SHAWORDS

ghurur-e-paas-e-rivaayat badal ke rakh dungaa — Akhtar Raza Adeel

"ghurur-e-paas-e-rivaayat badal ke rakh dungaa main raftagaan ki shariat badal ke rakh dungaa gadaa-e-ilm huun niklaa to phir qarine se tumhaaraa tarz-e-tariqat badal ke rakh dungaa salaah-e-dost sharaafat se maan le varna main ye libaas-e-sharaafat badal ke rakh dungaa jo ahd-e-rafta se jaaungaa raftagaan ki taraf to phir sukun se vahshat badal ke rakh dungaa main is zamin se jis roz uTh gayaa 'akhtar' to aasmaan ki haalat badal ke rakh dungaa"
Urdu

غرور پاس روایت بدل کے رکھ دوں گا میں رفتگاں کی شریعت بدل کے رکھ دوں گا گدائے علم ہوں نکلا تو پھر قرینے سے تمہارا طرز طریقت بدل کے رکھ دوں گا صلاح دوست شرافت سے مان لے ورنہ میں یہ لباس شرافت بدل کے رکھ دوں گا جو عہد رفتہ سے جاؤں گا رفتگاں کی طرف تو پھر سکون سے وحشت بدل کے رکھ دوں گا میں اس زمین سے جس روز اٹھ گیا اخترؔ تو آسمان کی حالت بدل کے رکھ دوں گا

Hindi

ग़ुरूर-ए-पास-ए-रिवायत बदल के रख दूँगा मैं रफ़्तगाँ की शरीअ'त बदल के रख दूँगा गदा-ए-इल्म हूँ निकला तो फिर क़रीने से तुम्हारा तर्ज़-ए-तरीक़त बदल के रख दूँगा सलाह-ए-दोस्त शराफ़त से मान ले वर्ना मैं ये लिबास-ए-शराफ़त बदल के रख दूँगा जो अहद-ए-रफ़्ता से जाऊँगा रफ़्तगाँ की तरफ़ तो फिर सुकून से वहशत बदल के रख दूँगा मैं इस ज़मीन से जिस रोज़ उठ गया 'अख़्तर' तो आसमान की हालत बदल के रख दूँगा

ġhurūr-e-pās-e-rivāyat badal ke rakh dūñgā
Akhtar Raza Adeel
Akhtar Raza Adeel
Akhtar Raza Adeel
poet1 quotes

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb