"ghaTaa saavan ki umDi aa rahi hai payaam-e-ashk bhar bhar laa rahi hai ragon mein khuun gardish kar rahaa hai javaani saaz-e-dil par gaa rahi hai rulaataa hai unhein bhi kyaa ye saavan mujhe kaali ghaTaa taDpaa rahi hai tarannum-khez jamunaa ke kinaare kisi ki yaad paiham aa rahi hai"
ghaTaa saavan ki umDi aa rahi hai — B S Jain Jauhar
"ghaTaa saavan ki umDi aa rahi hai payaam-e-ashk bhar bhar laa rahi hai ragon mein khuun gardish kar rahaa hai javaani saaz-e-dil par gaa rahi hai rulaataa hai unhein bhi kyaa ye saavan mujhe kaali ghaTaa taDpaa rahi hai tarannum-khez jamunaa ke kinaare kisi ki yaad paiham aa rahi hai ye aakhir kaun hai jo chup khaDaa hai nazar har baar dhokaa khaa rahi hai ham apne dil kaa dukhDaa ro rahe hain tumhaari aankh jhapki jaa rahi hai tum apne dhyaan mein Duubi hui ho tumhaari oDhni lahraa rahi hai miri be-khvaab aankhon ko mubaarak ki aakhir maut ki niind aa rahi hai"
گھٹا ساون کی امڈی آ رہی ہے پیام اشک بھر بھر لا رہی ہے رگوں میں خون گردش کر رہا ہے جوانی ساز دل پر گا رہی ہے رلاتا ہے انہیں بھی کیا یہ ساون مجھے کالی گھٹا تڑپا رہی ہے ترنم خیز جمنا کے کنارے کسی کی یاد پیہم آ رہی ہے یہ آخر کون ہے جو چپ کھڑا ہے نظر ہر بار دھوکا کھا رہی ہے ہم اپنے دل کا دکھڑا رو رہے ہیں تمہاری آنکھ جھپکی جا رہی ہے تم اپنے دھیان میں ڈوبی ہوئی ہو تمہاری اوڑھنی لہرا رہی ہے مری بے خواب آنکھوں کو مبارک کہ آخر موت کی نیند آ رہی ہے
घटा सावन की उमडी आ रही है पयाम-ए-अश्क भर भर ला रही है रगों में ख़ून गर्दिश कर रहा है जवानी साज़-ए-दिल पर गा रही है रुलाता है उन्हें भी क्या ये सावन मुझे काली घटा तड़पा रही है तरन्नुम-ख़ेज़ जमुना के किनारे किसी की याद पैहम आ रही है ये आख़िर कौन है जो चुप खड़ा है नज़र हर बार धोका खा रही है हम अपने दिल का दुखड़ा रो रहे हैं तुम्हारी आँख झपकी जा रही है तुम अपने ध्यान में डूबी हुई हो तुम्हारी ओढ़नी लहरा रही है मिरी बे-ख़्वाब आँखों को मुबारक कि आख़िर मौत की नींद आ रही है

More by B S Jain Jauhar
View all →"naghme taDap rahe hain dil-e-be-qaraar mein aankhein baras rahi hain gham-e-intizaar mein fitrat udaas si hai ghaTaaein hain sogvaar ik gham-nasib husn hai abr-e-bahaar mein hai zarra zarra shauq-e-samaaat se be-qaraar tum gungunaa rahe ho kisi aabshaar mein saavan ki rut bahaar kaa mausam andheri raat rim-jhim ke giit guunj rahe hain phuvaar mein sapnon mein ho gayaa hai saveraa kahin mujhe baiThaa huaa huun jaise kisi laala-zaar mein aisaa lagaa ki saath hi gaate hain aabshaar kyaa mohni si lai hai tumhaare sitaar mein kyuun aaj sar jhukaae hue ro rahe ho tum bikhre hue hain baal gham-o-intishaar mein"
"pau phaTi subh hui shaam hui zindagi bas yuun hi tamaam hui vaqt guzraa guzar gaiin sadiyaan nasl-e-insaan na shaad-kaam hui sar jhukaane se qad nahin ghaTtaa sar-kashi khud hi zer-e-daam hui hain judaa qaumon ki bhi taqdirein koi ubhri koi ghulaam hui baDhti aabaadiyon ke chalte hue sab taraqqi baraae naam hui"
"pahle ahbaab taghaaful ki safaai deinge phir mire haq mein adaalat mein gavaahi deinge ek insaan bhi DhunDe se na mil paaegaa aadmi aadmi har samt dikhaai deinge maan ke jaae hue paale hue kitne beTe maan ke haathon mein hi laa laa ke kamaai deinge ek maan hai jo hamesha hi duaaein degi us ke beTe jo agar ghar se vidaai deinge"
"tamaam raat chhaton par baras gayaa paani saveraa hote hi basti mein bas gayaa paani piyaa ki baanhon mein dulhan ko kas gayaa paani andheri raat mein birhan ko Das gayaa paani baDaa hi naaz thaa apni khunuk-mizaaji par zamin ke tapte tave par jhulas gayaa paani vo naaptaa rahaa dharti ke sab nasheb-o-faraaz fareb-e-raahat-e-maandan mein phans gayaa paani nahaane aai thi ganda hai kah ke lauT gai kisi ko chhune ki khaatir taras gayaa paani"
"ik huuk si jab dil mein uTThi jazbaat hamaare aa pahunche alfaaz jo zehn mein mauzun the honTon ke kinaare aa pahunche haalaat gham-e-dil kah na sake aur dard-e-darun bhi sah na sake aansu jo hisaar-e-chashm mein the palkon ke sahaare aa pahunche manjhdaar mein the aur Dar ye thaa ki Duub hi jaaeinge ab ham maujon mein jo lahraai kashti tinkon ke sahaare aa pahunche ham josh-e-javaani mein aa kar ik laa-mahdud safar mein the maalum huaa manzil ye na thi jab ghaaT kinaare aa pahunche ik umr guzaari thi ham ne mazlumon ki hi himaayat mein jab gosha-nashini ki Thaani phir zulm ke maare aa pahunche bachpan mein bahut dukh hotaa thaa mazlum ki aah-o-zaari par hote hi javaan bahlaane ko duniyaa ke nazaare aa pahunche duniyaa ke havaadis ne itnaa paamaal kiyaa ham ko 'jauhar' bachne ki koi ummid na thi qismat ke sitaare aa pahunche"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"