SHAWORDS

ghar se baahar nikal kar — Aziz Ansari

HomeAziz AnsariGhazal
"ghar se baahar nikal kar duniyaa ko bhi dekhaa kar faslein kaaT buraai ki achchhaai ko boyaa kar neki Daal ke dariyaa mein apne aap se dhokaa kar sab ko paDhtaa rahtaa hai apne aap ko samjhaa kar buDhe bargad ke niche dil TuuTe to baiThaa kar mahfil mahfil hanstaa hai tanhaai mein royaa kar duniyaa pichhe aaegi dekh to duniyaa Thukraa kar paDh ke sab kuchh sikhegaa dekh ke bhi kuchh sikhaa kar dushman hon yaa dost 'aziz' sab ko apnaa samjhaa kar"
Urdu

گھر سے باہر نکل کر دنیا کو بھی دیکھا کر فصلیں کاٹ برائی کی اچھائی کو بویا کر نیکی ڈال کے دریا میں اپنے آپ سے دھوکا کر سب کو پڑھتا رہتا ہے اپنے آپ کو سمجھا کر بوڑھے برگد کے نیچے دل ٹوٹے تو بیٹھا کر محفل محفل ہنستا ہے تنہائی میں رویا کر دنیا پیچھے آئے گی دیکھ تو دنیا ٹھکرا کر پڑھ کے سب کچھ سیکھے گا دیکھ کے بھی کچھ سیکھا کر دشمن ہوں یا دوست عزیزؔ سب کو اپنا سمجھا کر

Hindi

घर से बाहर निकल कर दुनिया को भी देखा कर फ़सलें काट बुराई की अच्छाई को बोया कर नेकी डाल के दरिया में अपने आप से धोका कर सब को पढ़ता रहता है अपने आप को समझा कर बूढे बरगद के नीचे दिल टूटे तो बैठा कर महफ़िल महफ़िल हँसता है तन्हाई में रोया कर दुनिया पीछे आएगी देख तो दुनिया ठुकरा कर पढ़ के सब कुछ सीखेगा देख के भी कुछ सीखा कर दुश्मन हों या दोस्त 'अज़ीज़' सब को अपना समझा कर

ghar se bāhar nikal kar
Aziz Ansari
Aziz Ansari
Aziz Ansari
poet12 quotes

More by Aziz Ansari

View all →
Quote
"duniyaa ke janjaal na puchh tujh bin meraa haal na puchh kis ne liyaa sar aankhon par kis ne kiyaa paamaal na puchh us ki aankhon ko tu paDh kyuun hai chehra laal na puchh bikhar gayaa reza reza jivan kaa bhaunchaal na puchh mustaqbil ke sapne dekh biite maah-o-saal na puchh tu jo chaahe hukm sunaa mujh se mire aamaal na puchh 'mir' ke ghar ki haalat dekh mere ghar kaa haal na puchh jis ne bachaayaa khanjar se kis ki thi vo Dhaal na puchh kaise dein bachchon ko 'aziz' sabzi roTi daal na puchh"
Aziz AnsariAziz Ansari
Quote
"ham us ko bhuul baiThe hain andhere ham pe taari hain magar us ke karam ke silsile duniyaa pe jaari hain karein ye sair kaaron mein ki uD lein ye jahaazon mein farishta maut kaa kahtaa hai ye meri savaari hain na un ke qaul hi sachche na un ke tol hi sachche ye kaise desh ke taajir hain kaise byopaari hain hamaari muflisi aavaargi pe tum ko hairat kyuun hamaare paas jo kuchh hai vo saughaatein tumhaari hain nasab ke khuun ke rishte hon yaa piine pilaane ke kalaai par bandhe dhaage ke rishte sab pe bhaari hain ye apni bebasi hai yaa ki apni be-hisi yaaro hai apnaa haath un ke saamne jo khud bhikaari hain hamein bhi dekh le duniyaa ki raunaq dekhne vaale tiri aankhon mein jo aankhein hain vo aankhein hamaari hain aziz-e-naa-tavaan ke saamne kohsaar-e-gham halkaa magar ehsaan ke tinke azal se un pe bhaari hain"
Aziz AnsariAziz Ansari
Quote
"phuul jo dil ki rahguzar mein hai jaane kis ke vo intizaar mein hai fikr bhi lutf-e-intizaar mein hai be-qaraari bhi kuchh qaraar mein hai zindagi tujh se kyaa umiid rakhun tu kahaan mere ikhtiyaar mein hai apnaa dushman hai ye jahaan saaraa kitni taaqat hamaare pyaar mein hai koi harakat nahin hai Daali mein kyaa parinde ke intizaar mein hai kar sako to use karo mahsus ek lazzat jo nok-e-khaar mein hai vo jo aage thaa jaan-nisaaron mein sab se pichhe vahi qataar mein hai dhuul bhi mo'atabar hai raste ki kaarvaan kaa nishaan ghubaar mein hai amn aur aashti se us ko kyaa us kaa maqsad to intishaar mein hai dard to ungliyon se miltaa hai varna aavaaz to sitaar mein hai kal bhi vo meraa muntazir thaa 'aziz' aaj bhi mere intizaar mein hai"
Aziz AnsariAziz Ansari
Quote
"achchhaai se naataa joD varna phir pachhtaaegaa ulTe-sidhe dhande chhoD varna phir pachhtaaegaa mustaqbil ki tayyaari karne mein hai hushyaari vaqt se aage tu bhi dauD varna phir pachhtaaegaa divaarein jo haail hain teri haar pe maail hain divaaron se sar mat phoD varna phir pachhtaaegaa daulat dene se 'izzat bachti hai to kar himmat saamne rakh de ek karoD varna phir pachhtaaegaa ashk-e-nadaamat se dil kaa bhigaa daaman hai achchhaa us daaman ko to na nichoD varna phir pachhtaaegaa jhuTi-sachchi kah kar jo tujh ko rusvaa kartaa ho tu bhi us kaa bhaanDaa phoD varna phir pachhtaaegaa shaakh pe rah ke pak jaaein apne aap hi thak jaaein tu ye kachche phal mat toD varna phir pachhtaaegaa shaitaani panja kyaa chiiz ek mujaahid tu hai 'aziz' shaitaani panje ko maroD varna phir pachhtaaegaa"
Aziz AnsariAziz Ansari
Quote
"kuchh zindagi mein ishq-o-vafaa kaa hunar bhi rakh rishta khushi se joD gham-e-mo'tabar mein rakh shahron mein zindagi kaa safar ab muhaal hai behtar to ye hai sahraa pe apni nazar bhi rakh duniyaa ke haadsaat se bhi rakh tu vaasta haalaat ghar ke kaise hain is ki khabar bhi rakh talvaar hi se fath to milti nahin kabhi naadaan pahle apni hatheli pe sar bhi rakh ummid us ke rahm-o-karam ki bhi rakh zarur daaman ko apne ashk-e-nadaamat se tar bhi rakh gar zindagi mein chaahtaa hai sar-bulandiyaan pahle kisi faqir ke qadmon pe sar bhi rakh gar aarzu hai tujh ko mile manzil-e-hayaat is aarzu mein khud ko to mahv-e-safar bhi rakh is dilkashi mein chaand ki khud ko na bhuul jaa apni nazar mein jalva-e-shaqqul-qamar bhi rakh shaahon ke dar pe jaane se main roktaa nahin lekin tu khaanqaahon mein apnaa guzar bhi rakh daanon ke vaaste tu zamin par bhi aa 'aziz' har-chand aasmaanon pe tu apnaa ghar bhi rakh"
Aziz AnsariAziz Ansari

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil