SHAWORDS

gaurayyon ne jashn manaayaa mere aangan baarish kaa — Badr

HomeBadrGhazal
"gaurayyon ne jashn manaayaa mere aangan baarish kaa baiThe baiThe aa gai niind israar thaa ye kisi khvaahish kaa chand kitaabein thoDe sapne ik kamre mein rahte hain main bhi yahaan gunjaaish bhar huun kis ko khayaal aaraaish kaa Thahar Thahar kar kaund rahi thi bijli baahar jangal mein train ruki to sarpaT ho gayaa ghoDaa vaqt ki taazish kaa Tiis puraane zakhmon ki thi niind uchaT gai aankhon se bhiig rahaa thaa karvaT karvaT gosha gosha baalish kaa kisi ke dil par dastak dungaa kisi ke gham kaa dukhDaa huun sunne vaale samajh rahe hain naghma huun farmaaish kaa sar ke uupar khaak uDi to sab dil thaam ke baiTh gae khabar nahin thi guzar chukaa hai mausam abr-e-navaazish kaa reing rahi thiin amar-lataaein chhup chhup kar shaadaabi mein uryaan hoti shaakhon se ab bharam khulaa zebaaish kaa apni hi dhun mein magan rahtaa hai sachche sur kaa saazinda jaise ki main huun matvaalaa khud apne tarz-e-nigaarish kaa qadam qadam hai viraana kahin aur 'khalish' ab kyaa jaanaa varna shauq mujhe bhi kal thaa sahraa ki paimaaish kaa"
Urdu

گوریوں نے جشن منایا میرے آنگن بارش کا بیٹھے بیٹھے آ گئی نیند اصرار تھا یہ کسی خواہش کا چند کتابیں تھوڑے سپنے اک کمرے میں رہتے ہیں میں بھی یہاں گنجائش بھر ہوں کس کو خیال آرائش کا ٹھہر ٹھہر کر کوند رہی تھی بجلی باہر جنگل میں ٹرین رکی تو سرپٹ ہو گیا گھوڑا وقت کی تازش کا ٹیس پرانے زخموں کی تھی نیند اچٹ گئی آنکھوں سے بھیگ رہا تھا کروٹ کروٹ گوشہ گوشہ بالش کا کسی کے دل پر دستک دوں گا کسی کے غم کا دکھڑا ہوں سننے والے سمجھ رہے ہیں نغمہ ہوں فرمائش کا سر کے اوپر خاک اڑی تو سب دل تھام کے بیٹھ گئے خبر نہیں تھی گزر چکا ہے موسم ابر نوازش کا رینگ رہی تھیں امر لتائیں چھپ چھپ کر شادابی میں عریاں ہوتی شاخوں سے اب بھرم کھلا زیبائش کا اپنی ہی دھن میں مگن رہتا ہے سچے سر کا سازندہ جیسے کہ میں ہوں متوالا خود اپنے طرز نگارش کا قدم قدم ہے ویرانہ کہیں اور خلشؔ اب کیا جانا ورنہ شوق مجھے بھی کل تھا صحرا کی پیمائش کا

Hindi

गौरय्यों ने जश्न मनाया मेरे आँगन बारिश का बैठे बैठे आ गई नींद इसरार था ये किसी ख़्वाहिश का चंद किताबें थोड़े सपने इक कमरे में रहते हैं मैं भी यहाँ गुंजाइश भर हूँ किस को ख़याल आराइश का ठहर ठहर कर कौंद रही थी बिजली बाहर जंगल में ट्रेन रुकी तो सरपट हो गया घोड़ा वक़्त की ताज़िश का टीस पुराने ज़ख़्मों की थी नींद उचट गई आँखों से भीग रहा था करवट करवट गोशा गोशा बालिश का किसी के दिल पर दस्तक दूँगा किसी के ग़म का दुखड़ा हूँ सुनने वाले समझ रहे हैं नग़्मा हूँ फ़रमाइश का सर के ऊपर ख़ाक उड़ी तो सब दिल थाम के बैठ गए ख़बर नहीं थी गुज़र चुका है मौसम अब्र-ए-नवाज़िश का रेंग रही थीं अमर-लताएँ छुप छुप कर शादाबी में उर्यां होती शाख़ों से अब भरम खुला ज़ेबाइश का अपनी ही धुन में मगन रहता है सच्चे सुर का साज़िंदा जैसे कि मैं हूँ मतवाला ख़ुद अपने तर्ज़-ए-निगारिश का क़दम क़दम है वीराना कहीं और 'ख़लिश' अब क्या जाना वर्ना शौक़ मुझे भी कल था सहरा की पैमाइश का

gaurayyoñ ne jashn manāyā mere āñgan bārish kā
B
Badr
Badr
poet10 quotes

More by Badr

View all →
Quote
"damak uThi hai fazaa maahtaab-e-khvaab ke saath dhaDak rahaa hai ye dil kis rabaab-e-khvaab ke saath haTe ghubaar jo lau se to meri jot jage jalun main phir se nai aab-o-taab-e-khvaab ke saath hai sau adaaon se uryaan fareb-e-rang-e-anaa barahna hoti hai lekin hijaab-e-khvaab ke saath to kyuun sazaa mein ho tanhaa gunaahgaar koi yahaan to jiite hain sab irtikaab-e-khvaab ke saath sharaar-e-sang se sanglaakh ho gae talve huaa na kuchh dil-e-khaana-kharaab-e-khvaab ke saath sulaae rakkhaa hamein bhi fareb-e-manzil ne chale the ham bhi kisi ham-rakaab-e-khvaab ke saath suraagh miltaa nahin pyaas ke safinon kaa bhanvar bhi hote hain shaayad saraab-e-khvaab ke saath haqiqaton ki chaTaanon pe chal gayaa jaadu lo vo bhi chalne lagin ab sahaab-e-khvaab ke saath ajab nahin vahi manzar nazaara ban jaae Daraa rahaa hai ye Dar iztiraab-e-khvaab ke saath daraaDein rah gaiin bedaariyon ke naqshe par na ham rahe na vo tum inqalaab-e-khvaab ke saath nigaah-e-dida-e-taabir ke havaale 'khalish' hai ye bayaaz alag intikhaab-e-khvaab ke saath"
B
Badr
Quote
"nishaan-e-zakhm pe nishtar-zani jo hone lagi lahu mein zulmat-e-shab ungliyaan bhigone lagi huaa vo jashn ki neze buland hone lage niyaam tegh ki khanjar ke saath sone lagi jahaan mein dauD ke pahunchaa thaa vo ghaneri chhaanv zaraa si der mein zaar-o-qataar rone lagi nadi Dubaau na thi Dubnaa paDaa lekin kinaare pahunchaa to sharmindagi Dubone lagi sab apni pyaas bujhaane mein mahv the hama-tan huaa ye phir ki havaa shoala-khez hone lagi baDhaae haath madad ko daraaz daston ne to apnaa bojh vo chyunTi ki tarah Dhone lagi kuchh aur surkh-ru ho kar uThe vo maqtal se ghaTaa bhi uTThi to daaman ke daagh dhone lagi vo pir-zan jise kaanTe nikaalne the 'khalish' vo saahira ki tarah suiyaan chubhone lagi"
B
Badr
Quote
"gum hue jaate hain dhaDkan ke nishaan ham-nafaso hai dar-e-dil pe koi sang-e-giraan ham-nafaso risne lagti hain jab aankhon se tezaabi yaadein baat karte hue jalti hai zabaan ham-nafaso dil se lab tak koi kohraam saa sannaaTaa hai khud-kalaami mujhe le aai kahaan ham-nafaso ik subuk mauj hai ik lauh-e-darakhshaan pe ravaan hai tamaashaai yahaan saaraa jahaan ham-nafaso kitne masruf hain masrur nahin phir bhi ye log hai ye kyaa silsila-e-kaar-e-ziyaan ham-nafaso shaam tamhid-e-ghazal raat hai takmil-e-ghazal din nikalte hi nikal jaati hai jaan ham-nafaso rashk-e-mahshar koi qaamat to nigaahon mein jache dil mein baaqi hai abhi taab-o-tavaan ham-nafaso zinda ho rasm-e-junun kis ki navaa-rezi se ab rahaa kaun yahaan shoala-ba-jaan ham-nafaso aaj ki shaam ghazal kyuun na 'khalish' se hi sunein DhunD kar laae koi hai vo kahaan ham-nafaso"
B
Badr
Quote
"kahin subh-o-shaam ke darmiyaan kahin maah-o-saal ke darmiyaan ye mire vajud ki saltanat hai ajab zavaal ke darmiyaan abhi sehn-e-jaan mein bichhi hui jo bahaar hai use kyaa kahun main kisi itaab ki zad mein huun tu kisi malaal ke darmiyaan hain kisi ishaare ke muntazir kai shahsavaar khaDe hue ki ho garm phir koi maarka mire zabt-e-haal ke darmiyaan nahin tarjumaan-e-bayaan koi jo hai parda-daar-e-sukut hai hain ye daagh daagh ibaaratein baDe ehtimaal ke darmiyaan yahaan zarra zarra hai dida-var nahin zarra bhar koi be-khabar kisi kam-nazar ko paDi hai kyaa paDe kyuun savaal ke darmiyaan na rahaa dhuaan na hai koi bu lo ab aa gae vo suraagh-ju hai har ik nigaah gurez-khu pas-e-ishtiaal ke darmiyaan the jo par-kushaa hain zubun zubun the jo sar-ba-kaf hue sar-nigun kahin kho gae darun darun ye kis indr-jaal ke darmiyaan lagi zarb aisi hai bar-mahal ki ye marhala bhi hai jaan-gusil hue zakhm phir se lahu lahu the jo indimaal ke darmiyaan kabhi shikva-zan kabhi nukta-chin kabhi baaghiyon kaa himaayati ye 'khalish' hai kaun kaho use rahe e'tidaal ke darmiyaan"
B
Badr
Quote
"qadmon se itnaa duur kinaara kabhi na thaa naa-qaabil-e-ubur ye dariyaa kabhi na thaa tum saa hasin in aankhon ne dekhaa kabhi na thaa lekin ye sach nahin koi tum saa kabhi na thaa hai zikr-e-yaar kyuun shab-e-zindaan se duur duur ai ham-nashin ye tarz ghazal kaa kabhi na thaa kamre mein dil ke us ke alaava koi nahin hairaan huun ki aisaa andheraa kabhi na thaa kis ne bisaat-e-bahs ke mohre badal diye tanhaa to thaa vo pahle bhi gungaa kabhi na thaa imroz-e-intizaar kaa fardaa to kal bhi hai andoh-e-imshabi kaa saveraa kabhi na thaa har zehn mein hamesha sulagtaa hai ye savaal aakhir huaa vo kyuun jise honaa kabhi na thaa divaana thaa bhaTak gayaa gum ho gayaa hai qais khaali magar kajaava-e-lailaa kabhi na thaa kal bhi isi dayaar mein thaa raushni kaa qaht aisaa magar charaagh kaa dhandaa kabhi na thaa pighli kuchh aur barf to ik aur shahr-e-khvaab yuun bah gayaa nasheb mein goyaa kabhi na thaa barsaa hai kis babul pe abr-e-bahaar-khez itnaa haraa to zakhm-e-tamannaa kabhi na thaa us ne bhi iltifaat se dekhaa thaa kab 'khalish' main ne bhi us ke baare mein sochaa kabhi na thaa"
B
Badr
Quote
"aasmaan par kaale baadal chhaa gae ghar ke andar aaine dhundlaa gae kyaa ghazab hai ek bhi koyal nahin sab baghiche aam ke manjaraa gae ghaTte baDhte faaslon ke darmiyaan dafatan do raaste bal khaa gae Dubtaa hai aa ke suraj un ke paas vo dariche mere dil ko bhaa gae shahr kyaa duniyaa badal kar dekh lo phir kahoge ham to ab uktaa gae saamne thaa be-rukhi kaa aasmaan is liye vaapas zamin par aa gae yaad aayaa kuchh giraa thaa TuuT kar be-khudi mein khud se kal Takraa gae hurmat-e-lauh-o-qalam jaati rahi kis tarah ke log adab mein aa gae ham hain mujrim aap mulzim bhi nahin aap kis anjaam se ghabraa gae ho gai hai shoala-zan har shaakh-e-gul baDh rahe the haath jo tharraa gae dhans gae jo ruk gae the raah mein dekhte the muD ke jo pathraa gae ghar ki tanhaai jab aangan ho gai ye sitaare kyaa qayaamat Dhaa gae the mukhaatab jism lahje be-shumaar jaan-balab armaan 'khalish' ghazlaa gae"
B
Badr

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud