है कि तज़लील का पहलू निकले गुल से ख़ुशबू का निकलना तो कोई बात नहीं बात तो जब है किसी संग से ख़ुशबू निकले कोई बिस्मिल कोई मक़्तूल नज़र आएगा अपने शानों पे वो बिखरा के जो गेसू निकले मेरी महरूमियाँ डस लेंगी यक़ीनन तुझ को अपनी ख़ुशियों के जज़ीरों से अगर तू निकले 'अक़्ल कहती है कि अब दूर ही रहिए उन से दिल ये कहता है मुलाक़ात का पहलू निकले शाम-ए-ग़म किस की तमन्ना का जनाज़ा 'ताबिश' अपने काँधों पर उठाए हुए जुगनू निकले

ġham ke māroñ kī agar aañkh se aañsū nikle
Munawwar Tabish Sambhali
Munawwar Tabish Sambhali
Munawwar Tabish Sambhali
poet12 quotes

More by Munawwar Tabish Sambhali

View all →
Quote
"aansuon ke saath aakhir bah gai shaam-e-alam jaane kyaa kyaa khvaab bunti rah gai shaam-e-alam har nafas mahrumiyon ki tirgi Dasne lagi chaand ke maanind aakhir gah gai shaam-e-alam dard-e-furqat mein bhi mujh ko muskuraataa dekh kar gham ki khud tasvir ban kar rah gai shaam-e-alam Dubte suraj se puchhaa jab fasaana hijr kaa jaane kitni daastaanein kah gai shaam-e-alam jis ghaDi 'taabish' sahar ki aahaTein mahsus kiin bebasi se haath malti rah gai shaam-e-alam"
Munawwar Tabish SambhaliMunawwar Tabish Sambhali
Quote
"har samt se jab TuuT ke aate hain masaaib insaan ko patthar kaa banaate hain masaaib jiine ke bhi aadaab sikhaate hain masaaib be-vajh kahaan ziist mein aate hain masaaib jab paanv baDhaataa huun mohabbat ke safar mein sau rang zamaane ke dikhaate hain masaaib jiine kaa saliqa jinhein aataa hai jahaan mein hans hans ke vahi bojh uThaate hain masaaib shaayad abhi kuchh aur muqaddar mein likhaa hai rah rah ke tiri yaad dilaate hain masaaib dafnaa diye alfaaz masaaib ne ghazal mein jazbaat kaa kab bojh uThaate hain masaaib ghabraa ke rah-e-zist ko dushvaar na karnaa aate hain masaaib kabhi jaate hain masaaib"
Munawwar Tabish SambhaliMunawwar Tabish Sambhali
Quote
"hijrat ki baat aae bhi kaise gumaan mein ajdaad mere dafn hain hindostaan mein sachchaaiyaan thiin jitni kafan-posh ho gaiin munsif ne rang vo bharaa jhuTe bayaan mein us se bhi mere zarf kaa tu imtihaan le baaqi jo ek tiir hai teri kamaan mein phir se tumhaari yaad ke jugnu chamak uThe phir se ujaalaa ho gayaa dil ke makaan mein khuddaar sar thaa jism se jo ho gayaa judaa lekin jhukaa na zill-e-ilaahi ki shaan mein bakhshaa hai jo khulus se ahbaab ne mujhe aisaa kahaan hai dard kisi daastaan mein phulon ke badle khaar mileinge bahaar se 'taabish' ye baat kab thi hamaare gumaan mein"
Munawwar Tabish SambhaliMunawwar Tabish Sambhali
Quote
"main ye nahin kahtaa ki gunahgaar nahin huun 'aaed ho koi jurm vo kirdaar nahin huun jis se miri pahchaan hi miT jaae jahaan se main aisi navaazish kaa talabgaar nahin huun yaa meri vafaaon kaa badal DhunD ke laao yaa mujh se ye kah do ki vafaadaar nahin huun me'raaj-e-mohabbat mujhe haasil ho to kaise dil hai miraa mukhtaar main mukhtaar nahin huun aazaad parinde ki tarah soch hai ab bhi ho kar bhi giraftaar giraftaar nahin huun ye kaun si manzil se khudaa jaane junun ki hote hue bezaar bhi bezaar nahin huun aaghaaz-e-mohabbat to bahut khuub hai 'taabish' anjaam-e-mohabbat se khabar-daar nahin huun"
Munawwar Tabish SambhaliMunawwar Tabish Sambhali

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil